DiL Ko Behlaa Kay Gham e Hijr Ko Kam Kartay Hain

DiL Ko Behlaa Kay Gham e Hijr Ko Kam Kartay Hain

Kaam Jo Aap Ka Tha Aaj Wo Hum Kartay Hain

Apni Palkon Pay Jala Kar Teri Yaadon Kay Chiragh

Hum Bhi Ik JashN e Chiraghan Shab e Gham Kartay Hain

Humnay Dekhay Hain Aysay Bhee Janoon Kay Maaray

Jo Tera Naam Darakhton Pay Rakam Kartay Hain

Uss Kay Dukh Dard Main Hotay Hain Barabar Kay Shareek

Hum Tau Aghyaar Kay Marnay Ka bhi Gham Kartay Hain*

Kia Guzarte Hay Khuda Janay Bahar Aanay Tak--

Baat Deewanay Ki Mehdood Hay Deewanay Tak--

Tum Nay Ik Shama Jalanay Ka Nateeja Dekha--

Aag Hee Aag Thee Perwanay Say Perwanay Tak--

Abb Meri Bandagi e IshQ Main Kami Na Rahee--

Sajda Takmeel e Talb Tha Teray Thukranay Tak—

Kuch waade, qasmein aur yaadein thin,Kuch qahqahe thay
faryadein thin,Kuch ansoo thay jo bahaye thay,Kuch dhokay tahy
jo khaye thay,Ab hamare pas kuch bhi nahi,Bas yadon ki zanjeeren
hein,Kuch rang urii tasveerein hein,Kuch lafz miti tehreerein
hein,Ek dil jo deed ka piyasa hai,Bas yahi mera asasa hai...

Har Adawat Pe Mohabbat Ko Saja Kar Milna

Rasm-e-Dunia Hai Haqiqat Ko Chupa Kar Milna

Jis Ka Kirdaar Sitaaron ki Tarha Roshan Ho

Kitna Dushwaar Hai Us Shaks Ko Jaa Kar Milna

Tum Mohabbat Ko Fareeb Samjhtay Ho Ghalib

Uski Aadat Hai Nighaon Ko Jhuka Kar Milna

وفا سے بے وفائی کے بیان سے
سناؤں داستان اپنی کہاں سے

شکایات کیا کروں بد گماں سے
نہ کہہ پاؤں کچھ اپنی زبان سے

نہیں سمجھا وہ اب تک بات میری
پریشان ہوں میں اپنے مہربان سے

چلوں ساتھ تیرے اے مسّرت
اجازت لے تو لوں درد نہاں سے

وہیں سے زندگی بھٹکی ہے میری
تمہارا ساتھ چُھوٹا ہے جہاں سے

ہمارے کارواں کو کس نے لوٹا
چلو پوچھیں یہ میرِ کارواں سے

وہ کیوں افسردہ ہے مایوس کیوں ہے
چلو پوچھیں ذرا اُجڑے مکان سے

نہیں سمجھا وہ اب تک بات میری
پریشان ہوں میں اپنے مہربان سے

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib