jab bhi ghar ki chat par jain naz dikhanay aa jatay hain

jab bhi ghar ki chat par jain naz dikhanay aa jatay hain
kesay kesay log hamaray ji ko jalanay aa jatay hain

din bhar jo sooraj ke dar se galion main chupe rehtay hain
sham atay hi ankon main  wo rang puranay aa jatay hain

jin logon ne in ki talab main sehraon ki dhool udai
ab yea haseen unn ki qabron pe phool charhanay aa jatay hain

kon sa wo jadoo hai kis se gham ki andheri sard ghapa main
lakh nisaai sans dilon ke rog mitanay aa jatay hain

uss ke reshmi roomalon ko kis kis ko nazron se chupain
kesay hain wo jinhain yea raaz chupanay aa jatay hain

ham bhi "munir" ab dunya dari kar ke waqt guzarain gay
hotay hotay jeenay ke bhi lakh bahanay aa jatay hain...

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib