Mujh Ko Gehraai Mein Mitti ki utar jana hai,

zindagi baandh le samaan-e safar jana hai.
Ghar ki dehleez pe roshan hain woh bujhti hui aankhen,
mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jana hai.
Main woh mele mein bhatakta hua ek baccha hun,
jis ke maa baap ko rote hue marr jana hai.
Zindagi taash ke patton ki tarah hai meri,
aur patton ko behar’haal bikhar jana hai.
Ek benaam se rishte ki tamanna le kar,
iss kabootar ko kisi chhat pe utar jana hai. !!

Comments
Post a Comment