Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee

Yeh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN
Meray bas ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hairuaaN ruaaN

Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
 
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?

Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt 'ayaaN 'ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN

Na safar ba shart-e-ma-aal 
hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN

Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN

HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
 
Woh tuloo'-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN

Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat kibandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hairawaaN dawaaN

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib