Ab Kalam Kagaz Par Shayari Likhne Ki

Ab Kalam Kagaz Par Shayari Likhne Ki
Jgah Unki Tasvir Bana Deti Hai
Ab Dil Ki Dhadkan Dhak Dhak Karne Ki
Jagah Unka Naam Leti Hai
Ab Aankhen Nazare Dekhne Ki Jagah Har
Taraf Unki Surat Dekhti Hai
Ab Kaanon Ko Koyal Ki Kook Ki Jagah Har
Taraf Unki Payal Ki Aahat Sunai Deti Hai

Kaash Hum Is Kalam Se Shayari Likhne Ki Jagah Apni Taqdeer Likh Sakte,
To Aaj Hum Itne Bade Gulistan Mein Ek Phool Ke Liye Nahin Taraste
Kaash Hum Is Kalam Ko Talwaar Banakar Duniya Se Ladai Kar Sakte,
To Aaj Hum Sharabi Devdas Bankar Thokarein Khate Nahin Firte
Kaash Hum Apni Kalam Ki Sihaai Se Barsaat Kar Sakte,
To Aaj Hum Apni Registan Jaisi Zindagi Ko Saawan Bana Dete

Gham To Kayi Hai Maggar Kisi Ko Bata Nahi Sakte
Kisi Ko Rula Kar Hum Khud Ko Hassa Nahin Sakte
Dard To Bahut Diya Unhone Par Hum
Kisi Ka Asshiyana Ujhaar Kar Apna Ghar Bana Nahi Sakte.
Tanhiyon Main Jeete Hai Hall-E-Dil Bata Nahin Sakte
Muhobaat Itni Hai Unse Likh Kar Samjha Nahin Sakte
Is Kadar Cahte The Unhe
Par Unhone Kaher Itne Kiye Ham Par Bata Nahi Sakte.
Chali Gayi Woh Hamain Bhula Kar Par
Hum Unhe Bhula Nahin Sakte
Hum Unki Khushiyon Main Zehar Mila Nahin Sakte
Jetee Hai Woh Ab Auroo Ke Liye
Hum Unki Zindgi Main Aag Lagha Nahi Sakte
Kisi Ka Asshiyana Ujhaar Kar Apna Ghar Bana Nahi Sakte

Unki Yaadon Main Sham Nikli
Rataain Bhi Unke Naam Nikli
Kho Diya Sub Kuch Pyar Main
Hamari Saanse Bhi Unke Naam Nikli.
Itne Kehar Kiye Unhone Par
Dil Se Na Aah Nikli
Dard To Hua Tha Hamain Par
Haste Hue Hamari Jaan Nikli.
Jisko Samajh Kar Zehar Bar Bar Piya
Woh Gamoo Ke Saye Main Doobi Sharab
Nikli,Unki Judai Ka Gham Itna Gehra Tha Ki
Rab Le Ja Mujhe,Baar Baar Honto Se Yahi Awaaz Nikli.
Dil Ke Sannate Main,Yadoo Ki Barrat Nikli
In Suni Palkon Par Ansuo Ki Bahaar Nikli
Roye Hum Itna Unki Yaad Main Ki,Har Ik
Ansu Se Rone Ki Aawaz Nikli.
Dil Se Dete Hai Hum Unhe Roz Duayain,
Hamare Liye To Har Dua Baddua Nikli
Khokar Unhe Aisa Lagta Hai Jaise,Hamare
Jism Se Muh Mood Kar Hamari Rooh Nikli.
Woh Muskurate Hai Humse Aankh Milane Ke Baad,
Aankh Jhuka Lete Hai Meri Surat Pe Nazar Padne Ke Baad,
Bin Khafa Hue Shikayat Karte Hai Woh Humse Milne Ke Baad,
Chupake Bhi Chupa Nahin Pate Dil Ka Haal Hum Se Milne Ke Baad,
Har Chot Pe Parham Hamari Dete Hai Woh Aansoon Bhane Ke Baad,
Apna Bana Lete Hai Woh Humein Ada Apni Dikhane Ke Baad,
Khu Dekhte Hai Woh Humein Hamare So Jaane Ke Bhi Baad,
Unki Palkon Mein Dekhte Hai Hum Khud Ko Khwabon Ke Baad,
Kyu Anjumann Mein Rote Hai Woh Mera Naam Aane Ke Baad,
Banta Hai Har Ek Katra Moti Unki Aankh Se Girne Ke Baad,
Kyu Yaad Koi Itna Karta Hai Humein Hamare Jaane Ke Baad,
Parda Koi Girata Hai Galtiyon Pe Hamari Unko Karne Ke Baad,

Kyu Dil Se Kisi Ke Nahin Mitti Murad Hamari Marne Ke Bhi Baad,
Hai Bus Dua Khuda Se Yeh Koi Tham Le Unhe Hamare Jaane Ke Baad

Maine Kab Chaha Woh Zindagi Mere Naam Kare,
Dilne Toh Yeh Chaha Bus Woh Humein Yaad Karein,
Roz Ke Pal Dil Se Hamare Naam Karen,
Har Waqt Na Sahi Kuch Pal Toh Humein Yaad Karein.
Maut To Aani Hai Zindagi Guzarne Ke Baad,
Khamosh Hona Hai Labon Ko Khulne Ke Baad,
Band Kiye Apni Aankhon Ko,
Duniya Se Chale Jaana Hai Chupaye Kisi Chehre Ko.
Kaun Jaane Humein Phir Yaad Karein,
Hum Nahin Chahte Koi Hamare Liye Aankhen Nam Karein,
Bus Roz Humein Koi To Yaad Karein,
Hum Yeh Nahin Kehte Koi Zindagi Hamare Naam Karein.
Na Chaht Hai Phoolon Ki Rahon Mein,
Na Koi Buland Sapna Hai Aankhon Mein,
Par Koi To Kuch Lamhe Apne Hamare Naam Karein,
Hamare Jaane Ke Baad Koi Toh Hamari Aane Ki Fariyaad Karein.

Bas Tumhare Intezaar Mein, Har Ek Pal Guzara Karein,
Bin Tumhare Jee Nahin Lagta Humara Kya Karein,
Bada Naaz Tha Humein Apne Jis Sabr Par,
Wahi Sabr Khota Dekh Dil Ghabra Raha Hai Kya Karein,
Padh Kar Tere Khat Purane, Jee Ko Behlane Chale,
Jee Na Behla, Tum Aur Bhi Yaad Aane Lage Ho Kya Karein
Ek Purane Gulab Ko Saawan Ka Intezaar Ab Bhi Hai..
Is Purane Deewane Ko,Aap Ke Aane Ka Intezaar Ab Bhi Hai..
Ek Baat Jo Aapse Kahni Thi,Dil Me Ruk Gayi Hai,
Un Hansi Labzo Ka Hoton Par Aane Ka Intezaar Ab Bhi Hai..

Gulab Pyasa Hai,Par Jawani Kam Nahi Hui..
Use Uske Phirse Lal Hone Ka Intezaar Ab Bhi Hai….

Ab To Kuch Na Hua Peeke Behek Jaane Se,
Baat Maikhane Ki Baher Gayi Maikhane Se,
Do Nigahoon Ka Jawani Mein Hai Aisa Milnaa
Jaise Deewane Ka Milnaa Kisi Deewane Se,
Dil Ki Ujdi Hui Halat Pe Na Jaaye Koi,
Saher Aabad Hue Hai Isi Veerane Se,
Daro Deewaro Pe Kabza Hai Udasi Ka Nazeer,
Ghar Mera Ghar Na Raha Unke Chale Jaane Se.

Mera Naam Hai Sharabi
Mera Ghar Hai Maikhana
Zindagi K Saare Gam Mai
Ek Sharab Me Peeta Hoon
Mai Hoon Ek Sharabi
Maikhane Mai Raheta Hoon
Tanhai Mitane K Liye
Sharab Se Mohabbat Kar Li
Ghar Basane K Liye
Maikhane Se Shaadi Kar Li
Mera Naam Hai Sharabi
Mera Ghar Hai Maikhana
Gum Jitane The Zindagi Mein
Sharab Aane Se Chale Gaye
Jitani Chahi Thi Khushi
Wo Is Sharab Se Mil Gayi
Mai Hoon Ek Sharabi
Maikhane Me Raheta Hoon
Jitani Khushi Di Sharab Ne
Wo Or Koi Na De Saka
Jitane Zakhm Diye Us Bewafa Ne
Wo Or Koi Na De Saka
Ab Jite Rahenge Poori Zindagi
Yahi Gungunate Huye
Mai Hoon Ek Sharabi
Maikhane Me Raheta Hoon

Tere Labbo.N Pe Ab Mera Naam Na Aiyega
Ab Nazar Ko Nazar Ka Salaam Na Aiyega
Huye Dusman Mere, Qasid Tere Sehar Ke
Ab Tere Sehar Se Koii Paigaam Na Aiyega
Bewafa Huye Jaate Hain Dekho Lafaz Sabhi
Teri Bazam Mein Ab Mera Kalaam Na Aiyega
Mara Hai Mujhe Teri Berukhi Ne Sitamgar
Magar Sar Tere Koii Bhii Ilzaam Na Aiyega
Isay Bhii Begaanepan Ki Inteha Hii Samjho
Ki Ab Tere Apno.N Mein Mera Naam Na Aiyega
Hai Qaid Is Qadar Wo Rasmo.N Ke Qafas Mein
Wo Samne To Aiyega Magar Sar-E-Aam Na Aiyega
Paimana Tu Saqii Bhii Tu Maikhana Bhii Tera
Raj Ke Liye Ab Koii Ulfat Ka Jaam Na Aiyega


Yaadon Mein Guzaari Hui Har Shaam Tere Naam.
Meri Is Bematlab Zindagi Ka Jaam Tere Naam.
Tere Deedaar Ko Tarasti Hui Pyaasi Yeh Nigaahein,
Dil Mein Dehakti Aag Ka Paigaam Tere Naam.

Tu Zindagi Mein Aaya Tab Se Chhaayi Hai Bechaini,
Tujhse Pehle Jo Mayassar Tha Woh Aaraam Tere Naam.
Andheron Mein Bhi Saath Chalta Tha Tera Saaya,
Is Baar Meri Tanhai Ka Kalaam Tere Naam.
Aaya Karta Tha Tere Chahne Waalon Ki Fehrist Mein,
Khubsoorat Maaina Rakhne Waala Mera Naam Tere Naam.
Meri Nazar, Meri Umar, Meri Jaan, Mera Jigar,
Mohabbat Ki Ibtidaa Aur Anjaam Tere Naam.
Aye Jaan-E-Jigar Meri Har Ek Khata Ho Maaf,
Duniya Se Jaate Jaate Mera Salaam Tere Naam.

Waada Karke Na Aaya Aane Waala
Chorr Gaya Chorr Ke Jaane Waala
Ab Mere Naam Se Bhi Jalta Hai
Mujhko Dekh Muskuraane Waala
Apna Daaman Bachaa Ke Chalta Hai
Kabhi Woh Seene Se Lagaane Waala
Chala Gaya Hai Khaak Mein Milaa Kar
Humko Palkon Par Bitthaane Waala
Na Poochiye Kya Gujri Hai Hum Par
Ye Kissa Hai Dil Dukhaane Waala
Ab To Aik Hi Duaa Hai Maikash
Khush Rahe Mujhko Rulaane Waala
Aabaad Rahe Mujhko Mitaane Waala
Chorr Gaya Chorr Ke Jaane Waala
Chorr Gaya Chorr Ke Jaane Waala

Ek Pal Mein Ek Shaadi Ka Maaza Hum Se Poochiye
Do Din Ki Jindagi Ka Maaza Hum Se Poochiye
Bhoole Hai Rafta Rafta Unhe Muddataoo Mein Hum
Khistoy Mein Khudkushi Ka Maaja Hum Se Poochiye
Aghaaz Aashiqui Ka Maaja Aap Jaane
Anjaam Aashiqui Ka Maaja Hum Se Poochiye

Hasne Ka Shouk Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarah
Haase Agar Haasi Ka Maaja Hum Se Poochiye
Woh Jaan Hi Gaye Ke Haame Unse Pyaar Hai
Aankkhon Ki Maqbari Ka Maaja Hum Se Poochiye
Jalte Diyo Mein Jalte Gharoo Jaisi Jooh Kaha
Sarkari Roshini Ka Maaja Hum Se Poochiye
Hum To Toba Karke Mar Gaye Kabal Ajal Khumaar
Touheen Meh Kaashi Ka Maaja Hum Se Poochiye

Zindagi Aik Khawab Jaisi Hai
Dar Haqiqat Hubab Jaisi Hai
Zindagi Inqlab Jaisi Hai
Ye Gam E Iztarab Jaisi Hai
Dekhne Main Shabab Jaisi Hai
Padh Ke Dekho Kitab Jaisi Hai
Nazuki Mian Gulab Jaisi Hai
Ji Ke Dekho Azab Jaisi Hai
Jisko Koi Samjh Nahi Paya
Sehra Main Tu Sarab Jaisi Hai

Kuch Apne The Kuch Sapne The
Kuch Pahchane The Kuch Anjane The
Waqt Ki Daud Main Wo Sab
Jane Kanha Kho Gaye
Sab Kuch To Apna Tha Kuch Der Pahale
Aaj Hum Itane Begane Se Ho Gaye
Tanhai Se Batein Karna Accha Lagta Tha
Tanhai Bhi Sath Nahin Ab To
Jane Itane Tanha Kaise Ho Gaye
Sab Kuch To Hai Pahale Jaisa Par
Wo Lamhe Jo Khushi Diya Karte The
Jane Kanha Bankar Khusboo Fizaon Main Kho Gaye
Dhoonthi Hai Aankhen Meri Phir Wahi Manjar
Wo Sapne Wo Yadein , Wo Ret Aur Samnadar
Kanhin Nazar Nahin Ate Wo Pal ,Wo Sama
Lagta Hai Jaise Ki Wo Kanhi Dhuan Ho Gaye....................

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib