Do ashk meri yaad main bahaa jaate to kya jaata


Do ashk meri yaad main bahaa jaate to kya jaata
Chand kaliyan laash par bichaa jaate to kya jaata

Aaye ho mayyat par sanam oudh kar naqaab tum
Agar ye chand ka tukda dikhaa jate to kya jaata

Poochte hain log tumse kis ka hai janaaza yeh
Marne waala kaun tha bataa jaate to kya jaata

Sabke samne meri ulfat ko ruswaa kar diyaa
Nazar ki talkhiyan chupaa jaate to kya jaata

Har zakhm ne mere tumhe di hain duain umr bhar
Haaye eik bar sine se lagaa jaate to kya jaata

Tumko yaad karte-karte jaan de di Arsh ne
Eik chiraag hi mazzar par jalaa jaate to kya jaata.

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib