Sehra-pasand ho ke simtne laga hun main,

Sehra-pasand ho ke simtne laga hun main,
Andar se lag raha hai ki bantne laga hun main.
Kya phir kisi safar pe nikalna hai ab mujhe,
Deewaar-o darr se kyon lipatne laga hun main.?
Aate hain jaise jaise bichhadne ke din qareeb,
Lagta hai jaise rail se katne laga hun main.
Kya mujh mein ehtezaaz ki taaqat nahin rahi,
Peechhe ki simt kis liye hatne laga hun main.?
Phir saari umar chaand ne rakha mera khyaal,
Ek roz keh diya tha ki ghatne laga hun main.
Usne bhi aitbaar ki chaadar samet li,
Shayad zubaan de ke palatne laga hun main. !!

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib