Bahoot baar kehna chaha tha maine par... Tum nahi samjhi

Bahoot baar kehna chaha tha maine par...

Tum nahi samjhi


Hamari dosti aur pyaar ke bhich ki patli lakir
Kab miti pata nahi........ ......... ..
Un nazdekiyo ka sabab batana chaha tha maine par...

Tum nahi samjhi


Saath Chahata tha tumahara, taumar ke liye
Kyon ? kaise kehta tumse ye baat main
Tumahare liye apna pyaar jatana chaha tha maine par...

Tum nahi samjhi


kabhi jhakkar meri aankho mein tho dekha hota
Saari dasta khud ba khud padh leti tum
Beintehaa pyaar jhalakta hai tumhare liye in main par...

Tum nahi samjhi


Sitaro ki chadar se jab chalkti chandni chuti mujhko
To lagta ki mano Bahoo main bhar liya tumhe
Main bekarar hoon tumahare liye par is bekarari ko...

Tum nahi samjhi


Apna kaam, Apne dost, Apne aap main hi khoyi rahi,
Apni Masrufiyat se tumhe na waqt mila,
Mere sapne, meri aarzoo, mere armano ko...

Tum nahi samjhi


Apne armano ko daphnakar jab main......
Mere aasu pochte tum, mujhe samjhati rahi
Un aasuo ka kaaran, apna pyaar khone ki tadap,
Meri Adhuri kahani ko...

Tum nahi samjhogi.........


 
 
bestregards.gif
 
 
 
 
 



Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib