ik tum ke dil me.n dard kisii Gair ke liye

ik tum ke dil me.n dard kisii Gair ke liye
ik ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye

ham apane aashiyaane me.n tere mu.ntazir
tum ti.nke chun rahe the kisii aur ke liye

ham jaanate hai.n dil me.n tumhaare nahii.n hai.n ham
 
jo Khat tumhaarii aa.Nkho.n me.n the ham ne pa.Dh liye

Gam hai ke tuu ne luuT liyaa aitamaad ko
ik daaG de diye hai.n hame.n umr ke liye

qaatil kii is adaa pe bhii qurbaan jaaye
Khud de ke zahar aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu bhii bhar liye

thii kaun sii Khataa ke milii jis kii ye sazaa
hamane to umr bhar tere nqash-e-qadam liye

"Azra" ye maanaa bojh hai ab tujh pe zindagii
par zindagii to terii nahii.n hai tere liye

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib