Ye kab kaha tha nizaron se khoof aata hai,

Ye kab kaha tha nizaron se khoof aata hai,
Mujhe tou chand sitaron se khoof aata hai,

Main dushmano ke kisi waar se nahin darta,
Mujhe tou apne hi yaaron se khoof aata hai,

Khizan ka jabar tou seenay pe rok laitey hain,
Humein uddas baharon se khoof aata hai .....,

Milay hain Doston,be-sakhion se gham itne,
Mere badan ko saharon se khoof aata hai..,

Main iltifaat ki khandaq se door rehta hon,
Ta'aulqat ke gharon se khoof aata hai........... 

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib