Zindagi ki raftaar mein

Zindagi ki raftaar mein
Kabhi toh sukun ki shaam aajaye


Na sahena pade lakte jigar
Tadapte iss dil ko araam aajaye


Agar ho khuda ko manzur
Toh unke gunah mujhpar ilzaam aajaye


Bakshen rahem unpar khuda
Toh meri wafaaon ka inaam aajaye


Na ho ilm unhe kisi bhi dard ka
Unke hisse ki taklif mere naam aajaye


Jab tak jiye unpar mare
Kaash meri maut bhi unke kaam aajaye

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib