Har kisi ko aas main rakhne ki aadat usko thi

Har kisi ko aas main rakhne ki aadat usko thi
warna kyon matlub gairon ki rafaqat usko thi

kaise kar leta gawara woh meri sanson ki aanch
En dinon khud apnay saye se bhi wehshet usko thi

Hijr ki ik azmaish se guzar jane ke baad
sari duniya se judai ki shikayat usko thi

Faislay ka haq use hasil tha usne ker liya
mujh se kab darkar koi bhi vazahet usko thi

ek khilona torne ke wastay derkaar tha
ab main samjha kis liye meri zarurat usko thi

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib