Saam gam ki ser nahi hoti

Saam gam ki ser nahi hoti
Ya hamko khabar nahi hoti
Ishq agar khata hai dosto
To kya kehta hai dar gujar nahi hoti

Mohabbat har insan KO aazmati hai
Kisi se rooth jati hai kise se muskurati hai
Yaaro kisi ka khuch nahi jata
Kisi ki jaaan jati hai

Ham ummedo ki duniya basate rahe
Who bhi har kadam per hame aazmate rahe
Jab mohabbat mai marna pada hame
Ham to mar gaye magar who bahane banate rahe

Kasti toofan se bhi nikal sakti hai
Sama bujh ker bhi jal saktihai
Ey mere ham safar iarada na badal
Apni kismat kahbi bhi badal sakti hai




Zikre Saba firaq-e unshiyaat use bhi thi
Neri tarah mohabbat use bhi thi
Mujhko bhi sook tha naye chero ke deed ka
Rasta badal ke chalne ki adat use bhi thi
Us raat der tak rahi mah-e guftgu mai
Masroof mai bhi tha kaam mai fursat use bhi thi
Sunati thi who sabse puraani kahaniya
Taza Rifaqton ki jaororat use bhi thi
Mujh se bichad ke sahar mai ghul mil gayi is Kadar
Halake sahar bahr se ragbat hame bhi thi
Who mujh se bad ke bardast karne ki aadi thi jee gayi
Warna har ek saans per qayamat use bhi thi

Jab Se Dil Lagaya Hai Tum Se
Sab Kuch Sehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Intazar Karty Hain Hum Aap Ka" Dair Tak
Aur Aap Ko Na Aany Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Baat Baat Pe Muskraty Thy Hum
Ab To Rony ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Kabi Talab Karty Thy Tumhri Hum
Ab To Berukhi Sehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Kabhi Ek Humdard Rakhty Thy Hum Bhi
Par Ab To Tanha Gam Sehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Jab Se Sochna Shuru Kiya Hai Tum Ko
Saari Saari Raat Jagny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Ab To Chahy Chhor Bhi Do Humain
Tum Bin Rehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Jisy Bhi Chaha Hum Ne Woh Chhor Kar Chala Geya
Ab To Khony Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Jab Se Tum Gay Ho Humain Chor K
Tab Se Chup Rehny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Tum Se Na Koi Shikwa" Na Koi Shikayt Hai Humain
Bas Khud Se Shikayt Karny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Maloom Hai Keh" Shayed Humari Kismat Mein Tum Nahi
Bas Kismat Se Larny Ki Adat Si Ho Gaie Hai,

Tum Jahan Bhi Raho Bas Kush Raho
Ye DUA Mangny Ki Adat Si Ho Gaie Hai !

Dhoop Ki Yalgaar Se Bachna Ka Kuch Rasta Nahi
Dur Tak Meri Nazar Me Peid Ka Sayaa Nahi
Dosti Toh Sab Jatate Hain Milakar Apne Hath
Mein Ye Dekhi Kisi Ke Dil Se Dil Milta Nahi
Dhoop Chaoun Ka Ek Ajab Khel Hai Ye Zindagi
Ranj Wo Gham Wo Jo Bhi De Uss Se Mujhe Koi Shikwa Nahi
Zindagi Me Agar Gham Hain Toh Khushi Bhi Aayegi
Ek Sa Mousam Kahin Toh Har Ghadi Rehta Nahi
Ounche Maheloun Ke Makeenoun Ko Kahan Is Ki Qabar
Aise Bhi Ghar Hain Jahan Koi Diya Jalta Nahi
Kis Se Hum Hamdardi Ki Umeed Rakhein
Sab Paraye Log Hain Issme Koi Apna Nahi

Apani ruswaai tere naam ka charcha dekhun
Ek zaraa sher kahun aur mein kyaa kya dekhun
Neend AA jaaye to kyaa mehfilein barpaa dekhun
Aankh khul jaaye to tanhaai kaa Sahara dekhun
Shaam bhi ho gaee dhundhalaa gaee aankhein bhee meri
Bhuulane waale mein kab tak teraa rastaa dekhun
Sub zidein us kee mein poori karun har baat sunun
Ek bachche kee tarah se use hanstaa dekhun
Mujh pe chaa jaaye who barasat kee Khushbu kee tarah
Ang ang apanaa usee rut mein mahaktaa dekhun
TU meri tarah se taktaa hai magar mere habib
Jee mein aataa hai koee aur bhii tujh saa dekhun
Mein NE jis lamhe ko pujaa hai use bas ek baar
Khwaab ban kar teri aankhon mein utarataa dekhun
TU meraa kuch nahin lagata hai magar jaan-e-hayaat
Jaane kyon tere liye dil ko dharakataa dekhun

Aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai.
zakhM har sar pe har ik haath meiN paththaR kyoon hai
jab haqeeqat hai ke har zaRRe meiN tu rehta hai
fir zamiN par kahiN masjid kahin mandir kyoon hai
apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi
apnee nazroN mein har insaan sikandar kyoon hai
zindagi jeene ke qaabil hi nahiN ab "Faakir"
warna har aaNkh meiN ashkoN ka samandar kyoon hai



Isiliye to
Kon kahta hai sarab me nasha hota hai,
Sarab me to ..
Khushboo hoti hai pyar ki,
Tasveer hoti hai yaar ki,
Aanshu hote hai nakamyabi ke,
Baten hoti hai ijhar ki,
Labon par sirf gam bethte hai,
Aur duniya banti hai inkar ki,


Muskurati aankhon me kya aanshu nahi hote,
Dil todne walon ke bhi kya dil nahi hote.
Tanha hi chalte the hum aur tanha hi rah gaye,
Kya mahfil me bhi kabhi log tanha nahi hote.
Jindagi gujar jati thi bahon me unki ese hi,
Har sukh milta tha zulfon me jinki ese hi,
Chhod gaye beech majhdhar me vo hame un hi,
Kyon kinare pahunchane wale log nahi hote.
Hamne to mohbbat ki thi hamesha unse,
Jindagi sath bitane ke vaade kiye the jinse,
Jab dukh milta hai kisi se bichhadane ka is tarah to,
Kyon khuda bhi hamare sath nahi hote.
Jab aanshu bahte the mere to,
Un motiyon ko bhi saja ke rakhte the vo.
Aaj to barsat ho rahi hai mere pas me,
Lekin is bheed me na jane kahan kho gaye vo.
Kyon tute dilon ko thamne wale log nahi hote.
Muskurati aankhon me kya aanshu nahi hote.





Kisko kare pyar hum koi bhi na sath deta hai hamara,
Jisko bhi chaha jan se bhi jyada vo hi dil tod gaya hamara.
Hamne to ki hai hamesha hi wafa usse lekin,
Na jane kyon vo sath na deta hai hamara.
Aarjoo thi uski zulfon me sone ki,
Hasrat thi usse aapna banana ki,
Fir kyon ghar jala kar gaya vo hamara.
Jab bhi chot lagi usko ham roye,
Na chahte hue bhi uski yado me ham khoye,
Fir kyon jinda taboot bana kar gaya vo hamara.
Uski ek muskurahat pe 100 khusi var di hamne,
Uski ek chahat pe kitno ko rula diya hamne,
Fir kyon har sukh chain le gaya vo hamara.
Ab aap pe hai ye dosto batana hame,
Uski tarah na aap bhi rulana hame,
Kisko kare pyar ham koi bhi sath na deta hai hamara.
Kisko kare pyar ham .

Teri qurbtain b saraab hain ye bhala hua jo nahi milin
Teri dooriyan b azaab hain meri dasht-e-jaan se tali nahin,
kisi aag ne wo dhuwaan diya mujhay dekhny b kahan dia
wo musafaton ka jahan dia kahin rasta hai kahin nahin,
Mujhy zindgi wo diya lagy k abhi bujhy jo hawa lagy
kabi kia lagy kabi kia lagy kisi zaa’viye pe yaqeen nahin,
Keh shikasta paa main rukoon kahan ye hai faaslon ka naya jahan
Hai agar zameen, nahi aasman ,hai jo aasman to zameen nahin,
Pas-e-chashm- e-nam wo zaroor hai mera dil jafaon se choor hai
Meri manzilon ka qasoor hai tere raston se mili nahin !

Jab hamne pyar karna chaha to,
Unhone hamse nata tod liya.
Jab kabhi aayi yad hamein unki,
Unhone bhi Na kahte hue munh mod liya.
Aakhir kabhi Na aayegi yaad unhe hamari.
Sochkar hamne bhi umeed ka Daman chod diya.
Tarsate rahe unki ek jhalak pane ko,
Aur apna har rashta dukhon ki aur mod liya.
Jab ehsas hua hamari sachchhi mohbbat ka unhe,
Tab tak hum us mukam pe the,
Jahan se laut kar aana hamare liye mushkil,
Aur hame pana unke liye namunkin tha.

Toot chuke hai ab mujhe is duniya se azaad kar de
Khatm kar dungi khud ko mujhe is zillat se door kar de
Zamane mein tumse zyada kisi aur ko na chaha tha humne
Iss dard k saath mujhe iss duniya se ruksat kar de
Bewafa nahi hoon mein aaj bhi tumare liye tadapte hain
Sirf itna sa karam kar de tumare haatho se mere kafan saja de
Aur bhi milenge tumhe chahne waale hanseen chehre
Dard se tadapne se achcha hai ek din ki maut tu mere naam likh de.

Bharosa Toot jany se zara pehly bta dena
Muje tum Azmany se zara pehly bta dena !
Kisi Hilay bahany se zara pehly bta dena
Keh Mujh ko tum bhulany se zara pehly bta dena !
Zehan ki Rait pe tum ne Mohabbat se likhi thi jo
Wo Tehreerein mitany se zara pehly bta dena !
Mere Dilbar keh, is Dil pr main rakh loun zabt ka pathar
Suno daman Chhurany se zara pehly bta dena !
Kisi b morr pe humdam bura pao agar mujh ko
Zamany ko btany se zara pehly bta dena !!

Mere Pyar Ko Apni Takdir Bana Lo,
Meri Yaado Ki Dil Me Zanzir Bana Lo,
Kagaz Pe Lakeere To Bahut Khinch Li Tumne,
Ab Usko Milakar Meri Tasvir Bana Lo !!

Kaun Kehta Hai Mere Baghair Wo Tanha Hoga,
Wo Chaand Hai Kahin Aur Chamakta Hoga,
Wo To Rehta Hai Mohabbaton K Des Me,
Usse Kiya Khabar Koi Tanha Usse Sochta Hoga !!

Teri Khwaabon Mein Guzarti Hain Raaten
Teri Yaado Mein Kattei Hain Shaam

Teri Awaz Tere Roop Ki Pehchaan Hai,
Tere Dil Ki Dharkan Mere Dil Ki Jaan Hai,
Na Sunu Jis Roz Teri Batein,
Lagta Hai Us Roz Yeh Jism Hi Bejaan Hai !!

Yaad Rakhenge Hum Har Kahani Aapki,
Lehron Ke Jaisi Vo Ravani Aapki,
Hamko Aapne Jo Dil Me Basa Rakha Hai,
Ye Kismat Hai Meri Aur Meharbani Apki !!

Apki Yad Ne Mujhe Fir Rula Diya,
Bohut Khush Ho Ap Zalim Jisne Hame Ye Sila Diya,
2 Shabd Bhi Likhna N Aata Tha Hume,
Or Aaj Aapki Mohabbat Ne Mujhe Shayar Bana Diya !!

Sapne Ki Tarah Tujhe Saja Ke Rakhu,
Chandani Rat Ki Najro Se Chhupa K Rakhu,
Meri Takdir Mere Sath Nahi,
Warna Zindagi Bhar Tumhe Apne Siney Se Laga K Rakhu !!

Dil Ki Baat Keh Pana Hai Mushkil,
Jisko Chahte Hai Use Pana Hai Mushkil,
Waqt Ke Hatho Mujbur Hai Kuch Is Kadr
Use Batana Aur Khud Ko Samjhana Hai Mushkil !!

Jab Bhi Log Sunte Hai Awaz Teri
To Naam Mera Liya Karte Hain
Jab Bhi Hota Hai Zikr Mera
Log Tujhe Yaad Kiya Karte Hain !!

Is Dilme Uske Liye Itna Pyaar Rhega,
Ke Waqtbhi Uska Gawah Rhega
Uska Pyar Pata Nahi Kiske Nasibme Ho,
Par Ye Dilto Uski Yadoka Haqdar Rhega !!

Meri Aankhen Rakh Lo Mujhe Kuch Khuab De Do,
Jis Me Tumhaari Jhalak Ho Aisi Sharab De Do,
Chalo Choro Saari Baaten Ek Baat Maano,
Meri Saari Umar Le Lo Bas Ek Pal Ka Saath De Do !!

Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi Jo Aap
Shabdon Ko Samajh Payenge Kabhi Ankhon
Me Jhaank Kar Dekhiye Hazaro Alfaz
Khud B Khud Bikhar Jayenge !!

Hum Aapko Pakar Khona Nahi Chahte,
Aapse Juda Hokar Rona Nahi Chahte,
Hamesha Mere Sath Rehna,
Kyunki Hum Kisi Aur Ke Hona Nahi Chahte !!

Hasin Chehre Par Kabhi Aitbar Na Karna,
Tod Dete Hai Wo Dil Kabhi Pyar Na Karna.
Hai Guzarish Sab Se Meri Marr Jaoge,
Wona Ayenge Kabhi Isliy Intezar Na Karna !!

Udas Nazro Me Khwab Milenge,
Kahi Kante To Kahi Gulab Milenge.
Mere Dil Ki Kitab Ko Meri Nazro Se Padh Kar To Deko,
Kahi Aap Ki Yaad To Kahi Aap Milenge !!

Koshis Bahut Ki Dil Ko Samjhane Ki,
Ankho Ko Kasam Di So Jane Ki.
Bahut Samjhaya Phir Bhi Ankhe Nahi Soyi,
Soyi Tab Jab Meine Bat Ki Apke Khwab Me Ane Ki !!

Kon Tha Apna Kis Pe Inayat Karte.
Hamari To Hasrat Rahi Tum Bhi Mohabat Karte.
Us Ne Samjha Hi Nahi Mujhe Kisi Kabil.
Warna Us Se Pyar Nahi Us Ki Ibadat Karte !!
Yaad Kisi Ko Karna Ye Baat Nahi Jatane Ki.
Dil Par Chot Dena Adat Hai Zamane Ki.
Ham Aapko Bilkul Yaad Nahi Karte.
Kyunki Yaad Karna To Ek Nishani Hai Bhool Janeki !!

Kabhi Sapne Chur Ho Jate Hai..
Halat Se Dost Bhi Door Ho Jate Hai..
Par Ye Yade Har Pal Itna Satati Hai Ki..
Apko Sms Karne Ko Hum Majbur Ho Jate Hai..!!
Love & Smile

Woh Jo Dil Me Tera Muqaam Hai
Kisi Aur Ko Woh Diya Nahi
Woh Rishta Hai Tujh Se Hogaya
Kisi Aur Se Woh Bana Nahi
Woh Jo Pyaar Tujh Se Hogaya
Kisi Aur Se Hua Nahi
Woh Jo Raaz Hai Tujh Se Keh Diya
Kisi Aur Se Woh Kaha Nahi
Woh Jo Sach Mila Teri Zaat Se
Kisi Aur Se Woh Mila Nahi
Tu Basa Hai Aankhoun Me Jis Tarah
Koi Aur Aise Basa Nahi
Tu Hua Hai Itna Qareebtarr
Koi Aur Utna Hua Nahi
Tera Naam Hai Dil Me Jis Tarah
Koi Naam Aisa Likha Nahi....

"ZAROORI TU NAHI"

"TUM KO BHI HUM SE ITNI MOHABBAT HO JITNI HUMEY TUM SE ZAROORI TU NAHI,
AIK SI DONO KI HAALAT HO ZAROORI TU NAHI
DIL KI CHAHAT TO KAEI KHAWAAB JAGA DAITI HAI
JO MERE KHAWAAB HOON WOH TERE BHI HOON ZAROORI TO NAHI
JO TERE KHAWAAB HOON WOH MERE BHI HOON ZAROORI TU NAHI
HAAN MAGAR SAATH MEIN KISMAT HO ZAROORI TU NAHI
MERI TANHAAIYAAN KARTI HAIN JINHAIN YAAD SADA
UN KO BHI MERI ZAROORAT HO ZAROORI TO NAHI
MUSKARANY SE BHI HOTA HAI BAYAAN GHAM-E-DIL
HUM KO BHI ROONAY KI AADAT HO ZAROORI TU NAHI..!

Yeh zaroori to nahi ke jeene ka koi sahaara ho
yeh zaroori to nahi ke hum jiske ho woh hamaara ho
Safina mohabbat ka gar doob jaaye to gham na karo
yeh zaroori to nahi ke har kashti ka kinaara ho
Himmat na haaro tum kabhi apni kisi nakaami par
yeh zaroori to nahi ke har haadsa phir dobaara ho
Jo shakhas pahanch jaaye aasmaan ki bulandiyon par
yeh zaroori to nahi ke woh asmaan ka sitaara ho
Kal jis apne ko tum chor gaye they tanha
yeh zaroori to nahi ke aaj bhi woh tumhaara ho

Gairon KO ghar bulaia nahi jata,
Haal-e-dil sabko sunaia nahi jata......
Shayad tere liye duaa maang saku,
Apne liye to Daman falaia nahi jata.......
Tum ne bhar di jholi meri kanto se,
Sab ke dar pe to jaya nahi jata.....
Dekhne bhar se he sihar uthti hoon,
Zakhm-e- jigar KO sehlaia nahi jata.....
Bhulne KO bhool jaoun khuda KO bhee,
Ik tera hee chhehra bhulaia nahi jata......
Hum me tum me ajeeb hai ye takaluf,
App bulate nahi hum se aaya nahi jata.....
Mat itrao kagaz ke phool bechne walom,
Kiyon ki inse aashiana mehkaiya nahi jata.......
Anwar' kai pathar zakham bhee de jate hai,
Har pathar ke aage SAR jhukaia nahi jata........
Akele to Hum Pehle Bhi Jee Rahe The,
Kyu Tanha-Se Ho Gaye Hai Tere Jane Ke Baad

Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Duaa Ke Badle Duaa Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Khushi Ke Badle Khushi Nahin Milti
Ye Pyaar Mein Kyun Hotaa Hai

Ishq Kitnaa Rulaaye Saari Duniyaa Bhulaaye
Beqaraari Badaaye Chain Ek Pal Na Aaye
Log Ishq Mein Kyaa Se Kyaa Hue
Mil Gaye Kabhi Phir Judaa Hue
Bas Khizaan Mili Is Bahaar Mein
Umr Kat Rahi Intazaar Mein..
Kyun Kisi Ko Hansi Ke Badle Hansi Nahin Milti

Ye Pal Kahin Thahraa Nahin
Yaadon Pe To Pahraa Nahin
Jab Davaa Se Bhi Zakhm Na Bhare
Aise Haal Mein Socho Koi Kyaa Kare
Kyun Kisi Ko Khushi Ke Badle Khushi Nahin Milti
Kyun Kisi Ko Vafaa Ke Badle Vafaa Nahin Milti

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib