us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai


us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai
aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai

hum se na koi uljhe hum log hain deewane
andhi se hamen zid hai aik deep jalana hai

hum dono ko banta hai darya ke kinaron ne
is simt bhi rehna hai us simt bhi jana hai

ye ishq to fitrat hai kese ho juda mujh se
ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai

basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein
itna jo kaha main ne aik shahar basana hai

aik ankh hai sehra to aik ankh samandar hai
kya janye is dil mein kis kis ko samana hai

kehne ko bohat kuch hai, ai saad magar hum ne
aik wada nibhana hai aik dard chupna hai

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib