Asiray shaam tanhai say yeh akhir gilla kaisa

Asiray shaam tanhai say yeh akhir gilla kaisa
tujay to illm tha zanjir ka meri
jo peron main bhe hay
or rooh par b hay
main apnay bakht ki qaidi hoon
meri zindagi main
narm awazoon k jugnu kam chamakty hain
faslay sher e gham par khush sada taair
kahan aa kar tehrtay hain
teri awaz ka resham main kaisy kaat sakti thi
meray bus main agar hota
to sari umer
is resham se apnay khuwab bunti
or is rim jhim k andar behgti rehti
tujhay tu meray dukh malum the jana
ye kis lehjay main tu rukhsat hua hay!

Faqat Aik Tum Meray Hoty
Mera Sara Jahan Hota
Meri Janat Meri dunya mera Yeh Ashian Hota
Bhatakti yun na Phirti mein Akeli Gham ki galion mein
Koi Manzal Meri hoti koi Nam o Nishan Hota
Mujhy Ab yad Atti Hain Teri Chahat bhari Batien
Meri Dunya Sanwar Jati agar Tu meherban Hota

Boht aasan hy kehna
Mohbt Tm Se krhta Hon
Mgr mtlab Muhabt ka
Smjh lena nhi aasan,
Muhabt paa k kho dena
Mohbt khoo k palena
Ye un logo k qissay hein
Mhabbt k jo mujrim hein
Jo mil janey pay hnstay hein
Bichar jany pay rotay hein
Suno
Mohbt krnay walay tu
Boht khamosh hotay hein
Jo qurbat mein b jeetay hein
Jo furqt mein b jeety hein
Na wo faryad krty hein
Na wo ashkon ko Peete hein
Mohbt k kisi b lafz ka charcha nhi krty
Wo mr kr b apni chahat ko
Kbi Ruswa nhi krty

Insaanoo Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey rotay Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Rehtey Hain Kuch Maseeha Bhi
Jo Kartey Bass Maseehai
Chhup Chhup Kar Wo Rehtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Sanam Aise
Jo Apni Hi Is Pooja Se
Kuch Kuch Dartey Rehtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Bastey Hain Kuch Farishtey Bhi
Jab Ghalti Ka Imkaan Nahi
To Na Janey Kion Darte Hain?
Insaano Ki Si Basti Main
Kuch Log Baney Hain Shedai
Jo Hulye Se Hain Dewaney
Par Baat Feham Ki Kartey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Log Ajab Se Rehtey Hain
Kartey Hain Kaam Darindoon K
Aur Khud Ko Insaan Kehtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Usse Ki Marzi K Tabay Hain
Jo Jeetey Hain Jo Martey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Rehta Hai Aik Khudawand Bhi
Jab Ataa Karey To Aise Karey
Sab Malik Bhi Phir Mangtey Hain
Insaano Ki Is Basti Main
Kuch Aise Log Bhi Bastey Hain
Jo Gham Sehtey Hain Dunya K
Jo Chupkey Chupkey rotay Hain

Larkiyan Bewafaa nahi hotien
Wo to majborioon main lipti hain
Apny shiddat bharey khyaloon main
Apny ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyan bewafaa nahi hotien
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reet or rawajoon se
Aanay waley naye azaboon se
Zarurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyan Bewafaa nahi hotien
Kyun k majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apny pyaar se apney saye se
Apny rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyan Bewafaa nahi hoti

Mujhe tum chor mat dena,
Hazaro doriya aaye
Baharein aake kho jaye
Mera chehra bhula dena
Meri yaadein bacha lena
Jo lamhe dard dete hon
Unhe beshak bhula dena
Jo lamhe aas dete hon
Unhe dil se laga lena
Kahi bhi door reh lena
Bohat majbor reh lena
Magar is doori ko tum
Bahana mat bana lena
Talluq tor mat dena

Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake,
Naa dard dil ka kisi ko suna sake.
Bus baithe hai yaadon mein unki,
Naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake.
Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai,
Dhoondne ye dil jis ko is gali mein aaya hai
Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan
Magar tum ne is dil ko be-panah sataya hai
Maar kar mujhe qatil ghumzada sa lagta hai
Is liye to chalte huye thora larkhadaya hai
Kash apne dil ki aag ashk se bujha sakte
Rooth jab gaye ansu usne tab jalaya hai
Bewafa zamane mein kuch wafa shanason ne
Zikr-e-dil zamane se har qadam chhupaya hai
Jal raha tha dil mera phir bhi shukr hai itna
Unko is tamashe mein kuch maza to aaya hai
So rahe the sir rakh ke aaj mere kandhe par
Zeest mein sanam hum ne kuch maza to paya hai

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi


ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi


tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi


dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi


josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath
ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi


tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi


kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi


ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabh

Mohabbat Amar Karna Chahta Hoon*
Kuch Aisa Amal Karna Chahta Hoon*
Mita De Jo Sabhi Jaale Zahen Se*
Mein Aisa Hurf Likhna Chahta Hoon*
Samar Ho Jiska Shirin Shahed Jaisa*
Ek Aisa Beenj Bona Chahta Hoon*
Mohabbat Ne Uda Dali Thi Neendein*
So Ab Jee Bhar Ke Sona Chahta Hoon*
Kitaab-E-Zeesat Bhi Naa Bhool Paye*
Ek Aisa Baab Hona Chahta Hoon*
Nahi Chahiye Mujhe Do Ek Kiranein*
Mein Khud Mahtaab Hona Chahta Hoon*


Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.!!!!!!! !!!

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin. "

sapne kabhi such nahi hote! main jaanta hu


Hum ek nahi sau-sau rat jaagei hei unkei intazaar mein
Lagta hei ek sau saal ka vakt aur lagega unkei ikraar mein

Koi baat nahi yeh unki marzi hei, kabhi pyaar karna
Jaankar bhi anjaan bana mera dil kyon aas rakhta hei bekaar mein

Unki aankhon mein madhoshi hai labho pe halki si hansi bhi
Inhei apnaane ka mauka de de, kaash humein iss jivan ke safar mein

Voh sochtei hein ki sirf mere geeto mein basei huei hei voh
Par meri dhadkan ke maalik hein voh har pal basei huei hein nazar mein

Kyon itna pyaar kartei hei tumsei, kya baat hei tum mein
Aakhir kyon ho rahei hei nisaar tumpei, sochta hun aksar mein

Yeh zara zara si baat par
tarha tarha ke azaab kyun,
Jo kisi se bhi khafa na ho,
mujhe uss khuda ki talaash hai.

Mujhe laghzishon peh har ghari
koi tok-ta hai baar baar,
Jise kar ke dil ko dukh na ho,
mujhe uss gunaah ki talaash hai.

Main dhoondta hoon woh khizaan
jise gulshanon se pyaar ho,
Jise kisi charaagh se na bair ho,
mujhe uss hawaa ki talaash hai.

Mujhe uss nagar ki hai justuju
jahan koi bhi chahata nahi lahoo,
Jahan hiran ko sher se dar na ho mujhe
uss jagah ki talaash hai.

Yahan ik lamhe ke parraao mein mere
saare phool jhulas gaye,
Ab jahan talkhiyon ki tapish na ho,
mujhe uss fiza ki talaash hai.

Bina humsafar ke kab talak koi
musafiton mein laga rahe,
Jahan koi kisi se juda na ho,
mujhe uss raah ki talaash hai.

Mujhe dekh kar jo ik nazar mere
saare dard samajh sake,
Jo iss kadar ho chara-gar,
mujhe uss nigaah ki talaash hai.


Hum yaad to tumko aate honge
jab panchee geet sonate honge
jab saawan ki rut aati hogee
jab phool khushboo mehkate honge
jab peele patte gerte honge
jab judai ke dard satate honge
jab dosti kissi se hoti hogi
jab dost bechar ke jaate honge
Hum yaad to tumko AATE HONGE?

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib