Jab se juda hue tere Kafile se ham

Jab se juda hue tere Kafile se ham
Loogo ne apni raah ka patthar bana liya
Be rang Khwahis mai Bantta dekhaee de
In saan apne aap mai karta dekhaee de
Raat dekhi hai pighlte hoye Zanjir koi
Mujhe batlayega is khwab ki tabeer koi
Kitaab khool ke bathon to aankh rooti hai
Barak Barak tera chera dekhaee deta hai
Uthga nakaab uske chere se jis dam
Najar uski taraf maeel to hogi
Jo rakhenge zakhmo pe marham Kisi ke
Khusi dil KO to hasil bhi hogi
Kisi ke dil mai ghar karna asaan nahi hai
Yaha tak pahoochne mai muskil to hogi
Kisne kha tumse mujhe jaan hai Azeez
Jaan se bhi Bad ke Mujhe Imaan hai Azeez
Hindu hai pyara or Na musalmaan hai Azeez
Insaan hooon mai mujhko Insaan hai Azeez
Karta hoon Walideen se mai pyar is liye
Mujhko Rasoole Paak ka farmaan hai Azeez
Karta hai Jo sabse pyar is Nafarat ke Dour mai
Khuda ki kasam mujhe who Insaan hai Azeez

Teri Dosti ka sila har haal mai denge
Khuda bhi mange yeh dil to use bhi Taal denge
Gar dil kahe tum Dost nahi mere to
Is Dil KO bhi seene se nikaal denge


Waada nahi karta sath nibha paounga mai
Sath tere umar bhar zindgi beeta paounga mai
Kya pata ab ke musam ka rookh apni taraf palte
Nahi pata mujhe kab bewafa ho jaounga mai
Door ham bhi nahi hona chate aapse magar
Kya pata ab ki baar fana ho jaounga mai
Tere liye sanse hai abhi tu bhis sath de rahi hai
Maloom nahi kab moout ke pass chala jaounga mai
Abhi hoon sath tere ham saye ki tarah
Nahi keh sakta kab tujhe tanha Chood jaounga mai



Unhe pyar karna nahi aata
Hame pyar ke siwa khuch nahi aata
Jeene ke doo hi raste hai
Ek unhe nahi aata Ek hame nahi aata
Who hamare siwa sabse milte hai
Or hame Kisi or se hath milana nahi aata
Unhe hota nahi yakeen hamare pyar per
Or hame dil cheer ke dikhana nahi aata
Who bhool jate hai hamara chera ek pal mai
Or hame unki yaad KO bhulana nahi aata




Masoum mohabbat ka bus itna fasana hai
Kagaz ki kasti hai or waaris ka zamana hai
Kya sharte mohabbat hai kya sharte zamana hai
Awaaz bhi zakhmi hai or geet bhi gaana hai
Us paaar utarne ki ummed bahout kam hai
Kasti bhi puraani hai or toofaan KO bhi aana hai
Samjhe ya Na samjhe who andaze mohabbat KO
Ek sakhs KO aankhon se ek shair bhi sunana hai



Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib