Ajnabi shakhs ne aag lagayee kuch iss adaa se jab

Ajnabi shakhs ne aag lagayee kuch iss adaa se jab
Badal di zindagi, nigah usne milai nigah se jab
Meri sansein thammi hi reh gayee uski palkon mein
Afsos hua ehsaas mujhe, shaam hui subha se jab
Be-rah rahvi thi ya wo lamha tha mera muqaddar
Socha maine tabhi, chala gaya wo uss jaggah se jab
Ilzam tha uski ankhon main ya tha wo koi sawal
Ye poochunga zaroor, milunga apnay Khuda se jab
Banjayegi meri ibadat tamasha zamanay kayliye
Shaheed ho jaonga main uske gunaah se jab
Aaj bhi ik kasak si hai dil main, malum kuch to ho nasir
Nazar churayi ussne tabhi kyun, baat barhi hayaa se jab

Tum aag lagana seekh gaye tum aag bujhana kiya jano,
Tum dil ko jalana seekh gaye tum dil ko lagana kiya jano,
So Baar agar tum rootho gay hum tumko mana hi leite hain,
Eik baar agar hum rooth Gaye tum humko manana kiya jano,
Do qadam chale phir chor diya Jo ehad kiya woh torr diya,
Tum saathi badaltay rehte ho tum saath nibhana kiya jano.

Dil maiN teri mahobbat ke vo khayalaat nahiN haiN
Ashqo maiN sab bah gaye koi jazbaat nahi haiN
Rishto ki bheed mai khud se ajnabee huN is kadar
Dosto ko pahchaan saku vo nazar saath nahi haiN
Gham ke meri pith par khanjar aiseN haiN chubeN
Mud kar bhi aah bhar saku vo haalaat nahi haiN

RaatoN ke karvatoN se maraasiim puraane haiN

Tere khwaaboN ke anjuman ki kaynaat nahi haiN

Zikar bhi ho tera kahiN to jhook jaati hai Nigaah

Khamoshi ke siva ab labo par koi baat nahi HaiN

Rona bhi agar chaahu to ro bhi na paaunga maiN

Gham mai habib ashko ki ab vo barsaat nahi haiN




Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
"Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?"
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..

Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
"tumhain main yaad aati hooN ?"
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

bus ak iltaja he wo mery paas lot aaey
ke khooshi se marny ki ik aas lot aaey...

pallut aaee mery paas uneh di hoi aawaz,,
sung bichry hoe gum aor ehsas lot aaey..

soona he rakeeb ho chuly tery dedar se seerab,
hum lekar tumhary dar se wahi piyaas lot aaey...

kiyon esy hi mitt gaey mery paon ke nishan,,
jub bhi buzm-e-yar se hum odaas lot aaey....

hum to chuly thy dil ko wisal-e-yar se behlany,,
umeed khaak men mill gai bud hawaas lot aaey....

gaey they panah leny damun-e-yar men lekin,,
aakar jo dekha ghar men ke be naeeb lot aaey...
Sada houn apne piyar ki
Jahan se beniaaz houn
Kisi pe jo na khul sake
Woh zindagi ka raaz houn
Rache hain mere zam za mey
Hawaoon main,ghataoon main
Mere gale ka noor hay
Ghula huwa fazaoon main
Kahoon to chandni houn main
Chiroon to aik saaz houn
Kisi pe jo na khul sake
Woh zindagi ka raaz houn
Sune agar meri sada
To chaltey karwan rukain
Bhula k apni gardishoon ko
Saat aasmaan rukain
Main husn ka garoor houn
Main dilbari ka naaz houn
Sada houn apne piyar ki

Wo
Mujhe Murda Samajh
Ke Chor Giya

Jiss Ki
Nuss Nuss Main Myn
Samaya Tha .......

,,,,,,,,,,,, ,,,,, ,,,,,,,,,,,,,,,
A Kabir
Phir Chand Khila Phir Raat Thami
Phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami

Phir Yaad Ke Jhonkay Mehak Gaye
Phir Pagal Armaan Behak Gaye

Phir Jannat Si Lagti Hai Zameen
Phir Dil Ne Kaha Hay Teri Kami

Phir Guzre Lamho Ki Baatain
Phir Jaagi Jaagi See Ratain

Phir Thehar Gaee Palkon pe Nami
Phir Dil Ne Kaha Hay Teri Kami

Mera Afsurda Chehra es liye bhi Zard Rehta Hai
Mujhe Apne ilaawa Bhi Kisi ka dard Rehta Hai

Tumhare Dam Kadam se thi Yeh Mosam Ki Rangini
Tumhare Baad Sara Saal Mosam Sard Rehta Hai

Tumhare Baad Baki Aor To Sab Theek Hai Lakin
Jahaan Dil Tha Kabhi Pehle Waha'n ab Dard Rehta Hai

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib