Khamosh hain nazare ek bar muskara do

Khamosh hain nazare ek bar muskara do

Kahti hain yeh bahareen

Hansna hameen sekha do

Suni pari raheen gi yeh parbatoon ki rahain

Yunhi khuli rahain gi in badaloon ki baheen

Jab tak jhuki yeh nazrain hans k na tum utha do

Qadmoon ko chou rahi hain

Yeh jhumti ghataeen

Karti hain iltajayeen yeh sham ki hawayeen

Chaire se gaisoun ka aanchal zara hata do

Tum hosala na haro chath jayeen ge andhre

Bikhreen ge phir ujale nikhreen ge phir sawere

Umeed ki kiran se ab dil ko jagmaga do

Presented By Saba sagar

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib