zingi ye aaj hame khan le aayi hai

ik ham hain or zamaane bhar ki tanhaai hai

dil hai ki maano dhadknaa bhul gaya hai

pass apne kuchh nahi bas ye ruswaai hai

zakham taaza hain abhi rista hai lahoo

mat poochho hamne ye kaisi chot khayi hai

dard badta hi gaya jayo jayo ki dawa hamne

ye kis uljhan me hamne zindgi uljhayi hai

kuchh aansu,kuchh aahen,or kuchh toote sapne

yahi saugatt hamne is zamaane se paayi hai



NS(neelu)

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib