Os ada se bhi me hun ashna, tujhay itna jis pe itna ghurur hai,

Os ada se bhi me hun ashna, tujhay itna jis pe itna ghurur hai,
Me jeyoun ga tere baghair bhi, mujhay zindagi ka sha'ur hai,
na hawis mujh me janab ki, na talab saba-o-shabab ki,
tere chasm-e-nazar ki khair mujhay bin peye hi suroor hai,
jo samjh le mujh ko bewafa, to is me meri kia khata,
yeh khayal hai teri soch ka, teri nazar ka qusoor hai,
me bhool kar tere naam ko, na girun ga apnay maqaam se
me hoon qateel-e-sitam sahi mujhay tum se isq zaroor hai

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib