Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,

1) Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
Hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chodkar log karte hai pyar?

3) Leke hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi wo khushi kya kare,
tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare

4) Yaad karte hai tumhe tanhai mein,
dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
hume mat dhoondna duniya ki bhid mein,
hum millenge tumhe tumhari parchaai mein॥

5) Humse door jayoge kaise,
Dil se hume bhulayoge kaise,
Hum to vo khusboo hain jo aapki saanso mein baste hain,
Khud ki saanso ko rok payoge kaise

6) Har baar dil se yeh paigaam aaye,
Zubaan kholu to tera he naam aaye,
Tum hee kyon bhaye dil ko kya malum,
Jab nazroo ke saamne haseen tamaam aaye॥

7) Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum. Doob kar jisme marr jayu vo River ho tum. Mere jeevan mein ab to forever ho tum..


9) Shaam hote hii ye Dil udaas hota hai
Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai
Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai Bandar jab koi aas-paas hota

10) Haseeno ne haseen banke gunaaah kiya, auro ko to theek humko bhi tabaah kiya, pesh kiya jab ghazaloN mein unki bewafaii ko, auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya

11) Khuda se thoda rahem kharid lete, aap ke zakhmo ka marhar kharid lete, agar kahin kabhi bikti khushiyan meri, to saari bechkar aapka har gam kharid lete

12) Zindagi mein hamesha SMART log milenge, kahi zyada to kahi kum milenge, choice zara sochke karna, zaroori nahi har jagah tumhe hum jaise milenge

13) Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari, har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari, koi hum ko yaad kare ya na kare, har ek ko yaad karna aadat hai hamari

14) Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti, dil ke jazbat ki awaz nai hoti, ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan, mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti

15) Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai, hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain, humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho se chalakte hain

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib