Hanste Hue Maa Baap Ki Gaali Nahi Khaate

Hanste Hue Maa Baap Ki Gaali Nahi Khaate
Bachche Hain To Kyun Shauq Se Mitti Nahi Khaate

Tum Se Nahi Milne Ka Iraada To Hai Lekin
Tum Se Na Milenge Ye Qasam Bhi Nahi Khaate

Bachche Bhi Gharibi Ko Samajhne Lage Shayad
Ab Jaag Bhi Jaate Hain To Sehri Nahi Khaate

Footpath Pe So Jaate Hain Akhbaar Bichaa Kar
Mazdoor Kabhi Neend Ki Goli Nahi Khaate

Daawat To Badi Cheez Hai Hum Jaise Qalandar
Har Ek Ke Paison Ki Dawaa Bhi Nahi Khaate

Allah Ghareebon Ka Maadadgaar Hai Raana
Hum Logon Ke Bachche Kabhi Sardi Nahi Khaate

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib