Teyri rehmaton kay diaar main, teray badlon ko pata nahi

Abhi aag sard hui nahi,abhi aik Alao bhuja nahi
Meyri nurm-e-dil to ujar chuki, meyra furz-e-jan to simatt chuka
Sabhi ja chukay meray humnashee'n magar aik shaks gia nahi
Dar-o-baam sub nai saja liye, sabi roshni mey niha liye
Meri unglian bhi jhulas gaiey magar aik charagh jala nahi
Gham-e-zindagi teri rah main, shab-e-aarzu teri chah main
Jo ujar gia wo basa nahi, jo bichar gaya wo mila nahi
Jo dil-o-nazar ka saroor tha, meray paas reh kay bhi door tha
Wohi ek gulaab umeed ka, meri shah-e-jan per khila nahi
Pas-e-karwan, sur-e-rahguzar, mey shikista pa hun to iss liye
Kay qadam to sub ney mila liye, meyra dil kisi sey mila nahi
Mera humsafar jo ajeeb hai to ajeeb tar hun main aap bhi
Mujhey manzilon ki khabar nahi, ussey raaston ka pata nahi

Can you tell me who is the original writer of this ghazal?
ReplyDelete