Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah

Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai

Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam

Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai

Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai

Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai.

`

Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,

Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,

Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,

Namaz­e­ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,

Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,

Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.

`

Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,

Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,

Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,

Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun.

`

Kitni Saji Hai Bewafai Teray Masoom Chehray Par.

Hum Bhi Pagal Thay k Is Adaa Pay Mar Gaye...

`

Mera Taajub Ajab Nahi Hai.

Wo Shakhs Pehle Sa Ab Nahi Hai.

Wafa Ka Kya Gila Karon Main Us Se ‘Ghalib’

Wo Mera Tha Kab Jo Ab Nahi Hai...

“aye kash tumhe humare pyar par yakeen hota,

to mausam ­e­ bahar,patjad me bhi hota.......

aye kash tum samaj pate humare ashq ko ki jubani,

to taare bhi aa baith te sunne woh beeti kahani.......

aye kash tum humari dhadkanno ki dhun sun pate,

to saat suro se bane is dil ko samaj pate..............

aye kash tum samaj pate in ladkhadate labpso ke ishare,

to khil uthte binbarsaat hi phool sare...........

aye kash khole hote tumne humare liye dil ke dwaar,

bin base kaise bataye ,hai tumse kitna pyar........

kar to liya apne humse pyar,

par kar na sake humpe etbaar.....

kar to liya humne bhi ikraar,

par de na sake woh pyar.....

nahi ban sake hum wo dil­dar,

jiska tha shayad aapko intazar......

karte hai din raat tumhari ibadat,

par shayad nahi is tute dil ko dhadak ne ki izazat.....

aye khuda,

‘jeevan se jyada hai hume maut par etbaar,

gar hota hai pyar ek hi baar’

Jisne humko chaha, use hum chah na sake,

Jisko chaha usae hum pa na sake,

Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,

Kisi ka toda aur apna bacha na sake,

Ek aur sher sunata hoon——­

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;

Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;

saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;

aaj akele hain...dil sawaal karta hai...

Log to uske the, ...kya khuda bhi uska tha????

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib