dil ki har tamanna sholon mein jal gayee

dil ki har tamanna sholon mein jal gayee
har mod par khwaishon ki shaam dhal gayee
jaane kaise yeh zindagi yun badal gayee????

khili thi jo kaliyan dil mein,
bachi nahi unmein kashish
ab to narm chandni bhi deti hai sholon ki tapish
gamon ki aandhiyan kuch yun chali
ki doob gayee dil ki har khwaish
resham si un hawaon ki ab to rukh badal gayee
jaane kaise yeh zindagi yun badal gayee????

kal raat khwabon mein aaya jo katra khushi ka
tha andhere ke aagosh mein simta aur sehma sa
mushqil se jo mili nazrein hamaari
jaane kyon lagta reha har pal muzhe wo mehma sa
ki achanak sapno ki kali,
toot kar ashkon mein dhal gayee
jaane kaise ye zindagi yun badal gayee???

kab se pyaase is dil ko shabnam ki talaash hai
dard ke andheri galiyon mein roshni ki aas hai
band aankhon se karte hain mahsoos jise
khwabon mein bhi tsnmki maujoodgi kuch khaas hai
bas ek usi ki ummeed mein zindagi phir sambhal gayee
jaane kaise yeh zindagi yun badal gayee...???


meri rooh main hai tu meri jaan main hai tu
tuzhe main kaise bhulaun meri phechaan main hai tu..!!!

tere bin jee nahi sakta.. juda main ho nahi sakta
ye baat kis kis ko samjhaun.. ke saanso ke dermiyaan main hai tu..!!!

muzhe koi dosh de ya muzh pe laga le sau sau ilzaam
karoon kya main bas.. ke meri aan main hai tu..!!!

tera naam leke meri dhadkan har pal le leke kati hai
ziker main kiska bhi karoon.. per mere har bayaan main hai tu..!!!!

tune to juda humare jismon ko kiya hoga
jo koi mita nahi sakta aise insaan main hai tu...!!!

mere bas main nahi hai ye ke main teri aarzo ko bhool jaaun
koi khwahish hi nahi tere baad... mere her armaan main hai tu..!!!

na ho mashoor mera naam muzhe fir bhi is se kiya
meri tareekh mohabbat ha..i mere masoom jahaan main hai tu..!!!

nahi koi main shajahan na hai wo koi mumtaaz
misaal jo de sako ke kis taaj mahel ki shaan main hai tu..!!!!!

meri rooh main hai tu meri jaan main hai tu
tujhe main kaise bholao meri phechaan main hai tu

khatam ker de ye intezaar ab tu aaja
tuzhko bulaye mera pyaar ab tu aaja..!!!
dhondti hai ye bahaar ab tu aaja
dil ka kho gaya qaraar ab tu aaja..!!!!

maut se kuch pal aur mohallat le rakhi hai..
maut chinle muzhe tuzhse..Isse pehle tu aaja..!!!!


Dard bhari zindagi ka suraag dhondte hai
Hai andhera bahot yaha ek chiraag dhondte hai..!!

banaye they tamasha zindagi ko is tarah
ke un maherbaano ka Ilaaj dhondhte hai..!!

koi In andhero main meri dil ki shmma jala de
hum apni badnasibi ka raaz dhondhte hai..!!!

hasrat ka aayina ye pather dil se toot gaya
shisho ke in tukdon main apna aaj dhondhte hai..!!

maazi ke tulkh lamho ne hame jhulas ke rakh diya
dil ko behlane ke liye koi haseen khwaab dhondhte hai..!!


Dil se teri tasveer ko lagaye baithein hai
yaad tuzhe karke khood ko bhoulaye baithein hai..!!

Aye mohabbat bata tera main kaya karoon
Dil mera chahe bas usiko aur main aahein bharoon..!!

Ro rahi hai ye yaadein meri main kis se kahoon
Dil mera bas chahe usiko aur main aahein bharoon..!!

Laot ke ayegi ek pal ..dil ko hai ye bharam
Na aaye tu to unhi pal pal main maroon..!!

Meri tsnm ne diya uska ye mitha gham hai
Is gham ko gale laga ker main sada chaloon..!!!

Bewafa hai wo ye kahne se bhi dil tutta hai
Uske liye main apni wafaon ko qayam rakhoon..!!!

kya hua ger usne muzhe bhula jo diya
yaadon ki dulhan ko main to bas humesha sajaye rakhoon..!!!

Muzhko pyari hai woh jaisi bhi hai tsnm.
Uske gham se ..uski jafa se ...uski her baat se main pyaar karoon..!!!




Kaisi mohabbat thi teri jo mera pyaar bhool gayee
Milke kiya tha jo hum ne kabhi wo ikraar bhool gayee..!!!

Gaieron ke dard ka tu humdard tha
tere sitam ka kaun dard karega
Sooni hai raahein tanha ye dil hai
mera ye gum ab kaun samzhe ga
Tuzh pe kiya tha dil ne kabhi wo ayetebaar bhool gayee..!!!

Khamosh aahein roti rahi dost huwa ab ajnabi
Aansoo bhi chubta tha ke hum inhi raahon pe chalte the kabhi
kitne khush the teri mohbbat se hum
dil soch ker rota hai abhi
Leke aayi thi wafayen jo kabhi wo bahaar bhool gayee..!!

Milke kiya tha hum ne ahed hum na badlege kabhi
Qasme waade bhoolee tu bhi iska gum nahi
Anjaan banke dosto main mera naam bhi meri tsnm tu bhool gayee
Kaisi mohbbat thi teri jo mera pyaar bhool gayee
Milke kiya tha hum ne kabhi wo ikraar bhool gayee..!!!

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib