Mast hawa ka jhoka pagal achha lagat hai,
Bal khata lahrata aachal achha lagta hai !
Oh sarmai usko ek din aayeena yun bola,
Aap ki aankho me yah kajal achha lagta hai !
Bheegi palken bheega daman bhiga bhiga e aanchal,
Mausam e gam me jal thal jal thal achha lagata hai !
Sukhe labon pe duaa nami si jab jab aati hai,
Sawan ki rimjhim sa badal achha lagta hai !
Uski gali me maut mile to sau sau bar marun,
Ek janam me usko pana achha lagta hai !
O bachpan ke sair sapate holi id manane ke,
Binaa wajah uske ghar jana achha lagta hai !
Ab tak Na bhule hamko o bag, khilaone mitti ke,
Uske bina ab aankh bahana achha lagta hai!
Mai apani masjid se aayun tu apane mandir se aa,
Sare masayeel ka aisa hal achha lagta hai !

har heera chamak daar naheee hota,
har samander gehraa nahi hota,
dosto
zara sambhal kar pyaar karnaa,
kyunki har khubsurat cehre waali ladki wafadaar nahi hoti


Yaden jab dil me nahi rooh me bas jati hai,
Badalon ki tarah aankhe bhi baras jati hai !
Oh agar tum se khafa hain to khafa mat samjho,
Ladkiyan pyar me ladkon pe baras jati hai !
Roj mujhko tere aane ki khabar milti hai,
Roj mujhko meri tanhaeeyan das jati hai !
Tanha rahta hun to bimar nazar aata hun,
Sath rahte hain to bachhen meri khil jati hai !
Husnwalon ka bharosha nahi kijiye sahab,
Din badalte hai to nazaren bhi badal jati hai!

Zakhmo ko na kuredo hare ho jayenge,
mil jaayenge gham aur vo bahut yaad ayenge
Kitne gehrey hain zakham is dil ke,
milonge Jo humse tu hum batayenge
Dar hai kahi ye zakham nasoor na banjayee,
karde unhey jo be asar , wo marham kahan se layenge.
Humdard nahi milta zamane main koi,
Anwar ~ ko mile jo koi , dard-e-dastaan sunayenge….

Duva hi k teri duniya me koyee gham naa ho,
duva hi k teri muskaan kabhi kam naa ho,
agar kabhi tere palko pe aansu aaye to,
duva hi k iskeee wajah ham naa ho

Hum se chupte kyon ho dost,
Ek din hum aise andheron mein kho jayeinge.
Phir maango ge duaon mein khuda se hamain,
Aur hum phir sapno mein bHi nahin aayenge.

.
Bari asaani se dil lagaye jaate hain par
badi mushkil se waade nibhaye jaate hain
le jaati hai mohabbat un raahon par
jahan diye nahi dil jlaaye jaate hain
.
Vo likhte hain humara naam mitti mein
aur mita dete hain,
Unke liye ye khel hoga
magar hum ko to vo mitti mein mila dete hain..
.
Kon kehta hai dost k tumse humari judaai ho gi
yeh afwaah zaroor kissi dushman ne uraayi hogi
shaan se rahenge tumahre dil mein hum
itne dino mein kuch to jagah banayi hogi
.
Jis din se juda vo humse hue is dil ne dharkna chor diya
hai chaand ka mooh bhi utra utra taaro ne chamkna chor diya
.
Vo aaj bhi hamain dekh kar muskurate hain
Yeh to unke bach’chay hee kamine hain,Jo Mammu-Mammu bulaate hain.
.
Apni Surat ka kabhi to didaar de
tarap raha hu ab aur na intzaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna Kam se kam
1 Missed call hee maar de
.
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aur humare dil se awaaz nikalii….
Fiteh Mooh…Tusin Ethe vii aa gaye !!!
.
Yeh jo haseeno ke baal hote hai,
larkon ko phassane ke jaal hote hai,
na jaane kitno ke khoon piye honge inhone,
tabhi to inke honth laal hote hai
.
Tum hoti to aisa hota,
tum hoti to waisa hota
Tum is baat pe itna hasti,
tum uss baat pe itna khush hoti,
Tum is baat pe ye kehti,
tum uss baat pe wo kehti
shukar hai tum nahi ho!!!
.
Is Dil mein aansuyo ke mele hain
Tum bin hum bohat akele hain
Sab kuch chor kar tumeh e-mail karte hain
Dekho hum kitne vele hain

Kal jab mile thhe….
to dil mein hua ek sound.
Aur aaj mile to kehte hain…
your file not found!!! *
Jo muddat se hota aaya hai,
woh repeat kar doonga…
Tu naa mili to apni zindagi
ctrl+alt+delete kar doonga…
Shayad mere pyar ko
taste karna bhool gaye…
Dil sey aisa cut kiya
ke paste karna bhool gaye…
Laakhon honge nigaah mein
kabhi mujhe bhi pick karo…
Mere pyaar ke icon pe
kabhi to double-click karo…
Roz subha hum karte hain
pyar se unhe good morning…
Woh aise ghoor ke dekti hain
jaise 0 errors aur 5 warning…
Aisa bhi nahin hai ke
I don’t like your face…
Par dil ke storage mein
No more disk space…
Ghar se jab tum nikale
pehen ke reshmi gown…
Jaane kitne dilon ka
ho gaya Server down…

aap ka aur galfriend ka rishtaaa aankh aur palakh jaisaa ho….agar kuch pal palke naaa jhapke to aankh rodenge,,
jaise hi agar kuch aankh me chalaaa gayaa to palak tadap jaate hi

Kisi Ne Poocha Mohabbat Kiya Hai
Samandar nay kaha
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai
Jiss may chahat jessa anmol moti mojood hai
Baadal nay kaha
Mohabbat eik ~dhanak hai
Jiss may har Rang Nomaya hota hai…
Shairr nay kaha
Mohabbat eik esse ghazal hai
Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai
Saaz nay kaha
Mohabbat eik essa geet hai
Jo Dil may uttar jata hai
Malee nay kaha
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai
Jiss may sara
gulshan mehak uttah hai
Ankhon nay kaha
Mohabbat ansoo ka samandar hai
jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai
Dil nay kaha
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai
kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay
Naseeb nay kaha
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai
Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin
Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai
Nafrat nay kaha
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai

Kya Mange
Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis KO Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange
Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange
Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis KO Kaainaat, Bhalaa Kya Maange
Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange
Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange


Tukdon mein bikhra hua
Kisi ka jigar dikhayenge
kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge
Honth kaanp jaate hain
thar-tharaati hai zabaan
toote dil se nikli huii
aahon ka asar dikhayenge
Kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge……..
Aik pahunch paata nahin
aik aur chhalak jaata hai
palkon se daaman tak ka
ashqon ka Safar dikhayenge
Kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge………
Kahin tasveer hai Teri
kahin likhaa hai tera naam
mandir-masjid jitna paak
aik deewar-o-dar dikhayenge
Kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge………
Aksar takti rehti hai
sunsaan raahon KO sanam
darwaaze par baithi huii
sapno ki nazar dikhayenge
Kabhi aana hamari basti
tumhe apna ghar dikhayenge………………..

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono….
Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain
Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono…..

Guzra Huwa Zamana
Yaad ata hai bohut woh guzra hoa zamana
Woh School ki life woh bachpan ka yarana
Left rite kehtay hoey hathon KO uthana
woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa
Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
woh lunch mai JA kar cholay chaat kahana
Woh gurmiyon ki chUTion mai ghumnay KO jana
woh mastian karna aur mouj manana
Woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
woh ratoon KO der tuk jagna
Her khuff say azad zindagi guzarna
woh baat baat par Ammi say zid karna
woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
woh ghusay mai Ammi ka dantna
aur raat mai Abbu say shikayetain karna
woh har shaam ko apnay time pat ghar say nikalna
aur mahallay mai cricket khailna
maghrib hotay he ghar ko loutnaa
werna dadi ji say jhaar sunnna
woh dadi ko baat baat par satana
aur dadi ka shafqat say samjhana
woh raat ko homework k waqt bahanay karna
aur class mai miss ka murgha banana
woh subha mai Ammi ka humko UThana
aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa
Late school pohchnay par Madam ka jhaar pilana
aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana
woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
woh chacha phopho ka dular
woh sharatain woh kahaniyan
lougoon ka jin ko kehna shetaniyan
mour kar dekhta hoo tu sochta hoo k
kiya zamana tha woh jo guzar gaya
woh zamana kitna suhana tha
waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha

Aa Kar to dekho kabi………
Meri shab-e-hijr main meri ankh ki nami main ho
kabhi mery angan main AA ker to dekho
Mery khuwab-o-khayal main mery sapnon k jal main ho
kabi mery khuwabon main AA ker to dekho
Mery dukh-o-dard main mery har tassavor main ho
kabhi meri soch main AA ker to dekho
Meri tanhai sham-o-seher main mery din rat main ho
kabhi AK din guzar ker to dekho
Mery jism-o-jan main meri her saans main ho
khud KO mujh main Sama ker to dekho
Mery rooh-o-jan main mery her andaz main ho
mery sang zindagi guzar ker to dekho

Khuda kare humaari dosti aisi ho,
Ki Chot tumhe lage aur dard mujhe ho,
Dil tumhaara dhadke aur dhadkan meri ho,
Naukri tum karo aur salary meri ho.
Har samundar mein saahil nahin hota,
Har jahaaz mein missile nahin hota,
Agar Dhirubhai ka sapna nahin hot,
To har %$$$ ke paas mobile nahin hot.
Khud ko kar buland itnaa..
Ke’ Himaalay ki choti pe jaa pahunche..
aur khuda tumse puche..
‘Abe gadhe… ab utrega kaise ‘
jise dil diya woh dilli chali gayi,
jise pyar kiya woh italy chali gayi,
dil ne kaha khud kushi(sucide) kar le jalim,
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi.
Ghar ghar main diya jale,
To diwali mat samjho,
Agar main tera peeche paroon,
To mawali mat samjho.
Ansuo ko bahut Samjhaya tanhai me aya na karo,
Mehfil me humara mazak na udaya karo,
ispar aansu tadap kar bole,
itne logo me apko tanha pata hoon, isi-liye chala aata hoon.
Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi zyada janta hai koi.
Aakash ke tarron me khoya haijahan saara,
lagta hai pyara har ek-ek taara,
un tarron me sabse pyaara hai ek sitara,
jo is wakt padh raha hai mail humara.
Kisi ko mil jati hai rangeen baharen,
kisi ko chaman nahi milta,
kisi ke kabar par banta hai Tajmahal,
aur kisi ko kafan nahi milta.
zakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nishana ban gaye hai, waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli rahi aankhe,
ab is se zyada unka intezaar kya karen.

14 Feb ko hum tumhe
kahi lekar jayenge.
Batao Kaha?
.
.
.
.
.
.
Are socho!
.
.
.
.
.
.
Socho na!
.
.
.
.
.
.
Chalo thik hai bata dete hain.


Roshni hote hue bhi dil mein andhera hai,
In andhero main kisi ka bseraa hai,
Aana kabi roshan krna hamari mehfil ko,
Dekhna dil ki har diwaar pe naam tera hai


Rehne de aasma zameen ki talash kar,
sb kuch yahin hai na kahin aur talash kar.
Har arzu puri ho to jeene ka kya maza,
jeene k liye bus 1 kami ki talash kar.

Kalam thi hath mai likhna sikhaya apne,
Takat thi hath mai hosla dilaya apne,
Manzil thi samne rasta dikhaya apne,
Hum to sirf dost thhey
AASHIQ BANAYA Aap ne

Duniya badal jaye,tum n badlna,
Muskilo me ho jab bhi,yad hume kar lena.
Mange bhi apse to kya mange?
Dena kuch chaho to bas Muskura dena.


AANKH se ghira ansu koi utha nahi sakta,
Kismat me likha koi mita nahi sakta.
Dosto me basti hai jaan hamari,
Hamari jaan ko hamse koi chura nahi SAKTA.

Kunwari kanya ko miss kehte hai,
uske chumbun ko kiss kehte hai.
Miss ko kiss karna mushkil hai,
isliye kissmiss ke bhav tej rehte hai.


Karti hain saanse,
Bas 1 hi ishara.
Duaon mein meri,
Bas naam hai tumhara.
Thamm jaaye yeh sama yahin par,
Nahi chahiye hume ab,
Koi DOST TUMSE BHI PYAARAA.


Rajasthan ki ladkiyan ‘CHURMA’ banati hai,
Gujrat ki ladkiyan ‘DHOKLA’ banati hai,
Madras ki ladkiyan ‘IDLI’ banati hai,
par PUNJAB ki ladkiyan DEEWANA banati hai.

Doori Ho To Ehsas Hota Hai,
Dost ke Bina Jiwan kitna Udaas Hota Hai.
Umar Ho Apki Sitaro Jitni Lambi,
Aisa Dost kahan Har kisi ke Pas Hota Hai.

Hamein bhi mile koi chahne wala,
hum toh pyar k liye bekrar baithe hain.
Koi vada kare sapno mein aane ka,
hum toh umar bhar sone ko taiyar baithe hain.

Aa k meri kabr pe tune jo muskura diya,
bijliyan chamak uthi sara badan jala diya.
Jeete je na poocha haale dil kabi,
ab aye ho poochne jab khaak me mila diya ?

Duniya ka hr shauk pala nahi jata,
Kanch ke khilono ko yu uchala nai jata.
Mehnat karne se mushqile ho jati hain aasaan,
hr kaam taqdeer pe dala nai jata.

Ab na hoga raabta kehna usse…..
Ab na hoga raabta kehna usse
jis pe hum chalte rahe hain saath saath
Khogaya woh raasta kehna usse
Teri yaadein Dil se rukhsat hogayin
Hochuka yeh saniha kehna usse
Ab na dekhenge tumhara raasta
Dil ko hum samjha chuke kehna usse
Chain se sone na dega gham tujhe
Raat bhar ab jaagna kehna usse
Aashna ban ker na milna raah main
Dosti ek khuwaab tha kehna usse
Murr kar peeche dekhte hum bhi nahi
Soch ker moonh phairna kehna usse….

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty…..
Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty
saahil pe samundar ke hazane nahi aaty
palkein bi chamak uthi hein sote hi hamari
aankho ko abhi khawab chupane nahi aaty
dil ujri hain ik saraye ki terha hain
ab loogh yahan raat jagane nahi aaty
yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hein
ab yaad samje derd porane nahi aate
urdny do abhi parindo ko shoh hawa mein
phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty
is shehar ke badal teri zulfon ki terha hein
yeh aag lagate hein per bojane nahi aaty
ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gaye hein
aaty hein magar dil ko dukhane nahi aaty…

Sabke sab un lab-e-rukhsaar mein hai
rung-o-khushboo kahan bahar mein hai
aur kisi shey mein isqadar hai kahan
jo itmenaan aur sukooon pyar mein hai
unka hasil bhi lutf ho shayed
kahan woh lutf jo intezar mein hai
saaz toh dilse aa nikalta hai
bhala kahan ka huner taar mein hai..

Us ko mera halka sa ehsaas to hai…..
Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai
woh aaye na aaye mere paas lekin
shiddat se mujhe uska intezar to hai
abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
mere dil mein us se milan ki aas to hai
pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai…

Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehti hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Karti hoon intezaar us lamhe ka main
Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge…

chikni chupri surat pr too u itna itrata kiya hai, ladki wale to puchegay barkhurdar kmata kiya hai. Jatinder parwaaz

ghazal….
yaar purane chhoot gaye to chhoot gaye
kanch k bartan toot gaye to toot gaye
soch samaj kar houth hilane parte hain
teer kama say chhoot gaye to chhoot gaye.
shh’hzade k kheal khilone thodhhi thea
mere sapne toot gaye to toot gaye

Jo rehtay hain sada dil mein un hain dhoonda nahi kertay……….
Jo rehtay hain sada dil mein un hain dhoonda nahi kertay
Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay
Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay
Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
Barastay badlon ki aas mein trsa nahi kertay
Tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
Achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay
Teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
Unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay…….

Insaano ki khandha pe insaan jaraha hain,khafan mein lipte kuch arman jaraha hai jine
Nahi mile mohabat is duniya mein mohabat pane wo khabristan jaraha hai.
kyon raat din rote ho uske liye
jo na tha tumhara ek pal ke liye
ashkon se kaho, ab tham bhi jaye
main hun tumhari, tumhe jeena hai mere liye
sush pandey
Teri Yaadon ke Siva koi Lamha Guzaara Nahin,,,,,
ek pal Nahin jab TumheMere Dil Ne Pukaara Nahin
Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,,,,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin…..
Tab tak pyaar se pyaar mat karo,
Jab tak pyaar aapse pyaar na kare.
Agar pyaar apse pyaar kare to,
Pyaar ko itna pyaar karo,
Ki pyaar kisi aur se pyaar na kare
Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane,
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane,
Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain
Zakhm itne gehre hain,izhaar kya karein,
Hum khud nishana ban gaye,waar kya karein,
Mar gaye hum,magar khuli rahi aankhein,
Ab is se zyada unka,intezaar kya karein
Kyun Baat Hamari nahi mantay
Kyun Dil Hamara Dukhatay Ho
Ye Komal Komal Jazbay Mere
Kyun In ko Sulatay Ho
Ankhon main rehti hai nami mere
Kyun is se ankhain churatay ho
Kya rakha hai baton main meri
Kyun in pe dil lutatay ho
Maan jao na baat hamari
Kyun hum pe situm detay ho
Jo dil main hai tumharay
Woh he dil main hai hamaray
Kyun in jazbon ko rulatay ho
Ye komal komal jazbay mere
Kyun in ko Sultay ho
kudha kisi ko kisi pe fida na kar,
kare tho qayamat tak juda na kare,
Yeh maana ki koi marta nahi judai mein,
lekin jee bhi nahi pata tanhai mein.
Apni marzi se kahan apne safar k hum hai, Rukh hawaon ka jidhar udhar ke hum hai,
Pehle her cheez thi apni magar ab lagta hai apne hi ghar mein kisi dusre ghar k hum hai,
Waqt k saath hai mitti ka safar sadiyo tak,kisko malum kahan k hum kidhar k hai,
Chalte rehte hai k chalna hai musafir ka naseeb, sochte rehte hain kis RAH-GUZAR k hum hai,

Na milay gaa
bhigi hui aankhon ka ye manzar na milegaa
ghar chhod ke mat jaao kahin ghar na milegaa
phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam
jab dhup mein saayaa koi sar par na milegaa
aansu ko kabhi os ka qataraa na samajhana
ashaa tumhen chaahat ka samundar na milegaa
is Khwaab ke maahaul mein be-Khwaab hain aankhen
baazaar mein ashaa koi zevar na milegaa
ye soch lo ab aaKhiri sayaa hai muhabbat
is dar se uthoge to koi dar na milegaa…

kabhi tumne ye socha hay,kabhi tumne ye dekha hay…..
kabhi tumne ye socha hay,kabhi tumne ye dekha hay k lafzon main
k lafzon se tasaadum kaise hota hay
tabaahi kaise aati hay
wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta’aluq jorrtay hain
dilon main rabt rakhtay hain
or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den
wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain
wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain
bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay
behnen bayn karti hain
pahaarron se jawaan bhai
unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain
to maayn aasmaan sar pe utthaati hain
yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain
farishte kaanp jaatay hain
yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain
hamaaray din badalte hain
to phir ye sochna hoga
to phir ye dekhna hoga
k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay
k ye alfaaz khud andhay nahi hotay
ye alfaaz khud zaalim nahi hotay
magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain
magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain
baseerat se
diyaanat se
sadaaqat se
muhabbat se
ta’alluq torr lete hain….

Mohabbat Kis Ko Kis Say Hay???
Mohabbat Kis Ko Kis Say Hay???
Mohabat Tujh Ko Mujh Say Hay?
Ya Mohabat Mujh Ko Tujh Say Hay?
Mohabat Jiss Ko Kisi Say Hay
Wo Samajhta Hay Goya
Jazbaey Mohabbat Ki Baqa Bhi
Ussi K Dam Qadam Say Hay!
Muhabbat Zinda Na Tujh Say Hay Na Mujh Say Hay
Muhabbat Ibadaton,Riyazaton Ki Intahaa Say Hay!!
Muhabbat Mustafaa Ko Khudaa Say Hay!!!!
Muhabbat Khudaa Ko Mustafaa Say Hay!!!
Mohabbat Ik Pardesi Ko Daes Say Hay
Mohabbat Daes Walaon Ko Pardes Say Hay
Mohabbat Chamun Ko Phool Say Hay
Mohabbat Sehra Ko Dhool Say Hay
Mohabbat Poojari Ko Sanum Say Hay
Mohabbat Dukhi Ko Ghum Say Hay
Muhabbat Khushi Ko Saroor Say Hay
Mohabbat Ameeri Ko Garoor Say Hay
Mohabbat Gharibi Ko Majboor Say Hay
Mohabbat Maskeen Ko Maa Ki Gaod Say Hay
Mohabbat Yateem Ko Baap Ki Soch Say Hay
Mohabbat Ager Khuda Ko Mujh Say Hay
Tao Yay Uss Ki Banda Parwari Hay
Mohabbat Ager Mujh Ko Khoodh Say Hay
Tao Yay Meri Khudfareybii Hay
Khuda Ki Raza Maen Chahoon Kesay
K Yay Meri Sarshast Maen Nahi Hay
Gunahon Say Khud Ko Bachaoin Mein Kesay
K Yay Bhi Meri Fitrat Maen Nahi Hay
Khuda Ko Paa Loon Is Tarah K Khud Ko Bhool Jaoon
Par Kiya Karoon Apna Aap Hi Bas Maen Nahi Hay
Na Marna Merey Bas Mein,Na Jeena Hi Meray Bas Mein Hay
Bas Yay Dil Sarkaare-Do- Aalam Say Lo Lagana Chahtaa Hay
Kon Sa Haseen Mehboob Do Aalam Mein Nahi Hay
Jaantay Hein Do Jahan Mein Koi Hum Sa Nikamma Nahi Hay
Jo Tu Nawaz Day Mola to Teri Dastaras Mein Kiya Nahi Hay
Darud Parhtay Jiyon Darud Partay Maron Bas Yahi Aarzu Hay
Iss K Siwaa To Merey Mola Dil Mein Aur Koi Hasrat Nahi Hay……

Hamesha Muskura Kay…
“Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chun’ney na aaya”

*TERA NAAM HI TO HAI*
Toota Jo Aake Lab Pe, Tera Naam Hi To Hai
Dil Mein Bas Aik Khowahish-e-Nakaam Hi To Hai
Pehla Qadam Hi Aakhri Hai, Uth Sakey Agar
Manzil Yaqeen-e-Ishq Ki Aik Gaam Hi To Hai
Rehne Do Wapsi Kay Liye Raasta Khula
Woh Bad Nahi Hay, Aik Zara Badnaam Hi To Hai
Sabit Karega Kia Koye Ham Par Jafa Ka Jurm
Aik Roz Dhul Hi Jaayega, Elzaam Hi To Hai

Poocha kisi ne haal kisi ka tow roo diye
Poocha kisi ne haal kisi ka tow roo diye
Paani me aks chand ka dekha tow roo diye
Naghma kisi ne saaz per chera tow roo diye
Ghuncha kisi ne shakh se tora tow roo diye
Urta hua ghubaar ser-e-rah dekh ker
Anjam hum ne ishq ka soocha tow roo diye
Badal fiza mey aap ki tasweer bun gaye
Saya koi khayal se guzra tow roo diye
Rung-e-shafaq se aag shagofon mey lag gayi
Saagar hamare haath se chulka tow roo diye….

Remember i looked at u, u looked at me.
we had a love connection between us.
u told me u love me
i told u i love u
i gave u everything from me
u took all away
u had to leave me
u never said good-bye
but 2 years later i see u
i wrote to u
it said i love u
u said no
later then we never talk to each other
we just say hi or good-bye
5 months later u say i love u
but i moved one just like u did to me
well guess what ur the one with a broken heart just like me

AANKHON AANKHON MAIN
Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Ehd-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko shaiki
Ho gaee maut aankhon aankhon main…….

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge

Poochnay walay tujhey kaisay bataaein akhir
Dukh ibarat to nahi jo tujhey likh ker bhaijein
Ye kahani bhi nahi hai k sunaein tujh ko
Na koi baat hi aisee k bataein tujh ko
Zakham Gar ho to teray naakhun k hawalay ker dein
Aaina bhi to nahi k dikhaein tujh ko
Tu ne poocha hai magar kaisay bataein tujh ko
Ye koi raaz nahi jis ko chupaen to wo raaz
Kabhi chehray kabhi Aankhon se chalak jata hai
Jaisay aanchal ko sambhalay koi aur teiz hawa
Jab bhi chalti hai to shaano se dhalak jata hai
Ab tujhey kaisay bataein k humein kia dukh hai
Jism mai reengti rehti hai musafat ki thakan
Phir bhi kaandhon pe uthayae huwe halat ka bojh
Apnay qadmon se hatatay huwe saya apna
Jis ko bhi dekhiye chup chap chala jata hai
Kabhi khud se kabhi raston se ulajhta hai magar
Janay wala kisi awaz pe rukta hi nahi
Dhoondna hai naya peraya-e-izhar humein
Istiaron ki zaban koi samajhta hi nahi
Dil grifta hain talismat-e-gham-e-hasti se
Saans lenay se fusoon kariy-e-jaan tootti hai
Ik taghayyur pas-e-her shay hai magar zulm ki dor
Abhi maloom nahi hai k kahan tooti hai
Tu samajhta hai k khushboo se moattar hai hayat
Tu ne chakha hi nahi zeher kisi mausam ka
Tujh pe guzra hi nahi raqs-e-junoon ka aalam
Aisa aalam jahan sadiyoun k tahhayur ka nasha
Her bicharti huwi sa’at se galay milta hai
Is tamashay ka bazahir to nahi koi sabab
Sirf mehsoos kero gay to pata chalta hai
Aik dhun hai jo sunayee nahi deti phir bhi
Lay ba lay berhata chala jata hai hungam-e-sitam
Koo ba koo phailta jata hai gubaar-e-man-o-tu
Rooh se khali huwe jatay hai jimson k haram
Waqt be rehm hai,hum raqs-e-barehna hain sabhi
Ab to paband-e-salasil nahi koi phir bhi
Dasht-e-mishghaan mai bhatakta huwa taron ka hujoom
Safha-e-lab pe sisiskti huwi awaz ki lo
Dekh to kaisay rehayee ki khabar kerti hai
Rozan-e-waqt se aghaaz-e-safer kerti hai
Be khabar rehna kisi baat se acha hi nahi
Tu kabhi waqt ki dehleez pe tehra hi nahi
Tu ne dekhay hi nahi halqa-e-amroz k rang
Garmiye wada-e-ferda se pighaltay huwe log
Apnay hi khuwab ki tabeer mai jaltay huwe log
Bhook aur piyas ki mari huwi faslon ki terah
Barr-e-azam ki lakeeron se ubhartay huwe log
Amn k naam per barood bhari dunniya mai
Khas-o-khashak ki manind bhikertay huwe log
Roz jeetay huwe aur roz hi mertay huwe log
Zindagi FILM nahi hai k dikhaen tujh ko
Tu ne poocha hai magar kaisay bataein tujh ko
Koi mehfooz nahi ahl-e-tahafuz se yahan
Raat bhari hai kahin aur kahin din bhari
Saari dunniya koi medan sa lagti hai humein
Jis mai ik maarka-e-sood-o-ziyan jari hai
Paon rakhay huwe barood per sab log jahan
Apnay hathon mai uthaye huwe perwana-e-shab
Aasteenon mai chupaey huwe mehtaab koi
Apni gerdan mai liay apnay gareeban ka tauq
Neend mai chaltay huwe dekhtay hai khawab koi
Aur ye sochtay rehtay hai k deewaron se
Shab k aasaar dhalay,subh ka sooraj ubhra
Door ufaq paar paharon pe chamakti huwi berf
Naye sooraj ki tamazat se pighal jaey gi
Aur kisi waqfa-e-imakaan-e-sehar mai ab k
Roshni saaray anndheron ko nigal jaey gi
Dekhiye kaisay pohanchti hai thikanay pe kahin
Door ik faakhta urti hai nishanay pe kahin
Aa ke ye manzir-e- khoon basta dikhayen tujh ko
Tu ne poocha hai magar kaisay baataein tujh ko
Koi gaahak hi nahi johar-e-Aainda ka
Chashm kholay huwe baithi hai dukan-e-girya
Aur isi manzar-e-khoon basta ka goshay mai kahin
Ser pe dalay huwe ik lamha-e-maujood ki dhool
Teray usshaq bohat khaak basar phirtay hain
Waqt kab khainch ley maqtal mai gawahi k liay
Dast-e-khali mai liay kasa-e-sir phirtay hain
Poochnay walay tujhey kaisay bataaein akhir
Dukh ibarat to nahi jo tujhey likh ker bhaijen
Dukh to mehsoos huwa kerta hai
Chahay tera ho ya mera dukh ho
Admi wo hai jisay jeetay jee
Sirf apna nahi sab ka dukh ho
Chak ho jaey jo ik baar hawas k hathon
Jama-e-ishq doobara to nahi silta hai
Asman meri zameenon per jhuka hai lakin
Tera aur mera sitara hi nahi milta hai


Teri yaad aati hai,
Tere jane ka gum bhulaata hooN,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!
Kabhi chubhati,kabhi gudgudati hai,
Teri yaad aati hai…!
Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khatoN ke harf mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!
Kabhi rulaati, kabhi haNsaati hai,
Teri yaad aati hai…!
Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathoN ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathoN me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!
Kabhi jalaati, kabhi bujhaati hai,
Teri yaad aati hai…!
Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte haiN,magar aisa hota nahi….!
Kabhi chupaati hai, kabhi dikhaati hai,
Teri yaad aati hai….!
Mera aks na jane kitne tukdoN me usne,
Apni un ankhiyoN se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddatoN mujhko chipaaya hoga…!
Kabhi bhulaati, kabhi apnaati hai,
Teri yaad aati hai….!

Dard itna Tha K uSs Raat DiL-e-WehShi Ne,
Har RaG-e-jaaN Se uLajhNa Chaaha,
Har BuN-e-Moo Se TapakNa Chaaha,
Aur KahiN Door TeRe SeHeN Mai Goya,
Patta Patta Mere AfsuRda Lahu Mai DhuL Kar,
HusN-e-MahTaaB Se AaZurDa NaZaR AaNai Laga,
Mere ViRaaNa-e-TaN Mai Goya,
SaaRe DukhTe HoWe RaisHooN Ki TaNaBaiN KhuL Kar,
SiLsiLa WaaR PaTa DeNe LaggiN,
RukhsaT-e-QaafLa-e-ShoQ Ki TayyaaRi Ka,
Aur jaB yaaD Ki BujhTi HoWi ShammooN Mai NaZaR Aaya Kahin,
Eik PaL AakhRi Lamha TeRi DiLDaaRi Ka,
Dard iTna Tha K uSs Se Bhi GuZaRna Chaaha,
HuM Ne Chaaha Bhi, MaGaR DiL Na TheheRna Chaaha….

isk agar farmaaogey pyaare…..yaad rakho pachtaaogey pyaarey….jooota tumse sharmaaega…itney joote khaogey pyaare……
Ek thandi subah me apki yaad ayi,
yaad bhulane ke liye aag jalai,
khuda kasam aisi kyamat hui,

Gham ne hasne Na diya
Zamane ne rone Na diya
is uljano ne jine Na diya
Thak kar jab sitaron se panah li.
neend aayi to aapki yado ne sone Na diya.
suna haiy kaiy chahnay walay milla nahi karatay
ye wo phool hain jo har jagga khilla nahi kartay
ye rahtay hain janat main eik bagh kaiy andar
ye loog zameen pay kaheen milla nahi kartay.
rooth jaanay paiy mana liaty hain eik dojjay ko
etna chahtay hain kaiy gilla nahi kartay…….
marata marata mar jaiy ga eik din us paiy…
ye wo loog hain jo eisay milla nahi kartay.
ghata zulfain,haseen lub,nasheeli ankhian,sunhara badan
eisay dil ruba sahil tuj ko milla nahi kartay……….
tujay apna banaana chata hoon Main.
tary dukhoon ko apnaana chata hoon Main.
tary khaialoon main khona chata hoon Main.
miri jaan..main tera hona chata hoon Main.
loog dhondhain mujay sher sher……………
taray dil ki galion main khona chata hoon Main.
judai mujay sonay nahi diati aksar………..
tari zulfoon kii chaoon main soona chata hoon main.
hasta rehta hoon mahfil main yohin mugar…
sang tari yaad.. tanhai main roona chaata hoon main.
tujay aksar sitaroon main dhondhta rehta asman paiy
ban kaiy chaand tary pass aanna chaata hoon main…
tu mari nahi kasi or kii haiy jaana …………
ye batta kaiy dil ko rollana chaata hoon main.
kaisi masoom see khwahish liay phirta hoon dil main
ban kaiy yaad uski yaadoon main rehna chaata hoon main..
bhol ja sahil aab us pari chary koo…………………
kisa pagal haiy dil ko kia samjaana chaata hoon main.

jihidgi mai gam hazaro hai ,
aap jaise sanam hajharo hai,
per hame jinki talash hai jane wo kow se najharo mai hai,
dhoondte hai jinhi virano mai ,
chipe ho sayad wo baharo mai.
Bolo to do lafz mano to bandgi karo to aashan nibhao to muskil socho to gahera sagar dubo to zindagi

Har Phool Ki Azab Kahani Hai,
Chup Rehna Hi Pyaar Ki Nishamni Hai,
Kahi Koi Jakhma Nahi Phir Bhi,
Khud Dard Ka Ehssas Hai,
Lagta Hai Dil Ka Ek Tukra,
Aaz Bhi Aap Ke Paas Hai.

*Teri yaad mein gaafil kabhi ho jaaonga…
Dekh lena zameen odh kar so jaaonga…
Jindagi har pal khas nahi hoti,
phulo ki khusbu hamesha pas nhi hoti,
milna hamari taqdir me likha th,
varna itni pyari dosti kabhi itefaq nhi hoti……
Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai.
Tujhe Ishq ho KHUDA kare Koi tujh ko us se judda kare Tere hont hansna bhi bhool jayen Teri aankh pur nam raha kare Tu us ki baatein suna kare Woh nazar jhuka kar chala kare Tere khuwaab bikhren toot ker Tu kirchi kirchi chunna kare Tu nagar nagar phira kare Tu gali gali sada kare Main kahoon Ishq dhong hay Tu nahiii nahiii kaha kare
Un se dur bhala hum kaise reh paate…
Dil se unhe kaise bhula paate…
Kaash ki woh sanso ke illava aayine mein bhi hote…
Khud ko bhi dekhte to woh nazar aate…
Kuchh meethe pal yaad aate hai…
Palkon par ansu chhod jaate hai…
Kal koi aur mile to humne na bhul jana…
Kuchh anjan riste zindagi bhar kaam aate hai.
Vo kaun hai duniyaa mein jise gamm nahin hotaa, Kis ghar mein Khushii hotii hai maatam nahin hotaa, Aise bhii hain duniyaa mein jinhein Gam nahin hotaa, Ek ham hain hamaaraa Gam kabhii kam nahin hotaa
ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyun hai.
inkaar karne par bhi chaht ka ikraar kyon hai.
use pana nahi meri taqdeer main shayad.
phir har mod pe usi ka intezaar kyon hai…!
Teri awaz tere roop ki pehchan hai,
tere dil ki dhadkan mere dil ki jaan hai.
Na sunu jis roz teri batein,
lagta hai us roz ye jism hi bezaan hai
Abhi Is Taraf Na Nigah Kar,
Main Ghazal Ki Palkeen Sawar Loon Mera Lafz
Lafz Ho Aieena Tujhe Aieeney Main Utar Loon.
Kaiee Ajnabi Teri Rah Main
Merey Paas Se Yun Guzar Gaye Jinheen Dhaikh Kar Yeh Tarap Ho
Tera Naam Le K Pukar loon.
Dil ki bas yehi aarzoo hai,
ke kabhi tumse miljaaye hum,
Dhadkanon ka yeh kehna hai,
tum bin na dhadak paayenge hum,
en doorion mein tumko, jitna yaad kiya humne,
tere aane par tumko itna chaahenge hum,
Mere Baarey Mein Hawao Se Wo Kab Poochey Ga
Khaak Jab Khaak Mein Mil Jaye Gi Tab Poochey Ga
Ghar Basaaney Mein Yeh Khatra Hai Ke Ghar Ka Maalik
Raat Mein Deir Se Aaney Ka Sabab Poochey Ga
Apna Gham Sabko Batana Hai Tamaasha Karna
Haal-e-Dil Usko Sunayein Ge Wo Jab Poochey Ga
Jab Bicharrna Bhi To Hanste Hue Jana Warna
Har Koi Rooth Ke Janey Ka Sabab Poochey Ga
Ik tabasum honto pay raksa hai
Koshish hai gam chopane ki
Mere ahbaab samajte hai
Mujhe adat hai muskarane ki
Nazrein mile ek zamaana ho gayaa….
Aisa lagta hai apna bhi koi begaana ho gayaa….
Wo to chale gaye humse door….
Lekin mushkil is dil ko samjhaana ho gayaa
aaj tumharey liye dil main pyar,
tum hi layi meri zindagi main bahar,
kabhi na hona mere dil se farar,
wishing u love BAAR-BAAR!
Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hi
Aisay Naraz Na Ho,Hans Ke Dikha De Mujhe Ko
Aur Kuch Nahin Manga Meray Malik Tujhe Se
us Ki Galiyoon Ki Khak Bana De Mujhe Ko
Log Kehtey Hein Ke Yeh Ishq Nigal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Mein Aaya Houn,Duaa De Mujhe Ko
Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoo,Bhula De Mujhe kos
Kaha usney,,,,,BHORAASA dil per itna nahi kertey….
kaha maine ,,,,,MUHABBET mein kabhi soocha nai kertey…..
kaha usney,,,,,KHUSH RuNG duniya keh nazarey hein…..
kaha mainey ,,,jub tum saath ho kuch daikha nahi kertey…….
kaha usney,,,,mein tum se Door hoon lakin tumhaara hoon………
kaha mainey,,,,khaboon se dil behlaya nahi kertey……
kaha usney,,,tumhaari CHAHTEY tumhe roswaa ker dein gey……
kaha mainey,,,,SHUHRET se ghubraya nahi kertey……….
kaha usney,,,,Samjh jao Samjh jao meri jaan…..
Kaha mainey,,,,deewaanoon ko samjhaya nahi kertay
ankhon ki zaban thi per izhaar nai tha
hum dono may koi shok sa karar nahi tha
door ho k jo tadpi hoon teri soorat ki khatir
ab kaisey may kahoon mujhey piyaar nahi tha!!
hum dosto ko bhulatey nahi hai
mgr yeh baat jtatey nahi hai
dosto ko hamesha rakhtey hai yaad
hum bhoola ney k liye dost bnatey nahi hai
zindgi mhtaaj nahi manziloo ki waqt her
manzil dekha deta hai
marta nahi koi ksi se juda ho k
waqat sab ko jeena seekha deta hai
samjha na koi dil ki baat ko
dard duniya ne bin sochey hi de diya
seh gaye jo hum agr dard ko chup k se
to patthar dil keh diya
zindgi ksi ki amanat nahi hoti
amanat may kabhi khayant nahi hoti
humsey dosti zara sambhal k karna
hamarei dosti ki qaid may zamanat nahi hoti
aap ko bhool jaao umer guzrne ki baat hai
apko na ho yaqeen yeh aur baat hai
jab tak rahegi saans tab tak raho gay yaad
ye saans toot jaye to aur baat hai
ksi ki chahat per zinda rehney waley hum na thay
ksi per yoon mar mitney waley hum na thay
adat se pad gai hai tumhey yaad karney ki
warna ksi ki yaado may roney waley hum na thay
jaam pe jaam piye jarhey hai
kuch sfr zindgi k jiye jarhey hai
na janey kon sa saans ho akhri
is liye her saans k sath yaad apko kiye jarhey hai
kabhi aap ki ghamo sey mulaqaat na ho
udaas baitho aise koi baat na ho
shikayat ho to hamey maaf kar dena
fursat se baithe ho to humay yaad kar lena
hasti thi hasati thi
baloo ko lehrati thi
kuch soch kr sharmati thi
phir kuch soch k muskurati thi
aaj pta chala
saali pagall thi!!
un hay yeh shikwa hai k hum un hay yaad kartey hi nahi
par un hay ye kon samjhaye ki hum un hay yaad kaise karain
jin hey hum kabhi bhooltain hi nahiii!!
hoti nahi mhbbt soorat se
mhbbt to dil se hoti hai
soorat un ki hi pyaari lagti hai
qadar jin ki dil may hoti hai
zindgi may kuch pal aisey aingay
jab hum tumharey saath na reh paingay
tum mayoos na hona un raho per
hum tumharey dil may hongay sirf saath na chall paingay
Kudrat k karishmaaon may agr raat na hoti
..
khawabo may bhi un se mulaqaat na hoti
..
yeh dil her ek gham ki waja hai
..
yeh dil hi na hota to koi baat hi na hoti..!!!
Ek khawaab ek khayal ek haqeeqat ho tum…
dosti may parney wali her zaroorat ho tum…
jis ko roz ek sms karna padey…
kiya yaar Ajeeb MOOSEEBAT ho tum…!!
chaho to dil se humey mita dena
chaho to hum ko bhoola dena
per ye wada karo k kabhi jo yaad humaari aayi
RONA mat sirf ek SMS kar dena
waqt ne saari kahani badal dali
pyaar ka naam jo aata hai to dar lagta hai
zakhm kush aisey bhi apn ney diye hai mujh ko
ab koi haath milata hai to bhi dar lagta hai!!
Pyaar koi cheez nahi jise mehnat se haasil kiya ja sakey
pyaar koi muqaddar nahi jise taqdeer pe chhoda ja sakey
pyaar ek yaqeen hai bharosa hai lekin ye itna asaan nahi
k kisi pe bhi kiya ja sakey..!
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
khali hi sahi hatoh may jaam to aaya
mai hoon bewafaa sab ko btaya usney..
yoon hi sahi uske labo pe mera naam to aaya
Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha
Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha
Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha
Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere
Koi hudood phir koi zaabta na raha
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha
__________________
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the
Hum the ki pagalon ki tarah hanste the
Yeh hale dil hum kaise sunaye ki
Takleef na ho unko iss liye akele rote the
Arz kia hai
har gali har devar par tera naam ho,
.
.
.
.
har gali har devar par tera naam ho,
.
.
upar wanted aur niche dus lakh ka einam ho…


amesha Muskura Kay…
“Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chun’ney na aaya”
Mere Mehbob ki ANKHEN na samander na kinara
mere Mehbob ki BATEIN na kahani na fasana…
Mere Mehbob k HONTO sy kahein lafz sitaryn
mere Mehbob k HATHON sy chuwa chez hai pyara..
Mere Mehbob k SAR py jo dupata hai haya hai
mere Mehbob k HATHON mei jo churre hai wafa hai..
Mere Mehbob k PAIRO ki jo matti hai vo khushbo
mere Mehbob k BATON mei jo gharmi hai vo jadu…
Mere Mehbob HAQIQAT mei chupa chand hai AAKASH
mere Mehbob sa Mehbob sa jaha mei na sama mein.
RAAT GEHRI HAI SAMUNDA KI TARHA
DOBTA JATA HON PATTHER KI TARHA
TOMSE MILTE HOVE JI DARTA HAI KYA CHOPA
RAKKHA HAI KHANJAR KI TARHA

Log kehte hai hume aadat hai muskurane ki
magar log ye nahi janteki hume aadat hai gum chupane ki………….
meri dua hai tu sabse nek sirat ho.teri tarha tera dil bhi kahubsurat ho. dua se phale mile tujko jo tu chahe ke khud dua ko tere hatho ki zarorat ho……………..
aaj kuch kami hai tere baghair
na rang hai na roshni hai tere baghair
waqt apni raftaar se chal raha hai
bus dhadkan thami hai tere baghair
gud collection. i can only say…
apna woh nahi jo pass aa gaya,
paraya woh nahi jo door chala gaya,
aane jane se nahin bante apne paraye,
apna to who hota hai jo dile mein sama jayen.
all the best.
mo banda shayari lekhucha maghie,,,,
asa mo ra tike banda rasa khaidia
tama bou biare baragachha re maghia……..
dil ne dil ka haal batana chod diya,
hamne bhi gharai main jana chod diya,
jab unko hi duri ka ehsaas nahi,
to hamne bhi ehsaas dilana chod diya.
log rote hain hum jug ko hasa lete hai,
kaise koi kisi ko chahat main fasa lete hain ,
jindagi nikal gayi humari oron ka ashiyana bachane main,
kaise log aankh bad kar apna ghar basa lete hain…..
Hum jo nikle share karne
hamera bhi bhi kuch arman the
ek taraf jhariya thi dushri taraf samsaan the
jyo hi pair tika hadi pe hadi ke ye bayan the
ae musafir dekh ke chal hum bhi kabhi insan the
ek larki se uska nam pucha ,larki ne kaha mera nam mere activa k piche likha hai 7.3 4.3 9.3 2.1 dimag hai to btao larki ka naam kya tha .
its chalange for uuuuuuuuuuuuuuu
Chand ne rabse chandani mangi
suraj ne rabse roshni mangi
rab ne jab pucha humse
to hamne koi hur nahi
tum jaise dost ki dosti mangi
I LOVE YOU SWETA
INDIA ME PYAR KI SIRF THEORY KI CLASS HOTI HAI :-
KISI N KAHA HAI KI:
BHRAMAR KOI KUDNI PAR MACHAL BAITHA TO HANGAMA HAMARE DIL ME KOI KHWAB PAL BAITHA TO HANGAMA PAHLE SAB DOOB KAR SUNTE THE KISSA MOHHABBAT KA
ME KISSE KO HAQIQAT ME BADAL BAITHA TO HANGAMA
duniya main jeene ke bahane hazar hote hai…..jo jeete hai bina dosti ke wo bekar hote hai………..jo karte hai sachi dosti ki kadar ………….bs wahi to dosti ke hqdar hote hai
Ek waqt tha jab hum unke liye anmol hua karte the
Duniya ki haseeno me unki taraf se hamari ginti hua karti thi
Kabhi dukhi hote agar hum to unhe dard hua karta tha…
Kuch lamho ka he tha vo pyaar, vo ahsas
Humne to unhe apna k har khusi un pe vaar di
Par Aaj hum unke liye he bebuniyad ho gye hai…
Phoolon ko chune se kanhi hume kante na chubh jaye,
Is se darne wale he aaj hamari rahon me kante bicha k,
hamare aane ka intzaar karte hai
Pyaar ki is dariya me humne sab kuch luta diya
Or aaj vo hume he apna banana se nakar baithe hai..
Zindgi nahi humain doston se pyaari,
Doston pe hazir hain jaan hamari,
Aankhon main hamari aansoo haito kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskan tumhari.
Mat kar dost apni girl friend se itni mohabbat,
Woh aankhon se war karti hai,
Maine dekha hai uski aankhon me,
Woh mujhse bhi pyar karti hai

Mangi Thi Dua Humne Rub Se,
Dena Hume Dost Jo Alag Ho Sab Se,
Usney Mila Diya Hume Apse Aur Kaha,
Sambhalo Inhe ye Anmol Hain Sab Se”:-)
tumhe dekh kar palke sharm se jhuk jaati hai ,
kuch baate labo par aake hi ruk jaati hai ,
kahe toh kaise kahe yeh 3 akshar tumse ,
ladki hu yeh majboori beech me aa jati hai .
gul i l u
Khidki khuli,zulfain udi
laga husn -e -yarr ka deedar thaa….
zulfain hati,kismat phuti
arey ye to sunday ko nahaya hua sardaar thaa….
YASHOMATI MAIYYA SE BOLE NANDLALA,
YASHOMATI MAIYYA SE BOLE NANDLALA,
…..
…..
…..
…..
….
ISKO LAGADALA TO LIFE JHINGA LALA JHINGA LALA…
ishq ke jaam ko aise na piyo
ki adha piya adha chod diya,
yeh pyaar hai mere yaar
nahi koi VIM BAR ki thoda sa lagaya aur ho gaya ..
when i cry no 1 sees my tears,
when i m sad no 1 sees my pain,
when i m happy no 1 sees my smile,
…….
……
…….
…….
but saalaa 1 ladki ke saath ghumo to sari duniya dekh leti hai.
teri galion mein na rakhein ge kadam aaj ke baad,
teri galion mein na rakhein ge kadamaaj ke baad,
……
…….
……..
……..
…….
……..
…….
kyon ki kichad bohut ho jata hai BARISH ke baad !!
Na pooch teri judai ke lamhe humne kaise bitaaye…
…….
……..
Paani main surf mila ke straw se bulbule banaye!!
Yu dekha naa karo hume haste haste,
Yu dekha naa karo hume haste haste,
……
…..
…..
Mere dost bade kharaab hain keh denge ‘Bhabhi Ji Namaste!’
woh aati hai toh raastey pe 100 100 ke note bichchaata hoon…………..
woh aati hai toh raastey pe 100 100 ke note bichchaata hoon…………..
.
.
.
.
..
.
.
.
.
.
.
.
chali jaati hai toh uthaa letaa hoo





Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib