Posts

Showing posts from December, 2014

Kabhi yoon bhi to ho,

Kabhi yoon bhi to ho, Dariyaa ka sahil ho, Poore chaand ki raat ho, Aur tum aao, Kabhi yoon bhi to ho, Pariyon ki mehfil ho, Koi tumhari baat ho, Aur tum aao, Yeh narm o mulaayam thandi hawayen, Jab ghar se tumhare guzren, Tumhari khushbuu churaaye, Mere ghar le aayen, Kabhi yoon bhi to ho, Sooni har manzil ho, Koi na mere sath ho, Aur tum aao, Yeh baadal toot ke barse, Mere dil ki tarah milne ko, Tumhara dil bhi tarse, Tum niklo ghar se, Kabhi yoon bhi to ho, Tanhai ho, dil ho, Boondain hon, barsatain hon, Aur tum aao, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho..

Pagal Dil Wo Tera Nahi Wo Kisi Or Ka Hai...!!

Pagal Dil Wo Tera Nahi Wo Kisi Or Ka Hai...!! Chup Kr K Sojaa Rat Rony K Liye Nahi Sony K Liye Hai...!!

Kaash Tera Ishq Bhi UP Police Jesa Hota...!!

Rishwat Ley Leta Or Jaan Chor Deta...!! Kaash Tera Ishq Bhi UP Police Jesa Hota...!! 

Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain

Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ? Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne Maikada Bund Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal Apni Tauba Ko Chatakh’ta Howa Paya Mein Ne Shair-o-Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne

Woh Arsh Ka Charagh Hain Main Unke Qadmon Ki Dhool Hon.

Woh Arsh Ka Charagh Hain Main Unke Qadmon Ki Dhool Hon.. Ay Zindagi Gawaah Rehna Main Aashiq-E-Rasool Hon...!!!!!!!!!!

Qateel Ek Khubsurat Buut Hai, Main Jis Ka Pujaari Hun...

Qateel Ek Khubsurat Buut Hai, Main Jis Ka Pujaari Hun... Mere Mazhab Ke Khaaney Mein Magar Islam Likha Hai...

Darguzar Uski Har Khata Kar Di..

Darguzar Uski Har Khata Kar Di.. Us K Haq Mein Aaj Phir Dua Kar Di. Ek Lamhe Mein Kho Dia Usko..! Jis Ko Paane Mein Intehaa Kar Di. Jis Ne Dekha Wo Hogaya Uska..! Uski Tasveer Aaina Kar Di.. Uski Ek Choti Si Khushi Ke Liye..! Apne Hi Haq Mein Bud-dua Kar Di..!

Theek Hi Kehta Tha Mere Muqaddar ka Sitara

Theek Hi Kehta Tha Mere Muqaddar ka Sitara Tu Muhabbat Karega To Main Gardish Karunga.

Charo taraf gehre se hai Andhere

Hawao se dosti hai ... Aasmano se Ishq.. Zameen se toot gya hai rishta.. Charo taraf gehre se hai Andhere Thake thake se hai chirag... Aur Tum..... Door kahin ek timtimata Tara tumhare bin chalu to kidhar... jaoo to kahan... Tumhari mahek..Manzil b hai . rasta bhi.. Umeed ka nasha hai.. kahi shayad tum.. Chupchap se palat aao... Tum palat aao k Tamannao ki Aangdhayi palte... Tabassum ki roshni palte... Zindagi Palat Aaye Shayad... meri zindagi tu mujhse Apna pata to na cheen pata to na cheen....

Khush Rehna Sikh To Liya Tha Us K Begair Bhi...!

Khush Rehna Sikh To Liya Tha Us K Begair Bhi...! Muddato Baad Jo Us Ne Haal Pucha To Behal Kar Diya.....!

Rasm _E_ Ulfat hi ijazat nahi deti warna .........!!!

Rasm _E_ Ulfat hi ijazat nahi deti warna .........!!! Hum bhi tumhe aisa bhoole ke sada yaad rakho

Aao Ke December Ko Rukhsat Karen

Aao Ke December Ko Rukhsat Karen Kuch Khushiyon Ko Sambhal Kar, Kuch Aansuon Ko Taal Kar, Jo Lamhe Guzre Chahton me, Jo Pall Beete Rafakaton Me, Kabhi Wqt K Sath Chalte Chalte, Jo Thak K Ruke Raston Me, Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili, Kabhi Bichre Huon Ki Deed Mili, Kabhi Be’panah MuskuRa Diye, Kabhi Hanste Hanste Ro Diye, In Sare Lamhon Ko Mukhtasir Kren, Aao k DECEMBER Ko Ruksat Kren…

Tarapti Rehti Hai Neend Ankhon Ki Dehleez Par...

Tarapti Rehti Hai Neend Ankhon Ki Dehleez Par... Tere Yaadon Se Wabastgi Mujhe Sone Nahi Deti..!

Kisi Ka Dil Mat Dukhao Uske Ansu,

Kisi Ka Dil Mat Dukhao Uske Ansu, Tumhare Liya Saza Ban Saktay Hain.

Mujh Main Aib Bahut Hon Gay Magar Ek Khubi Bhi Hai, Main Ne Kasi Se Taluq Kbi Matlab K Liye Nahi Rakha...

Mujh Main Aib Bahut Hon Gay Magar Ek Khubi Bhi Hai, Main Ne Kasi Se Taluq Kbi Matlab K Liye Nahi Rakha...

khud apne liye beth ke sochenge kisi din

khud apne liye beth ke sochenge kisi din yun hai k tujhe bhool k dekhenge kisi din

Ranj-0-Alam Ka Dhol Baja Kar Chahat Ka Kashkol Utha Kar,

Ranj-0-Alam Ka Dhol Baja Kar Chahat Ka Kashkol Utha Kar, Dar Dar Phirna Thek Nahi Hai Suno Muhabbat Bheek Nahi Hai.

Bus Ik Meri Baat Nahi Thi

Bus Ik Meri Baat Nahi Thi  Sub Ka Dard December Tha...! Barf K Shehar Mein Rehny Wala Ik Ik Fard December Tha..! Pichhley Saal K Aakhir Mein Bhi  Hairat Mein Hum Teeno Thay..! Ik Main Tha..  Ik Tera Gham Tha.. Ik Barbaad December Tha..!!!

Meray Maalik Ne Meray Haq Mein Ye Ehsaan Kiya,

Meray Maalik Ne Meray Haq Mein Ye Ehsaan Kiya, Khaak Na-Cheez Tha Main So Mujhe Insaan Kiya..!

Kabhi Zaaton Qabeelon Par Khuda Walay Nahi Lartay..

Kabhi Zaaton Qabeelon Par Khuda Walay Nahi Lartay.. Koi Emaan Ko Lalkaray To Phir Khanjarr Uthaty Hain...

Main Chup Raha To Maar De Ga Mera Zameer..

Main Chup Raha To Maar De Ga Mera Zameer.. Gawahi Di To Adalaat Mein Maara Jaon Ga...!!!

Hansata tha phir mujhe rula b deta tha,

Hansata tha phir mujhe rula b deta tha, Kar k aksar wade mujh se bhula b deta tha. Bewafa tha magar acha lagata tha dil ko, Kabhi kabhi batein muhabat ki suna b deta tha. Tham leta tha hath mera kabhi yun hi khud, Kabhi hath apna mere hath se chura b leta tha. Kabhi bewaqt chala aata tha milne ko, Kabhi qeemti pal muhabat k ganwa b deta tha. Ajab dhoop chaaon sa mizaj tha us ka …. Mohabat b karta tha nazron se gira b deta tha

Dukh Dard K Maaron Se Mera Zikr Na Karna.

Dukh Dard K Maaron Se Mera Zikr Na Karna. Ghar Jaao To Yaaron Se Mera Zikr Na Karna. Wo Zabt Na Ker Paayen Gay Aankhon Ke Samandar. Tum Raah Guzaron Se Mera Zikr Na Karna. Phoolon K Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se. Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikr Na Karna. Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhayein. Ab Chaand Sitaron Se Mera Zikr Na Karna. Woh Meri Kahani Ko Galat Rang Na De Dein. Afsaana Nigaaron Se Mera Zikr Na Karna. Shayad Woh Mere Haal Pe Be-Sakhta Ro Dein. Is Baar Bahaaron Se Mera Zikr Na Karna. Lay Jayenge Gehraayi Mein Tum Ko Bhi Bahaa Kar. Darya Ke Kinaroon Say Mera Zikr Naa Karna. Ghar Jaao To Yaaron Se Mera Zikr Na Karna. Wo Zabt Na Ker Paayen Gay Aankhon Ke Samandar. Tum Raah Guzaron Se Mera Zikr Na Karna. Phoolon K Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se. Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikr Na Karna. Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhayein. Ab Chaand Sitaron Se Mera Zikr Na Karna. Woh Meri Kahani Ko Galat Rang Na De Dein. Afsaana Nigaaron Se Mera Zikr Na Karna. Shayad Wo

Manzalain Bhi Uski Thin Rasta Bhi Us Ka Tha.

Manzalain Bhi Uski Thin Rasta Bhi Us Ka Tha. Ik Mein Akela Tha Qaafla Bhi Us Ka Tha.. Sath Sath Chalnay Ki Soch Bhi UsSi Ki Thi. Phir Rasta Badalne Ka Faisla Bhi Us Ka Tha. Aaj Mein Akela Hoon To Dil Sawaal karta Hai. Log To UsSi K Thay Kya Khuda Bhi Us Ka Tha.

Kabhi jo toot ke barsa December,

Kabhi jo toot ke barsa December, Laga apna, Bohat apna December, Guzar jata hai sara saal yun to, Nahin kat’ta magar tanha december, Bhala barish say kia sairaab hoga, Tumharay wasl ka piyasa december, Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin, Bus itna yaad hai ke tha December, Jama poonji yehi hai umar bhar ki.. Meri tanhai aur Mera December..!!!!

Aa Jao Ge Kisi Rooz Jo Taqdeer Ki Zad Main...

Aa Jao Ge Kisi Rooz Jo Taqdeer Ki Zad Main... Maloom Ho Ja'aye Ga Khuda Hai K Nahi Hai....

Kab Tak Tere Fareb Ko Eik Hadsa Kahon...

Kab Tak Tere Fareb Ko Eik Hadsa Kahon... Tu Ne To Meri Wafa Ka Tamasha Bana Diya...

Andherii Raat K Lamhey Tamam Hone Tak,

Andherii Raat K Lamhey Tamam Hone Tak, Tujhy Hi Sochta Hon Subho Se Sham Hone Tak. Mein Aisa Jism Hon K Jis Ki Rooh Bhi Tum Hoo. Adhoori Zaat Hon Main Tere Naam Hone Tak. Teri Awaaz Sun Na Lon To Dil Nahi Lagta. Trapta Hon Main Tujh Se Hum'kalam Hone Tak. Teri Ik Nazar Ki Qeemat Per Bik Raha Hon Main. Mujhe Khareed Le Tu Mehngay Daam Hone Tak. Ishq Ki Aag Jo Seenay Mein Laga Betha Hoon. Sulagti Rehti Hai Ye Neenden Haram Hone Tak.

Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur Tanha Meri Zaat Hy,

Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur Tanha Meri Zaat Hy, Phr Toot Ke Wo Yaad Aaya Ajeeb December Ki Ye Raat Hy…

Kuch Log Meri Shayri Se Seete Hain Apne Zakhm..

Kuch Log Meri Shayri Se Seete Hain Apne Zakhm.. Kuch Logo'n Ko ye Chubhte hain Ek Nok ki tarah...!

Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhy Galay Se Laga Lon...!!

Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhy Galay Se Laga Lon...!! Mera Ishq Be-Maza Tha Teri Dushmani Se Pehly...!!

Use Kaho K Main Saans Lena Chahta Hon...

Use Kaho K Main Saans Lena Chahta Hon... Mere Wajood Se Yadoon Ki Raseyan Khole...

Zindagi Bhar K Imtehaan K Baad..

Zindagi Bhar K Imtehaan K Baad.. Woh Nateejy Me Kisi Aur Ka Nikla..

Mujh Ko Gehraai Mein Mitti ki utar jana hai,

Mujh Ko Gehraai Mein Mitti ki utar jana hai, zindagi baandh le samaan-e safar jana hai. Ghar ki dehleez pe roshan hain woh bujhti hui aankhen, mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jana hai. Main woh mele mein bhatakta hua ek baccha hun, jis ke maa baap ko rote hue marr jana hai. Zindagi taash ke patton ki tarah hai meri, aur patton ko behar’haal bikhar jana hai. Ek benaam se rishte ki tamanna le kar, iss kabootar ko kisi chhat pe utar jana hai. !!

Yaadon Ki Shaal Ourh Ke Aawaragardiyan...!!!

Yaadon Ki Shaal Ourh Ke Aawaragardiyan...!!! Kaati Hain Yun Bhi Humne December Ki Sardiyan..

Bohat Tarpaty Hain Tere Saath Guzray Huay Lamhay...!!

Bohat Tarpaty Hain Tere Saath Guzray Huay Lamhay...!! Kabhi Khud Roo Partay Hain To Kabhi Teri Yaadein Rula Deti Hain...!!