Mein Diya Hoon Toote Mazaar Ka

Mein Diya Hoon Toote Mazaar Ka
Sar Shaam Kisne Jala Diya
Teri Berukhi ki Adaoon Ne
Mujhe Zarra Zarra Bana Diya

Nai Manzilon Par Puhanch Kar Bhi
Yahi Sochta Hoon Ke kis Tarah
Kin Rastoon Pe Mile The Ham
Kin Raston Ne Juda Kiya

Ye To Apna Apna Naseeb Hai
Koi Mil Sake, Ya Na Mil Sake
Na Ho Gham Zada Dil Meharbaan
Phir Kya Huwa Jo Bhula Diya

Mere Hum Safar Zara Soch Ley
Tere Rastoon Ka Khalus Honn
Tere Samne Jo Bicha Diya

Rahey Umar Bhar Jisey Dhoondte
Wo Mila To Usse Ganwa Diya

Mere Hasraton Ke Mazaar Par
Mera Us Se Aik Sawaal Hai
Usse Rok Kar Ye Poochoon Mein
Yahan Kisne Kisko Bhula Diya 

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib