Almaari se khat uske puraane nikal aaye,
Phir se mere chehre pe ye daane nikal aaye ..

Maa baith ke takti thi jahan se mera raasta,
Mitti ko hataa te hi khazaane nikal aaye ..

Mumkin hai humein gaaon bhi pehchan na paaye,
Bachpan mein hi hum ghar se kamaane nikal aaye ..

Aye rett ke zarre tera ehsaan bahut hai,
Aankhon ko bhigone ke bahaane nikal aaye ..

Cheekhein bhi yahan gaur se sunta nahi koi,
Kis shehar mein tum shair sunaane nikal aaye ? ..!!

Comments

Popular posts from this blog

Bas Ek Shakhs Hi Kul Kainat Ho Jaise,

kaba kis munh se jaoge Ghalib