Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta

Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta

Chahta hu main tujhe aaj bhi
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta
Jo kuch Mila hai Usi me khush hun
Tere liye Khuda se takrar nahi karta
Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta

Apki tareef is zuban se shayad ho hi na payaegi par koshish kar raha hu
Chahat ke paimane hue tere dar ke kareeb
Wo bhi aaj aye the mere ghar ke kareeb
Mai charag banke unke sath sath raha
Wo na samjhe mai raha kyu har ke kareeb.
Kuch hume bhi intezaar hai aapki fursat ka
Chahta hu koi hadsa ho jaye meri kudrat ka
Aap jaha bhi hume dekh sake bol sake sab
Wo jagah ho umeed-e-nishan-e-mohabbat ka


Apane Khvaabon me tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
Aankh khulate hii tujhe Dhundhane nikalaa hogaa

Zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
Jaane kitane hii dimagon ne ye sochaa hogaa

Dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge
Terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa

Daaman-e-ziist me ab kuchh bhii nahi hai baaqii
Maut aa jay to yaqiinan use dhokaa hogaa

Raushanii jis se utar aai lahuu me mere
Ay masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa 

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib