aankhen mujhe talvon se vo malne nahin dete

armaan mere dil kaa nikalne nahin dete
Khaatir se teri yaad ko talne nahin dete
sach hai ki hamin dil ko sanbhalne nahin dete
kis naaz se kahte hain vo jhunjhla ke shab- e-vasl
tum to hamein karvat bhi badalne nahin dete
paravaanon ne faanus ko dekha to ye bole
kyon hum ko jalate ho ki jalne nahin dete
hairan hun kis tarah karun arz-e-tamanna
dushman ko to pahelu se vo talne nahin dete
dil vo hai ki fariyaad se labrez hai har vaqt
ham vo hain ki kuchh muunh se nikalne nahin dete
garmii-e-mohabbat mein vo hai aah se maane’
pankhaa nafas-e-sard kaa jhalane nahin dete

Comments
Post a Comment