Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya

Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya,
Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya.
Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar,
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya.
Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba’ad Marg,
Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor-e-Gharibaan Kardiya
Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka,
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya
Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!,
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya
Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka,
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya

Zindagi mein, mil Gaya phir WO,
Ek raat ki baat hai
Kuch keh nahi PAYE hum
Waqt ki baat hai
Aankhon se aasu baraste rahe
Jasbat ki baat hai
Kuch Na kaha kar bhi, sab kah Gaya woh,
Andaz ki baat hai,
Chah kar bhi Na rok seke use hum,
Halat ki baat hai,
Who Kisi aur ka hai
Kismet ki baat hai
Yeh kehna Na Kisi se tum
Raaz ki baat hai


Dekho Zamane Ke Rango Main Kya Hai
Bhulaa Do Mujhe, Mujh Mein Kya Hai
Ujaalaa Chaandani Raaton Ka Dekho
Siwaye Andheron Ke Mujh Main Kya
Hai Nahin Mil Sakti Jinhe Kabhi Haqeeqat
Asie Mere Khvaabon Mein Kya Hai
Arman Fana Nazar Viran,
Dil Jala Hai Kureda Ho Mujhe,
Ab Rakha Mujh Main Kya Hai
Khushi Ke Liye Sab Kuch Bhula Deta Hai
Yadon Ka Kafan Pahne Main Kya Hai
Tumhaari Mehfil Main Chand Sitare Hai
Es Nakaam Shayaraa Main Kya Hai

Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko
Kiya saza di hai, mohabat ne khudaya mujh ko
Din ko aaram hai na, raat ko hai chain kabhi
Jane kis khaak se, qudrat ne banaya mujh ko
Dukh to yeh hai ke, zamane main milay ghair sabhi
Jo mila hai, woh mila ban ke, paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha, mere rone ko
Ghar ki deewaron ne, seene se lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa, tum se nahi hai koi
Phir charaghon ki tarah, kis ne jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo, mohabat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne, sar-e-sham bujhaya mujh ko
Kaise bhoolau ga woh, wakt ke lamhe
Yaad aata raha, zulfon ka hi saya mujh ko

Jaane Kyun Wo Saanso Ki Dor Tootne Nahi Deta
Bas Do Kadam Aur Chalne Ka Waasta Dekar Mujhe Rukne Nahi Deta
Baat Kehta Hai Wo Mujhse Hans Hans Kar Jee Lene Ki
Ajeeb Shakhs Hai Mujhko Chain Se Rone Nahi Deta
Aaj Hausla Deta Hai Mujhe Chaand Sitaro Ko Chhu Lene Ka
Wo Pyara Sa Chehra Mujhe Tootkar Bikharne Nahi Deta
Shayad Jaanta Hai Wo Bhi In Aankhon Men Aansuo Ka Sailaab Hai
Jaane Kyun Fir Bhi Wo In Aansuo Ko Girne Nahi Deta
Mujhse Kehta Hai, “Main To Mar Jaunga Tumhare Bina”
Main Zinda Hun Ab Tak Ke Wo Mujhe Merne Nahi Deta


Haseen Titliyoun Ko Sataya Nahi Kertey
Kabhi Periyoun Say Dil Lagaya Nahi Kertey
Zulm Kertey Hain Aksar Yehi Husan Walay
In Ko Chahat Ka Naghma Sunaya Nahi Kertey
Tor Deytey Hain Dil Ko Sada Hi Situmger
Or Waja Beywafee Bhi Bataya Nahi Kertey
Mehektey Rahay Hain Yeh Dil Kay Chaman Main
Mager in Pay Haq Bhi Jataya Nahi Kertey
Jalna Hay Ulfat Ki Rasmoon Main Lakin
Perwanay Shama KO Bujhaya Nahi Kertey
Mohabbat Hay Kya Yeh Hum Say Poocho
Kabhi Raah-E-Wafa KO Bhulaya Nahin Kertey


Woh nadiyaan nahi thi aansu the mere,
Jis par mere Dost kashti chalate rahe…
Manzil mile unhe yeh chahat thi meri,
Isliye hum aansu pe aansu bahate rahe…

Kab saam udas ho Gae, kab rat udas hoo gaee
Qafan ma lipte huee mare lash ho gaee …
A muje dafnanen wolo muje wahee dhafna Na
jha mare mahobuba SA mari Moulaqat hoi thi


Ugta Hua Suraj Dua De Apko.
Khilta Hua Phool Khushbu De Apko,
Hum To Kuch Dene Ke Kabil Nahin,
Denewala Hazar Khushia De Apko Gud Morning…
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko
Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kon Kehta Hai Judai Ho Gi
Kon Kehta Hai Judai Ho Gi
Yeh Afwah Kisi Dushman Ney Uraai Ho Gi…..
Shan Say Rahaingay Dil May Tere…….
Itni Tou Jagha Hum Ney Banaai Ho Gi;)
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dhalti Shaam Ka Khula Ehsaas
Dhalti Shaam Ka Khula Ehsaas Hai,
Mere Dil Mein Teri Jagah Kuch Khaas Hai…
Tu Nahi Hai Maloom Hai Mujhe,
Par Dil Kehta Hai Ae Dost Tu Yahi Mere Ass Paas Hai…
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hame Ashkon Se Zakhmon Ko Dhona Nahi Aata,
Milti Hai Khushi To Use Khona Nahi Aata,
Seh Lete Hain Har Gham Muskura Kar,
Aur Log Kehte Hian Hame Rona Nahi Aata.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Takdeer se main sataya gaya hun,
dosti mein har tarah se main rulaya gaya hu.
Aaj hum gam ke musafir hai,
magar aisa nahi tha main aisa banaya gya hun
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Meri zindagi ka sahara nahi hai,
is jahan mein koi hamara nai hai.
Pakda unka daman to woh haskar bole,
chod ye daaman tumhara nahi hai.


Achchhaa Saa Ko_Ii Mausam Tanhaa Saa Ko_Ii Aalam
Har Vaqt Kaa Ronaa to Bekaar Kaa Ronaa Hai

Ek Mahafil Me.N Ka_Ii Mahafile.N Hotii Hai.N Shariik
Jis Ko Bhii Paas Se Dekhoge Vo Tanhaa Hogaa

Arsh Se Ho Ke Jo Maayuus Duaae.N Aa_Ii.N
Mai.N Ye Samajhaa Ki Mere Ghar Me.N Balaae.N Aa_Ii.N

Lamhaat-E-Yaad-E-Yaar Ko Sarf-E-Duaa Na Kar
Aate Hai.N Zi.Ndagii Me.N Ye Aalam Kabhii Kabhii


Kyaa Surmaa-Bharii Aa.Nkho.N Se Aa.Nsuu Nahii.N Bahate
Kyaa Mehandii Lage Haatho.N Se Maatam Nahii.N Hotaa


Zakhm E Jigar Ko Humne Kya Khub Kurecha Hai
Ab Tak Tapak Raha Hai Tera Naam Lahu Ke Sath

Har Phool Ki Kismat Mein Kaha Naaz O Urusi
Kuch Phool To Khilte Hai Mazaaro Ki Hi Khatir

Ishq Ki Baatein Gham Ki Baatein Duniyaa Vaale Karte Hain
Kis Ne Shammaa Kaa Dukh Dekhaa Kaun Gayaa Paravaane Tak

Kya Milega Tujhe Bekhwaab Khayalon Ke Siwa
Ret Par Chand Ki Tasweer Bana Ney Waley!

Dil Me.N Hai Mulaaqaat Kii Khvaahish Kii Dabii Aag
Mehandii Lage Haatho.N KO Chhupaa Kar Kahaa.N Rakhuu.N

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib