Ashk Girte hain to her Saans PIGHAL Jati hai

Ashk Girte hain to her Saans PIGHAL Jati hai
De ke Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hai
Tujhko Seene se Laga ker Mile Jannat ka Sakoon
Tujhse Bichhdoon to Meri Jaan NIKAL Jati hai
Ishq Kuch Aise Mitata hai NISHAN-E-HASTI
Jaise ke Raat Ujaale ko NIGAL Jati hai
Tu Agar Dil pe Mere Hath hi Rakh De gar to
Tooti Saans Bhi Kuch Der SANBHAL Jati hai
Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magar
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hai



Dard kya hota hai bataenge kisi roz
Kamaal ki ghazal tumko sunaenge kisi roz
Thi unki zid ke main jaon unko manane
mujhko ye weham tha wo bulaenge kisi roz
Us rab ki qasam maine to socha bhi nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhaenge kisi roz
Har roz aaine se yehi poochta hoon main
Kya rukhsar pe tabassum bhi sajaenge kisi roz
Urde do in parindon ko Azaad fiza mein
Gar honge Tumhare to palat aenge kisi roz


Jaab teri Yaad Se Ghafil Kabhi ho jaunga
Dekh Lena Main Zameen odh Ke So jaunga
Tere Pass Ake Hasunga Lekin
Jate jate Teri Palkon Ko Bhego jaunga
Ek Nigha-e-Karam Amaiz Zara Ho Jaye
Jitne Dhabbe Mere Daman Pe hain Dho jaunga
Hai yaqin, Ek Roz Wo Ayega Inshallah
Rote Rote Usi Dehliz Pe So jaunga 

 
 
bestregards.gif
 
 
 
 
 

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib