Posts

Showing posts from June, 2014

Pls Follow me

Dosto Aapse Request Hai Pls Shayri read karne ke sath follow bhi kijiyega Pls i Request to all of u when u read poet also follow in blog pls

tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dete hamein ye zom raha ab k wo pukarenge unhen ye zid thi k har bar ham sada dete wo tera gam tha k tasir mere lahje ki k jis ko hal sunate use rula dete tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete tumhari yad ne koi jawab hi na diya mere khayal k ansu rahe sada dete samton ko main ta-umr kosta Sayed wo kuch na kahte magar honth to hila dete

Par sitary ka muqadar nahi dekha tu ne...!! Anwar

Karb ke shehr main reh kar nahi dekha tu ne, Kia guzarti rahi hum par nahi dekha tu ne, Jism sheshy ka liye shehr main phirny wale, Dast-e halat main pathr nahi dekha tu ne, Aye mujy sabr ke adab sikahny waly, Jab wo bichra to wo manzir nahi dekha tu ne, Jany walon ko sadaen nahi deta mein bhi, Tu bhi mujh sa hai ke murr kar nahi dekha tu ne. Tu ny dekha hai muqadar ka sitara, Par sitary ka muqadar nahi dekha tu ne...!! Anwar

Best Poetry Of Faraz Shab

Urte parindon ko kio qaid nhn kr skta  "Faraz" jo apne hote hen woh khud hi loat aate hen. * Wasi replies to faraz Na rakh Umeed-E-Wafa kisi parindy se "Wasi" zara par kya nikal aein apna hi Aashyana bhool jaty hain.  * Latif replies to both faraz and wasi: Parindy hawaon se wafa kerte hAIn zameen se nh "Latif"  Ager paridon se wafa chahye to aasmaan me urna seekh.:-)

Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

Ho Mubarak Momino RAMADAN Aa Raha Hai...!!!

Dill Mai Phir Khooshiyo Ka Paigaam Aa Raha Hai, Ho Mubarak Momino RAMADAN Aa Raha Hai...!!!

Rotay Phirtay Hain Sari Sari Raat Ab Yeh Rozgaar Hai Apna.

Be-Khudi Ley Gayi Kahan Hum Ko Dair Se Intezar Hai Apna, Rotay Phirtay Hain Sari Sari Raat Ab Yeh Rozgaar Hai Apna.

Naseeb Walo Main Mera B Naam Ho Jae,

Naseeb Walo Main Mera B Naam Ho Jae, K Zindagi Ki Madiny Main Sham Ho Ja

Ye Keh K Mukar Gai Zindagi Meri...!

Sukh Hi Sukh Ataa Karon Gi Tujhy.. Ye Keh K Mukar Gai Zindagi Meri...!

Koun Marta Hai Phir Kisi Ke Liye.....!!

Saarey Jhagrey Hi Zindagi Tak Hain, Koun Marta Hai Phir Kisi Ke Liye.....!!

Kisi Se Maafi Maang Li Toh Kisi Ko Maaf Kar Diya...!!

Kuch Is Tarah Se Maine Zindagi Ko Aasaan Kar Diya, Kisi Se Maafi Maang Li Toh Kisi Ko Maaf Kar Diya...!!Anwar My Fav_________This

Ki Be Zarar Hi Sahi, Be Zameer Hum Bhi Nahi…!

Humein Bujha Dey, Hamari Ana ko Qatal Na Kar, Ki Be Zarar Hi Sahi, Be Zameer Hum Bhi Nahi…!

Aadmi Nahi Marta Sirf Khoon Bahane Se..

Ek Nigah BarfeLI Ek Bol Pathar Saa... Aadmi Nahi Marta Sirf Khoon Bahane Se..

Happy Ramdaan To All Of You

Image

Or hame unki yaad KO bhulana nahi aata

Who hamare siwa sabse milte hai  Or hame Kisi or se hath milana nahi aata  Unhe hota nahi yakeen hamare pyar per Or hame dil cheer ke dikhana nahi aata Who bhool jate hai hamara chera ek pal mai  Or hame unki yaad KO bhulana nahi aata 

Sath Chalne Ka Jo Maza

http://anwarshayriworld.blogspot.in/ Sath Chalne Me Jo Maza Hota Hume Bhi Wo Mila Hota Yhi Hasrat Rahi Apni Sath Apne Bhi Koi Chala Hota Hum Bhatakte Rahe The Raste Mein Koi Rasta Pata Chala hota Thaam Lete Badhkar Us Hathko Gar Humko Bhi Koi Mila Hota Hum Ulajhte Nahin Zamane Se Jo Humsafar Koi Mila Hota Hum Na Thakte Safar Mein Gar Sath Apne Koi Chala Hota Anwar

Dil Ko Chu Jaati Hai

Dil Ko Chhu Jaati Hai Raat Ki Aawaaz Kabhi... Chunk Uthta Hon Kahin Tu Ne Pukara Hi Na Ho..

Meri Mukhklis Wafaey Bhi Tujhe

Meri Mukhlis Wafain Bhi Tujhe Qail Na Kar Sakin... Mere Baray Mein Logon Ne Tujhe Behka Diya Kitna..

Khabar Mujhe Nahi Hai

Khabar Mujhe Bhi Nahi Hai Sukhan Shanas Mere... Guzar Rahay Hain Shab-o-Rooz Kyon Udas Mere...

Parwah Nahi Agar Yeh Zamana

Parwah Nahi Agar Ye Zamana Khafaa Rahe... Momin Dua Ye Mang, Khuda Meherba'n Rahe.

Zameer Marta Hai Ehsaas Ki Khamoosi Se

Zameer Marta Hai Ehsaas Ki Khaamoshi Se, Ye Woh Mout Hai Jis Ki Khabar Nahi Hoti.. .!

Mai Bus Itna Janta Hoon

Main Bas Itna Janta Hon Tere Baghair, Zindagi Hayaat Nahi Mout Nijaat Nahi..!

Wo Jo Dil Ko Qabool Hote Hai

Woh Jo Dil Ko Qubool Hote Hain, Unke Patthar Bhi Phool Hote Hain.

Per Main Buzdil Hon Mujhe MOut Se Dar Lagta Hai..

Main Jo Chaho Tu Abhi Toor Lon Nata Tum Se.... Per Main Buzdil Hon Mujhe MOut Se Dar Lagta Hai..Anwar

Rotay Phirtay Hain Sari Sari Raat Ab Yeh Rozgaar Hai Apna.

Be-Khudi Ley Gayi Kahan Hum Ko Dair Se Intezar Hai Apna, Rotay Phirtay Hain Sari Sari Raat Ab Yeh Rozgaar Hai Apna.
Hi Dosto Pls Like And Follow my Blog Mai Aap sab Ka Abhaari rahunga Sada App Sab Ko mera Salam Namaste 

Kaas Aisa Baraq Tera Mera Iman Ho

Kaas Aisa Barak Tera Mera Iman Ho Jis Ke Ek Taraf Geeta Ek Taraf Quraan Ho Kaas aisi Mohabbat Ho is Desh Mai Ke Mere Ghar Ramzaan Ho Tere Ghar Upwas Ho Anwar

Mohabbat Aazmani Ho to Bus

Mohabbat Aazmani ho To Bus Itna He Kaafi Hai Zara Sa Rooth Ke Dekho Manane Koun Aata Hai Anwar

Mohabbat Ke Baad

Mohabbat Ke Baad Mohabbat Mumkin Hai Bus Toot Ke Chahna Shirf Ek Baar Hota Hai 

Aaaya Tha Khatttt

Aaya Tha Khatt hame Bhool Jaiyye Hamne Jawa-Be-Khatt Ka Qinara Jala Diya

Ghoomte Hai Be-Khoof Patthro Ke Sehar Mai

Ghoomte Hai Be-Khoof Patthro Ke Sehar Mai Ke Sayad Thokre Kha Ke Sambhalna Aa Jaye

Mere Dukh Mere Sukh

Męrãy Dûkh Ãur Męrãy Sûkh Aksęr Mûjh Kô Tànhà Kàr Dętãy Haįn Męrãy Sàth Hį Hnstãy Haįn Ãur Męrãy Sàth Hį Rotãy Haįn Męrãy Dûkh Ãur Męrãy Sûkh

Kbi may dil se larta hon,kbi dil muj se larta hy

Mohabbat hy k nafrat hy koi itna tu sumjhaye, Kbi may dil se larta hon,kbi dil muj se larta hy. Anwar

Laakh Samjhaya K Shak Karti Hai Duniya ,

Laakh Samjhaya K Shak Karti Hai Duniya , , Magar Naa Gayi AaDat Uski Muskura K Guzarne Ki

Dil routa hai aur hum muskuraate hain..

Iss tarah se dard dil ka chupaate hain Dil routa hai aur hum muskuraate hain..

Koi Kisi Ka Khuch Bhi Nahi

ajeeb rastay hain ye chahaton k beech Anwar Koi Kisi ka sab kuch ha or KOi Kisi  ka “KUCH B NHI”

Mai Khushbu Ki Terhan Mehku, Khyal-e-Yaar Sey Pheley

Jamaal-e-Yaar Ko Dekhoon, Kamaal-e-Yaar Sey Pheley Mai Khushbu Ki Terhan Mehku, Khyal-e-Yaar Sey Pheley

Tumko saari duniya se cchupa k ab rakhna zaroori hai

Sochta hoon k apne dil ko sheeshmahal kar doon... Tumko saari duniya se cchupa k ab rakhna zaroori hai

Ruke To Maut Ban Jaye

Pyar Koi Barish Ka Naam Nahi , " Jo Barse Aur Tham Jaye " Pyar Suraj Bhi Nahi , " Jo Chamke Aur Doob Jaye " Pyar To Naam Hai Saans Ka " Jo Chale To Zindagi " Aur " Ruke To Maut Ban Jaye.

Aakar Bewafa Ho Gaye..!!

Muhabbat Sikha Ke Juda Ho Gaye Na Socha Na Samjha Khafa Ho Gaye Duniya Me Ek Bar Humne Kisi Ko Apna Kaha Tha Wo Bhi Logon Ki Baaton Me Aakar Bewafa Ho Gaye..!!

गरीबी में आशिक , बेमौत मारा जाएगा

दौर ए मोहब्बत कभी ख़त्म नहीं हो पायेगा , बस इश्क करने का अंदाज़ बदल जाएगा । नहीं महकेंगे ख़त , अब गुलाबों की तरह , ख़त लिखने का चलन ही ख़त्म हो जाएगा । आशिक नहीं देंगे जान , माशूक की खातिर , माशूक का दिल किसी और पे आ जाएगा । मोहब्बत की तराजू में दौलत का चलन है, गरीबी में आशिक , बेमौत मारा जाएगा

'आँखे' कितनी अजीब होती है,

'आँखे' कितनी अजीब होती है,  जब उठती है तो दुआ बन जाती है,  जब झुकती है तो हया बन जाती है,  उठ के झुकती है तो अदा बन जाती है  झुक के उठती है तो खता बन जाती है,  जब खुलती है तो दुनिया इसे रुलाती है,  जब बंद होती है तो दुनिया को ये रुलाती है...!! "हर रिश्ते में विश्वास रहने दो; जुबान पर हर वक़्त मिठास रहने दो;  यही तो अंदाज़ है जिंदगी जीने का; न खुद रहो उदास, न दूसरों को रहने दो..!"

Bewaqt Poori Ho Jaati Hai....

Kabhi Sab Kuch Keh Kar Bhi Baat Adhuri Reh Jaati Hai, Toh Kabhi Kuch Na Keh Kar Bhi Baat Poori Ho Jati Hai, Keh Do Wo Har Baat Jo Zaruri Hai Kehna, Kyunki Kabhi Zindagi Bhi Bewaqt Poori Ho Jaati Hai....

Fir Na Jaane Kyu Alvida Keh Jaate Hai…........!!

Vishwas Ban ke Log Zindagi Me Aate Hai..!! Khwab Ban ke Aankho Me Samaa Jaate Hai..!! Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai..!! Fir Na Jaane Kyu Alvida Keh Jaate Hai…........!!

Jitna Tum Bhi aaj Tak Humse Kar Na Sake

Pyar Itna Mat Karna K Dil Reh Na Sake, Dur Itna Mat Rehna K Hum Seh Na Sake, Karte Hum B He Apse Utna Hi Pyar, Jitna Tum Bhi aaj Tak Humse Kar Na Sake

Tu ney mujh ko kho dia,mein ney tujhy khoya nahi..

Gham ki barish ney bhi tery naksh ko dhoya nahi.! Tu ney mujh ko kho dia,mein ney tujhy khoya nahi..

To kehna hosh bas itna hai tum ko yad karte hain…

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar, To kehna hosh bas itna hai tum ko yad karte hain…

Sahyad wo kuch din’on sey idhr dekhty nahi.!

Taari nigah-o-dil pe hai ik marg-e-bekhudi.. Sahyad wo kuch din’on sey idhr dekhty nahi.! 

Tmhari baat tm jano tmhara raaz Rab janay

Hmari baat itni hai k raaz-e-zindagi tm ho Tmhari baat tm jano tmhara raaz Rab janay

Hum ney dekhi hai qayamat shab-e-tanhai ki..Anwar

Shama khamosh, dil afsurda, nigah’ein be-noor.!! Hum ney dekhi hai qayamat shab-e-tanhai ki..Anwar

Badal ja ker barsa hai kohsar’on mein..

Shehar duaa’en mang raha hai barish ki.!! Badal ja ker barsa hai kohsar’on mein.. Anwar

Phir cha'ah kar bhi apnon k liye Waqat nahi Milta...

Fitrat-e-aadam main jab Mohabat kam par jaye, " Anwar " Phir cha'ah kar bhi apnon k liye Waqat nahi Milta...  

Mujhe Yeh Sikwa

Mujhay yeh shikwa k tu ru-bru kyun nhi usay yeh maan k mujhay dhoond k mil

Arz Krtay Hain Agar Enayat Ho Sahib...!!

Arz Krtay Hain Agar Enayat Ho Sahib...!! Khail Chukay Aap To Dil Wapis Kijiye...!!

Tera Rukhsar Bhi Utna Nikher Jata Hy

Zawiya Jitna Nigaho'n Ka Sanwar Jata Hy Tera Rukhsar Bhi Utna Nikher Jata Hy Aise Lamhat Bhi Aaty Hyn Raah-e-Ulfat Mein Ya Wafa Haath Se Jati Hy Ya Sarr jata Hy Main tere Gham Mein Bhala Ashk Bahao'n Kab Tak Aankh Tou Aankh Hy Darya Bhi Utar jata Hy Hasti-e-Gul Hy Faqat Chandd Adaao'n Pe Muheet Phool Sharmata Hy , Hansta Hy bikhar Jata Hy Qurb-e-YAAR se Mohsin Ko Baqa Milti Hy Zarf Parwane Ka Chota Hy k Marr Jata Hy ... !!

Kehta Raha Tujhe Kab Ka Bhula Diya

Teri Yaadon Main Hi Kat Gayi Ye Umar... Kehta Raha Tujhe Kab Ka Bhula Diya…!!!

Woh Shakhs Bhi Aik Tha Aur Mera Dil Bhi Aik....!!

Phir Kabi Nahi Ho Sakti Mohabbat Suna Tum Ne.. Woh Shakhs Bhi Aik Tha Aur Mera Dil Bhi Aik....!!

Kisi Ghareeb Ki Beti Ka Haath Ho Jaise...!!!!!

Humaray Dil Ko Koi Mangnay Bhi Na Aaya... Kisi Ghareeb Ki Beti Ka Haath Ho Jaise...!!!!!

Hanste Hue Maa Baap Ki Gaali Nahi Khaate

Hanste Hue Maa Baap Ki Gaali Nahi Khaate Bachche Hain To Kyun Shauq Se Mitti Nahi Khaate Tum Se Nahi Milne Ka Iraada To Hai Lekin Tum Se Na Milenge Ye Qasam Bhi Nahi Khaate Bachche Bhi Gharibi Ko Samajhne Lage Shayad Ab Jaag Bhi Jaate Hain To Sehri Nahi Khaate Footpath Pe So Jaate Hain Akhbaar Bichaa Kar Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khaate Daawat To Badi Cheez Hai Hum Jaise Qalandar Har Ek Ke Paison Ki Dawaa Bhi Nahi Khaate Allah Ghareebon Ka Maadadgaar Hai Raana Hum Logon Ke Bachche Kabhi Sardi Nahi Khaate

Jo Yun Jeeven Bitata Ho Ussey Kab Neend Aati Hai…

Kabhi Maazi Ka Pachtawa Kabhi Anjan Mustaqbil… Jo Yun Jeeven Bitata Ho Ussey Kab Neend Aati Hai…

Us K Haatho Mein Mera Haath Kahan Mumkin Hai..

Ye Bhi Ik Khawab Ka Jaga Hua Manzar Hee Na Ho.. Us K Haatho Mein Mera Haath Kahan Mumkin Hai..

Ik Jhoota Lafz Mohabbat Ka..!!!

Ik Sacha Roop HaQeeQat Ka..!! Ik Jhoota Lafz Mohabbat Ka..!!!

In Keemti Lamhon Ko Ganwana Nahi Acha.

Do Din Ki Zindagi Hai Usay Hans K Guzaro, In Keemti Lamhon Ko Ganwana Nahi Acha.

Hum Teri Yaad Se Jis Rooz Utar Jayen Gay...!!!!!

Kis Qadar Hoga Yahan Mehr-O-Wafa Ka Matam, Hum Teri Yaad Se Jis Rooz Utar Jayen Gay...!!!!!

Janey Kyon Khojtay Rehte Ho Hisaabon Mein Mujhe..

Zaroob-o-Taqseem Wasi Ishq Mein La-Hasil Hai...!!!! Janey Kyon Khojtay Rehte Ho Hisaabon Mein Mujhe..

Zara Main Yaad To Kar Loon Koi Wafa Teri....!!!!!

Tujhe Khiraj-E-Muhabbat Ada Karon Ga Zaroor... Zara Main Yaad To Kar Loon Koi Wafa Teri....!!!!!

Mohabbat Mojza Hai, Mojzay Kab Aam Hotay Hain.

Kuch Khaas Dilon Ko Ishq Ke iLhaam Hotay Hain, Mohabbat Mojza Hai, Mojzay Kab Aam Hotay Hain.

Hai Koi Aisa? Jissay Sirf Mohabbat Chahye

Maal-0-Zarr K Silsilay To Aam Hain Aaj Kal, Hai Koi Aisa? Jissay Sirf Mohabbat Chahye

Suna Hai Tum WaFa Ki Baatain Bohat karty Ho...!!!!!

Kabhi Munasib Ho To Hum Say Bhi Hum'kalam Hona. Suna Hai Tum WaFa Ki Baatain Bohat karty Ho...!!!!!

Sharminda Hu'n K Lab Pe Tera Naam Aa Gaya..

Kehna Ye Chahta Tha K Duniya Hai Be-Wafa.. Sharminda Hu'n K Lab Pe Tera Naam Aa Gaya..

Wo Be-Wafai Bhi Karta Raha Wafa Ki Tarha..

Rewaytno Ko Nebhane Ka Tha salika Usse.. Wo Be-Wafai Bhi Karta Raha Wafa Ki Tarha..

Chunk Uthta Hon Kahin Tu Ne Pukara Hi Na Ho

Dil Ko Chhu Jaati Hai Raat Ki Aawaaz Kabhi... Chunk Uthta Hon Kahin Tu Ne Pukara Hi Na Ho

Meri Mukhlis Wafain Bhi Tujhe Qail Na Kar Sakin...

Meri Mukhlis Wafain Bhi Tujhe Qail Na Kar Sakin... Mere Baray Mein Logon Ne Tujhe Behka Diya Kitna..

Khabar Mujhe Bhi Nahi Hai Sukhan Shanas Mere...

Khabar Mujhe Bhi Nahi Hai Sukhan Shanas Mere... Guzar Rahay Hain Shab-o-Rooz Kyon Udas Mere...

Tum hoti to aisa hota,

Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota Tum is baat pe itna hasti, tum uss baat pe itna khush hoti, Tum is baat pe ye kehti, tum uss baat pe wo kehti shukar hai tum nahi ho!!! Warna Pata Nahi Kya Hota

Tumhi Ne Hum Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna,

Tumhi Ne Hum Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna, Dua Woh Kartay K Hum Asman Hila Detay...!!!!!!! www.anwarshayriworld.blogspot.com

न मिला करो सर-ऐ-आम मुझे

न मिला करो सर-ऐ-आम मुझे मैं तनहा तनहा ही ठीक हूँ मुझे चाहतों से डर लगता है मैं नफरतों में ही ठीक हूँ मुझे रास्तों में छोड़ दो मुझे जुस्तजू-ऐ-मंजिल की नही न दिखाओ मुझको रास्ता मैं भटका हुआ ही ठीक हूँ मेरे दोस्तों मुझे छोड़ दो न सुलझाओ मेरी उलझनें मुझे अदावतें ही पसंद हैं मैं दुश्मनो में ही ठीक हूँ मुझे खुशी की कोई तलब नही मुझे अपना ग़म भी नवाज़ दो मुझे आंसू पीना पसंद हैं मैं आंसुओं में हे ठीक हूँ

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO.

Raazoun Ki Tarah Utro Mere Dil Me Kisi Shab

Raazoun Ki Tarah Utro Mere Dil Me Kisi Shab Dastak Pe Meri Haath Ki, Khul Jao Kisi Din Phooloun Ki Tarah Husn Ki Barish Mein Nahaaloun… Badil Ki Tarah Jhoom Ke Ghar Aao Kisi Din Khusboo Ki Tarah Guzro Meri Dil Ki Gali Sey Phooloun Ki Tarah Mujh Pe Bikhar Jao Kisi Din Guzrein Jo Meray Ghar Se Tou Ruk Jaayen Sitaarey Iss Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kisi Din Phir Haath Ko Khairaat Miley Band-e-Qaba Ki Lutf-e-Shab- e-Wisaal Ko Duhraao Kisi Din  Main Apni Har Ek Saans Uss Raat Ro Dedoun… Sar Rakh Ke Mere Seene Pe So Jao Kisi Din