Kab Hui pyar ki barsat mujhe yaad nahi

Aaj phir kis ne pocha k tera hansta hua chehra udas kyon hai
barasti ankhon main piyas kyon hai
jinki nazron main tu kuch bhi nahi
woh tere liye itne khas kyon hain

Kaise zinda rahe koi aaj k in sazishon k mousam main
ab koi khawish bhi nahi dil se khawishon k mousam main
ussse mujh se mohabbat thi kuch is tarhan ki
k jaise halki si dhup ho barishon k mousam main.

Kab Hui pyar ki barsat mujhe yaad nahi
khof main dobi mulaqat mujhe yaad nahi
main to madhosh tha kuch itna us ki chahat main k
us ne kab chor diya sath mujhe yaad nahi


ye arzu nahi k kisi ko satain hum
na tammanna ki k kisi ko rulain hum
par dua hai us rab se
jis ko jitna yaad karte hain
us ko utna yaad aain hum

piyas aisi k pi jaon ankhain us ki
naseeb aisa k moyassar zehar bhi nahi
be los wafain koi hum se sekhe
jisse toot k chaha usse khabar he nahi.

jab dil toot jata hai to awaz nahi aati
her kisi ko mohabbat raas nahi aati
ye to apne apne naseeb ki baat hai
koi bhulta nahi aur kisi ko yaad nahi aati

jo pyar k rishte hum banate hain
usse logon se kyon chupate hain
agar hota hai gunah kisi ko pyar karna to
bachpan se sab pyar kyon sikhate hain


pyar karne wale kabhi kam na hoon gaye
waqat k sath kabhi hum na hoon gaye
chahe kisi ko kitna bhi pyar karna
lekin teri yaadon k haqdar sirf hum hoon gaye.


un ki mohabbat ka abhi nishan baki hai,
naam lab par hai aur jaan baki hai,
kiya hua agar dekh kar mouh pher lete hain woh
tassali hai k shakal ki pehchan abhi baki hai

Badla jo waqat gehri rafaqat badal gai,
suraj dhala to samy ki sourat badal gai,
ek umar tak main us ki zarorat bana raha,
phir youn hua k us ki zarorat badal gai.

Yaad karna bhe na chaho magar yad aen gay hum
tere khawabon teri neendon pa yon cha jaen gay hum
meri tasweer ko dekho gay har ik shay main magar
Jab teri pohonch sa kahen door ho jaen gay hum

jis ghari teri yadon ka sama hota hai
phir mayassar humain aaram kahan hota hai
hosla mujh main nahi tujh ko bhula dene ka
kaam sadiyon ka hai lamho main kahan hota hai

yaadain woh nahi jo "Tanhai" main aati hain
yaadain woh nahi jo "Judaai" main ati hain
yaadain to woh hain jo "Bheer" main bhi "Tanha" kar jati hain

Shama umed ki es shehr main jalti he nahi
hijr ki sham kuch aisi k dhalti he nahi
manzilain tere ilawa bhi kai hain lekin
zindagi aur kisi rah pe chalti he nahi.

aye khuda aaj nazron ko kuch aisi beenai de
jidhar dekhon udhar woh he dekhai de
kash aisi meharbaniyan hoon aaj hawa main
k us ko pukaron aur ussi ko sunai de

na jane zamane ne majbor es qadar kyon kia
k woh meri kisi baat pe thera he nahi
har ek se pocha tere na milne ka sabab
har ek ne kaha woh tere liye bana he nahi


apni bebasi par aaj rona aya
dusron ko nahi main ne apno ko aazmaya
har dost ki tanhai dur ki
lekin khudh ko har morh par tanha paya


youn to log badalte hain so woh bhi badal gayi
usse kisi ne meri yaad se ghafil rahna sikha diya
jo kahta thi na rahega mere bin,
usse kisi aur ne jeena sekha diya.

meri zindagi k raaz main ek raaz tum bhi ho
meri bandagi ki pyas main ek pyas tum bhi ho
tum kiya ho kuch ho ya nahi ho
magar meri zindagi k kash main ek kash tum bhi ho


har ek k jazbaat ko zaban nahi milti,
har ek nazar ko dua nahi milti,
muskan banaye rakho to duniya hai saath,
ansoon ko to ankh main bhi pannah nahi milti


ulfat ka askar yahi dastur hota hai
jisse chaho woh he apne se dur hota hai,
dil tot kar bikarta hai is qadar jaise
koi kanch ka khilona chur chur hota hai.


Waqt badalta hai zindagi k sath
zindagi badalti hai mohabbat k sath,
mohabbatnahi badalti apno k sath
bas apne badal jate hain waqat k sath

........................-Shadi k pehle : i love u
........................-Shadi k baad : aaj phir alu?
........................-Shadi k pehle : Hero no1
........................-Shadi k baad : coolie no1
........................-Shadi k pehle : mein ne piyar kiya
........................ Shadi k baad : ye mein ne kiya kiya?
........................-Shadi k pehle : janeman mut jao,
........................-Shadi k baad : jaan mut khao
........................-Shaadi k pehle : tum bin raha na jay
........................ Shaadi k baad : tum ko saha na jay
........................-Shadi k pehle : kuch to bolo
........................-Shadi k baad : kabhi chup bhi ho jaya karo.
........................-Shadi k pehle : tum kab aaogi?
........................-Shadi k baad : mayke kab jaogi?

Zindagi hai to Khwaab Hai
_Khwaab Hai To Manzilein Hai
____Manzilein Hai To Fasaley Hai
__________Fasaley Hai To Rastey Hai
_________Rastay Hai To Mushkilein Hai
_____________Mushkilein Hai To Hausla Hai
_________________Hausla Hai To Vishawas Hai
______________________Vishvas hai to Paisa hai
________________________Paisa hai to Shohrat hai
__________________________Shohrat hai to Izzat Hai
______________________________Izzat hai to Ladki hai
__________________________Ladki hai to Tension hai
______________________Tension hai to Concern hai
__________________Concern hai to a Khayaal hai
_________________Khayaal hai to Khwaab hai
______________Khawab hai to Growth hai
__________Growth hai to Zindagi hai
______Zindagi hai to khwaab hai
_Matlab duniya Gol Gol hai
Bas ghumnewala chahiye



kisi ne kaha tha k kisi se kuch na kehna
lage chot dil pe to khamosh rahna
jahan chot khana wahain muskurana
magar muskurana es ada se k ro de zamana


jab kabhi dil ko woh yaadon se rehai dega
mere andar koi tufaan sunai dega
usse milte he yeh ehsaas hua tha mujh ko
yahi woh shakhs hai jo lambi judai dega.


Duniya badal jayegi tum Na badalna
mushkilon main ho jab bhi humain yaad kar Lena
maangoon to aap se kiya mangoon.
Dena kuch chaho to bas muskura Dena


Udas aankhon main raat ka kumar dekha hai
k pehli bar usse beqarar dekha hai
jissay khabar he na hoti thi mere aane ki
us ki ankhon main ab intezar dekha hai.


Zindagi to apne qadmon pe chala karti hai Faraz
Auron k sahary janaazy utha karte hain

tanha tahe es duniya ki bheer main
socha koi nahi meri taqdeer main
ek din aisa hua k tum ne dosti ka hath barhaya
to laga khush khas tha in hathon ki lakeeron main


tanhai mere kaan main kuch kehne lagi hai
ek zaat meri zaat main gum rahne lagi hai
jis aankh ko kisi ne bhi rote nahi dekha
woh aankh teri yaad main num rahne lagi hai.


Andaz-e-piyar bhi tera ek ada hai
dur hai tu mujh se ye meri saza hai
dil main basi hai ek piyari si taswir teri,
phir kaise kah doon k tu mujh se juda hai.


koi wada nahi phir bhi tera intezar hai
judai k bawajood bhi tujh se piyar hai
tere chehre ki udasi de rahi hai gawahi
mujh se milne k liye tu bhi bekarar hai.


Dard Ko bhi Ab Dard Hone laga hai,
Dard Khud hi Mere Zakham dhone lagha hai,
Dard ke sath kabhi Roye na hum,
Dard Khud hi Humko chhu kar Rone Laga hai ...


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib