Posts

Showing posts from July, 2010

MY World

Image
       

Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya

Image
Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya, Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya. Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar, Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya. Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba’ad Marg, Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor-e-Gharibaan Kardiya Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka, Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!, Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka, Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya Zindagi mein, mil Gaya phir WO, Ek raat ki baat hai Kuch keh nahi PAYE hum Waqt ki baat hai Aankhon se aasu baraste rahe Jasbat ki baat hai Kuch Na kaha kar bhi, sab kah Gaya woh, Andaz ki baat hai, Chah kar bhi Na rok seke use hum, Halat ki baat hai, Who Kisi aur ka hai Kismet ki baat hai Yeh kehna Na Kisi se tum Raaz ki baat hai Dekho Zamane Ke Rango Main Kya Hai Bhulaa Do Mujhe, Mujh Mein Kya Hai Ujaalaa Chaanda

Chalo aik shararat kerty hain...

Chalo aik shararat kerty hain... Aao Muhabbat kerty hain... Hansti aankhon sy keh do... Darya bhi hijrat kerty hain... Kuch dil aisy hain... Jin per hum bhi hakoomat kerty hain... Zinda rehna hy dushwar... To chalo himmat kerty hain... Wesy hoty nahi loag... Jesi hum chahat kerty hain... Akser apny aap sy hum... Teri shikayat kerty hain... Ek baat kehna chahty hain k... Hum tum sy muhabbat karty hain...

http://apps.facebook.com/blognetworks/index.php

Image
Kisi ghulshan mein jaogi tumhe hum yaad aayege, Koi mehfil sajaogi tumhe hum yaad aayege, Sitaare chand sooraj samunder ya koi sahil, Tasawwar mein jo laogi tumhe hum yaad aayege, Bahut koshish karoge tum hamari yaad na aaye, Magar jitna bhulaogi tumhe hum yaad aayege, Kisi bhi mod ya tareek rah-e-zindagani par, Chiraa... Main Zinda Hun Ab Tak K Wo Mujay marnay Nahi Deti...... - jaane kyun wo saanso ki doar tootne nahi deti bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deti baat kehti hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deti aaj hausla deti hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka... CHAHTO'N KI BAAT KARTE HO, DIL MERA BEQARAAR KARTE HO.. KAR KE WADA TUM TU BHOOL GAYE, PHIR BHI WAFA KI BAAT KARTE HO.. BHOOL KAR BHI NA MIL SAKEINGE, TUM TU GHAIRO'N PE EITBAAR KARTE HO.! KISI NE JB WAFAON KI BAAT KI HOGI TERI NIGAH MJHE DHOONDTI RAHI HOGI... TERE SALOOK SE SHIKWA NHI KHUDA KI QASAM MERE KHULOOS ME HI... Mere dard-e-dil ki t

ek sa dil sabke paas hota hai

ek sa dil sabke paas hota hai phir kyo nahi sabpe vishwas hota hai ‘ insaan chahe kitna bhi aam kyo na ho wo kisi na kisi ke liye jaroor khas hota hai

Us ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai

Image
Us ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain, Samne us ke kuch naa kehna acha lagta hai Mil kar us se Bichar naa jaaon darta rehta hu, is liye bas door hi rehna acha lagta hai janta hu ke chaahat mein bas Aanso milte hain, Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai Je chahey sab khushiyan laa kar us ko de du, Us ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai Us ka milna naa milna Anwar ke Qismat ki baat hai, Pal Pal us ki yaad mein roona acha lagta hai
Jis kisi ko chaho woh be-wafa ho jata hai Sir agar jhuka do to sanam khuda ho jata hai Zindgi se jo tum ja chuke hoon Ham har taraf se barbad ho chuke Muskurtae hai hai khud ki mout per Asounon ko chupane mai bhi ham ustaad ho gaye Bebasi hasne lagi khamoosi ab gungunane lagi Band kamro ke koone mai koi Musam nahi hota FIR WAHI FASAANA AFSAANA SUNATI HO, DIL KE PAAS HOON KEH KAR DIL JALATI HO, BEQARAAR HAI AATISH-E-NAZAR NAZAR SE MILNE KO, TO FIR KYON NAHI PYAAR JATAATI HO!! KUCH TUMHARE ANKHO KI KAJAL NE KAHA KUCH TUMHARE JULFO KI BADALNE KAHA JO KEH NA SAKI TUMHARE KHAMOSH HONTH HAWA ME LAHRATI HUI TUMHARI AANCHAL NE KAHA ANWAR AAGE ------!! MUHABBAT KI AAS HI RAHNE DO, ZINDGE MERI UDASH HI RAHNE DO, SARE SAMANDAR TUJHE MUBARK HO, MERE HOTHO PAR AAB PYAS HI RAHNE DO !! AISA NAHI KI TUJH SE MUHABBAT NAHI HU MAIN GUM ROZ ROZ SEHNE KI AADAT NAHI HU MAIN HAR BAR TERE SAMNE SAR KO JUKAA LIYA AUR PHIR BHI DEKH TUJH SE SHIKAYAT NAHI HU MAIN TU AITEBAR KAR KE TUJHE CHAHATE HAIN H
Jo tum nahi to sukone nigahe dil kaisa Tumhari yaad mai dil kha behalta hai Yeh teri najar ke khayal ye shabab ke ujale Inhe dekh kar kha koi apna dil sambhale Hamko itna na sataya kijiye Roz khwabo mai na aaya kijiye Shirf andaj hi to badla hai Uski methi juban se ab bhi Kaza ke liye yeh bahana bhaout hai Gari bhar tera muskuaran bahout hai Kya khabar tum ko dosti kia hai Ye roshni bhi hai andhera bhi hai Khwahishon say bhara jazeera bhi hai Bohat anmol ik heera bhi hai Dosti ik haseen khwab bhi hai Pass say dekho tou sarab bhi hai Dukh milnay pe ye azab bhi hai Aur ye piyar ka jawaz bhi hai Dosti yoon tou maya jaal bhi hai Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai Kabhi zameen kabhi falak bhi hai Dosti jhoot bhi hai such bhi hai Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai Dosti saaz bhi sangeet bhi hai Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai Wafa kia hai wafa bhi dosti hai Dil say nikli dua bhi dosti hai Bus itna samajh lay tu Pyaar ki i

Kahbi khud bhi mere pass AA

Kahbi khud bhi mere pass AA Meri baat sun mera sath de Jo kholoos hai use dil se nikal kar Mujhe ouljhno se nizaat de Tujhe soochta tera masgala Tujhe dekhna meri orooz Mujhe din de apne khayal ke Mujhe kareeb ki ek raat de Meri zindgi mere sath chal Mere hatho mai apna hath de Mujhe gam khusi se kabool hai Jo agar tu mera sath de

Woh kitne itminaan se thukra gayi mujhe Anwar

Woh kitne itminaan se thukra gayi mujhe Aasoun bana ke aankh se tapka gayi mujhe Yeh kaisi rehbari thi yeh kasia fareb tha Manjil dikha ke raah se bahtka gayi mujhe Khamoos nighaoo se khani suna kar Lafzo ke her fer mai ulzha gayi mujhe Mujhko bhi ek bachpane ka mazaak samjh kar Chooti se ek hasi mai ara gayi mujhe Do din mai iske dil se mohabbat utar gayi Anwar Or wahi do din mai apni yaad se mita gayi mujhe

Tere khyaal se daman chura ke dekha hai

Tere khyaal se daman chura ke dekha hai Dilo najar ko bahout aazama ke dekha hai Mohabbat ki aksam tum nahi to khuch bhi nahi Maine khuch pal tumhe bhula ke dekha hai Abhi talak saada rakha hai yeh kagaz apni chahat ka Munasib jab bhi samjoge to koi paigaam likh denge Koi paigaam kya likhna is choote se kagaz per Jise ham chahate hai bus usi kaa naam likh denge Jagmaga di tere shar ki galiyan hamne Apne asko ko palko pe sitara kar ke Chalo dekh lete hai hosla apne man ka Khuch rooz or tere bager gujara kar ke Zakhmi hoye hot to mehsoos hua hame Chooma tha kisi phool ko berukhi ke sath Tumhe dene ko hamare pass khuch bhi nahi Hamare bus mai zindgi who bhi tumhari hai

Is dar pe thikana na kahbi us raah pe dera

Is dar pe thikana na kahbi us raah pe dera Ham khana badoos ka yahi saam sawera Be rehmi duniya ka gila hai tere luv per Ab kaise bataoon tujhe ke ab mai bhi nahi tera Woh char kadam hai kiran ham safar ki Fir aa gaya wahi sehre judaee ka andhrea Hai jo bhi tinke khutu zamane ke liye Ey jaan hamne kahbi tera farmaan nahi fera kabhi raitt per gharonda naa banana dosto gulab sang kaante hain bhul na jana dosto ye hamesha hi fareb deti rahi hai jahan main ulfat ko kabhi dil main naa basaana dosto log mutthi me namak liye firte hain yahan kisi ko apne zakham naa dikhaana dosto ashq aankho main jo aayen tau pee jaana dekhega jo tau hansega ye zamana dost yadoun ki dhun mai apki parchaee c lagti hai Snnate mai Goojnti sehnaee c lagti hai Aap sath ho to duniya jannat hai Warna seene mai sans bhi paree c lagti hai

Kitabo mai phool rakhna dharkano per naam likhna

Kitabo mai phool rakhna dharkano per naam likhna Tumhe bhi yaad hai woh Katil najro se salaam likhna woh saam ki mulaqate wohpyar bahri batein woh choote choote kagzo per mohabbaton ka paigaam likhna Sona hai gheer ki mahfal main tum na jaao ge Kaho to ajj sajalo ghareeb khane ko Ku hath main tere mujae pathar nazar ae Deewana aghar tha to main gheeroo ke liye tha Tare mahfal se uthathae gheer muj ko kiya majal

Tujhe ishq ho khuda kare Tujhe us se koi juda kare

Tujhe ishq ho khuda kare Tujhe us se koi juda kare Tere hoont hasna bhool jaye Teri aakhen purnam raha kare Tu jise bhi dekh kar ruk pade Woh najar jhuka kar chala kare Tu us ki batein suna kare Tu us ki batein kiya kare Tujhe dosti bhi na aaye raas Tu tanha tanha raha kare Tujhe hizr ki who chari lage Tu milne ki har pal dua kare Tere khwaab bikhre toot kar Tu kirchi kirchi cuhna kare Tujhe ishq per ho yakeen Tu tasbeh per mujhe pada kare Phir mai kahon asoun dhoong hai tere Or tu nahi nahi kaha kare Anwar

Mujhko Ache Lagte Ho

Bujhe Bujhe Se Kyun Lagte Ho Ye Toh Batao Kyun Bichade Ho Humne Suna Hai Ab Logoun Se Tum Bhi Mohabbat Karte Ho Kuch Keh Dete Kuch Sunn Lete Chup Chup Se Kyun Rehte Ho Bas Itne Hi Tum Ache Ho Mein Keh Deti, Tum Ache Ho Zindagi Ke Sach Kadwe Hain Bhoole Ho Ke Bante Ho ???? Dil Chahe Mein Sab Kuch Keh Doun Apne Apne Se Lagte Ho.......... Jaise Bhi The... Jaise Bhi Ho Mujhko Ache Lagte Ho

Na khobiyan meri hai na mera koi kaaml hai

Na khobiyan meri hai na mera koi kaaml hai Deta wahi Kreem hai wahi Zille Jalal hai Khuch apne dam per to Chinne ka dar bhi hoo Us ke diye ko Cheen le yeh kisi ki kya majaal hai Anwar

Koi to aesa ho jo sirf mera ho.

Koi to aesa ho jo sirf mera ho. Batoon mein uski khushbu ho. Chate to chahat meri. Mange to mohabbat meri. WO chand ki chandni ho. To chandsirf mera ho. WO pholon ki khushbu ho. To ehsas sirf mera ho. WO raat ka ujala ho, to chiragh sirf mera ho. WO ishq or mohabbat Koi to aesa ho jo sirf mera ho. Batoon mein uski khushbu ho. Chate to chahat meri. Mange to mohabbat meri. WO chand ki chandni ho. To chandsirf mera ho. WO pholon ki khushbu ho. To ehsas sirf mera ho . WO raat ka ujala ho,to chiragh sirf mera ho. WO ishq or mohabbat Koi to aesa ho jo sirf mera ho. Batoon mein uski khushbu ho. Chate to chahat meri. Mange to mohabbat meri. WO chand ki chandni ho. To chandsirf mera ho. WO pholon ki khushbu ho. To ehsas sirf mera ho. WO raat ka ujala ho, to chiragh sirf mera ho. WO ishq or mohabbat To dil sirf mera ho. WO kismat ki lakeer ho. To haath sirf mera ho. Koi to aesa ho . Jo sirf mera ho.

दिल को चूने वाली

Benaam As Ye Dard Thaher Kyon Nahi Jaata, Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata, Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Hai Nigahein, Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jaata, Wo Ek Hi Chehra To Nahi Sare Jahan Mein, Jo Dur Hai Wo Dilse Utar Kyon Nahi Jaata, Main Apni Hi Uljhi Hui Raahon Ka Tamasha, Jaate Hai Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jaata, Wo Naam Jo Barso Se Na Chehra Na Badan Hai, Wo Khwab Agar Hai To Bikhar Kyon Nahi Jaata...

Saari Duniya ke riwazo se bagawat ki thi

Saari Duniya ke riwazo se bagawat ki thi Yaad Aata hai ki hamne bhi mohabbat ki thi Jab kisi ki yaad ne aankhon ko bhulaya tha meri Maine ek naam ki Tasbeeh per Tilavat ki thi Us ko chod ke haste hoye ghar aa kar Itna roye ki aankhon ne qayamat ki thi Anwar
zingi ye aaj hame khan le aayi hai ik ham hain or zamaane bhar ki tanhaai hai dil hai ki maano dhadknaa bhul gaya hai pass apne kuchh nahi bas ye ruswaai hai zakham taaza hain abhi rista hai lahoo mat poochho hamne ye kaisi chot khayi hai dard badta hi gaya jayo jayo ki dawa hamne ye kis uljhan me hamne zindgi uljhayi hai kuchh aansu,kuchh aahen,or kuchh toote sapne yahi saugatt hamne is zamaane se paayi hai NS(neelu)

RAAT HOEE JAB

RAAT HOEE JAB SHAAM KE BAAT TERE YAAD AAYI HER BAT KE BAAD HUMNE KHAMOSH REHKER BHI DEKHA LAKIN TERE AWAZ AAYI HER SAANS KE BAAD ZEHAR DETA HAI KOI , KOI DAWA DETA HAI MUJHE HER NAYA DIN GUM KO BARHATA HAI MERE RAAT POORI JAB TERE INTIZAR ME KAT TA HO PHIR NAYA DIN INTIZAR KA LAMHA BANJATA HAI KABHI ROKE MUSKURAYE KABHI MUSKURAKE ROYE TERE YAAD JAB BHI AAYI TUJHE BHULA BHULAKE ROYE EK TERA HE NAAM THA JESE BAAR BAAR LIKHA HATH PE JESE KHUSH HOE LIKH KER OR ROYE MITA MITA KER

Kon Hai Sooraj Kon Hai Saaya

Kon Hai Sooraj Kon Hai Saaya Main B Soocho Tu B Sooch Kis Nay Pehley Hath Churaya Main B Soocho Tu B sooch Jis Ki Khatir Sahil Sahil Sipe`ya Chuntey Beet Gaye Kiyo Wo Moti Hath Na Aaya Main B Soocho Tu B Sooch Kis Ko Kitna Naam Mila Aur Kis Ko Kiya Ilzaam Mila Kis Nay Kis Ka Waqt Gunwaya Main B Soocho Tu B Sooch Kis Nay Kitni Aas Bandaee Kis Nay Kitni Jaan Churaee Kis Nay Kitna Sath Nibhaya Main B Soocho Tu B Sooch Hum Jo Ta`alluq K Barey Mein Soochney Par Majboor Howe Jewaan Mein Yeh Din Kiyo Aaya Main B Soocho Tu B Sooch Us Ki Batain Sunnay Waley Terey Jaisey Lagtey They! Kis Ko"Qamar"Nay Haal Sunaya Main B Soocho Tu B Sooch

magar hai puraane ye ba.Ndhan dilo.n ke

Kabhi Yaad Aao To Is Tarhaa Ke Dil-o-Nazar Me Samaa Sako.. Kabhi Hadd Se Jab Ye Junoon Barhe, To Hawaas Ban Ke Bikhar Sako Kabhi Khul Sako Shab-e-Visaal Me, Kabhi Khoon-e-Dil Me Sanwar Sako... Rulana har kisi ko aata hai Hasana kisi kisi ko aata hai Rula ke jo mana le woh hai saccha pyar Our jo rula ke khud bhi aasoun bahaye woh hai tumhara pyar ab yaha koi ristha koi naata saga nahi hota ab tau duniya me koi waada wafaa nahi hota dushman ki dushmani pe bhut naz hai hame dosto se tau haq-e-dosti bhi adaa nahi hota Asia nahi kitujh se moabbat nahi hame Gam roz roz sehne ki adat nahi hame Har baar tere samne sir ko jhuka liya Phir bhi dekh tujh se shikayat nahi hoon mai rishtaa ye kaisaa hai naataa ye kaisaa hai pahachaan jis se nahii.n thii kabhii apanaa banaa hai vahii ajanabii rishtaa ye kaisaa hai naataa ye kaisaa hai tumhe.n dekhate hii rahuu.N mai.n mere saamane yuu.N hii baiThe raho tum karuu.N dil kii baate.n mai.n Khaamoshiyo. n se aur apane labo.n se na kuchh b

Tu ne Dekhi hy wo PESHANI' wo RUKHSAR' wo HONT

-- Tu ne Dekhi hy wo PESHANI' wo RUKHSAR' wo HONT Zindge jin k Tasawar mei LUTA di hum ne Tuj pe uthi hen wo Khoi hui Saahir Ankhen Tj ko maloom hy kiu UMR Ganwa di HUM ne!!!

*~TUM MERY PAS RAHO~*

*~TUM MERY PAS RAHO~* Mery katil,mery dildar mery pas raho, jis gahri raat chale aasmano ka lahu pe kar siyah raat dahly.. darad ki kasni pazeeb bajti niklay jis gahri seno mein dobty huey dil aastenou mein nahno hathon hathon ki rah takne nikly aas liye aur bachon k bilknay ki tarha qul qul meh, bahaar-e-na- asoudgi machly aur mnaye na many... jub koi baat bnaye na bany jab na koi baat chaly jis gahri raat chaly jis gahri maatamii sunsaan raat dahly paas raho meray qatil mery dildaar mery paas raho

Ham apne dil ki baat un se keh nahi sakte

Ham apne dil ki baat un se keh nahi sakte or bin kahe reh bhi nahi sakte Ey Khuda aisai Taqdeer Bana Woh Khud aaker kahe ki ham aapke bager reh nahi sakte

जनवि

Image

अजहर मलिक

Image

अजहर मालिक

Image

अजहर मलिक

Image

अजहर मलिक

Image

अजहर मालिक

Image

लव उ अल्ल्लल्ल्ल्ल

Dil Ko na Lagana Ki kisi Nadaan se Warna Nadani Bardast nahi kar paooge

BARISH KI IN BONDON NE JAB DASTAK DI DARWAZE PER

BARISH KI IN BONDON NE JAB DASTAK DI DARWAZE PER MEHSOOS HUA TUM AAYE HO ANDAZ TUMHARE JESA THA.. HAWA KE HALKE JHONKE NE JAB AAHAT KI KHIRKI PER.. MEHSOS HUA TUM CHALE HO ANDAZ TUMHARE JESA THA.. MAINE BONDON KO APNE HATH PER TAPAKAYA TO.. AIK SARD SA EHSAS HUA LAMS TUMHARE JESA THA.. MAINE TANHA CHALA JAB BARISH MAIN AIK JHONKE NE SATH DIYA.. MAINE SAMJHA TUM SATH HO MERE EHSAS TUMHARE JESA THA PHIR RUK GAI WO BARISH BHI RAHI NA BAKI AAHAT BHI.. MAIN SAMJHA MUJE TUM CHOR GAYE ANDAZ TUMHARE JESA THA

KIYA BURA HAI KE MAIN IQRAR-E-MUHABBAD KAR LN "NASIR"

KIYA BURA HAI KE MAIN IQRAR-E-MUHABBAD KAR LN "NASIR" LOG WESE BHI TU KEHTE HAIN GUNAH GAAR MUJE ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- ----- KABHI DEKHEIN HAIN SEHRA MAIN JHULASTE HUE DARAKHT.. AISY HOTE HAIN WAFAON KO NIBHANE WALE ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- ------- YOON BHI KARTA HAI KOI CHAHANE WALON PE SITAM... NA ISHARA NA KINARA NA INAYAT NA SALAAM.. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- --------- -

KUCH KHUSHI KE SAYE MAIN AUR KUCH GHAMON KE SATH STAH...

KUCH KHUSHI KE SAYE MAIN AUR KUCH GHAMON KE SATH STAH... ZINDAGI KAT HI GAYI HAI ULJHANON KE SATH SATH.. AAJ TAK US KI THAKAN SAY DUKH RAHA HAI YE BADAN.. EK SAFAR MAIN NE KIYA THA KHUWAHISHON KE SATH SATH... ES DAFA SAWAAN MAIN TERI YAAD KE BAADAL RAHE.. ES DAFA MAIN KHOOB ROYA, BARISHON K SATH SATH... KIS TARAH KHAYA HAI DHOKA,KIYA BATAON MAIN "NASIR" DOSTON KE MASHWARE THE.SAZISHON KE SATH SATH..

MERI ZINDAGI KO IK TAMASHA BAN DIA US NE,

MERI ZINDAGI KO IK TAMASHA BAN DIA US NE, BHARI MEHFIL TANHA BITHA DIA US NE, AISI KIYA THI NAFRAT US KO IS MASOOM DIL SE, KHUSHIAN CHURA KAR GHAM THAMA DIA US NE BOHUT NAZ THA US KI WAFA PE KABHI HAM KO, MUJH KO HI MERI NAZRON MA GHIRA DIA US NE, KHUD BEWAFA THA MERI WAFA KI KIYA QADAR KARTA, ANMOL THA MAIN KHAK MA MILA DIA US NE, KISI KO YAAD KARNA T US KI FITRAT MA SHAMIL NAHI, HAWA KA JHONKA SAMAJ KAR BHULA DIA US NE.

WO SHAHKS KHIZAN RUT MAIN BHI MOHTAT HAI KITNA,

WO SHAHKS KHIZAN RUT MAIN BHI MOHTAT HAI KITNA, SUKHE HUE PHOLON KO BIKHARNE NAHI DETA, BICHARE TO KHABON MAIN JATATA HAI MOHABBAT, MIL JAE TU PHIR HADH SE GUZARNE NAHI DETA, MAIN US KO MANAON KE GHAM-E-DAHAR SE ULJHOON, "NASIR"WO MUJSE KUCH BHI TU KARNE NAHI DETA,

BAZAM-E-JAHAN MAIN APNI GHAREEBI NA POCHIYE

BAZAM-E-JAHAN MAIN APNI GHAREEBI NA POCHIYE, IK DARD -E-DIL HAI WO BHI KISI KA DIYA HUA.. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- -------- KHUSHBO KI AARZO MAIN MUQADAR BHI SO GAYE.. AANDHI CHALI AISI KE APNE BHI KHO GAYE.. KIYA KHOOB THA UN KA ANDAZ "NASIR" HUMDARD BAN KE AYE THE KANTE CHOHBO GAYE.. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- ------ HUMAIN MAR DAAL PER HUMARI ANA KO QATAL NA KAR "NASIR: KE BE-ZAAR HI SAHI MAGAR BE-ZAMEER HUM BHI NAHI.. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- ------ RAHE GA YEH GILA TAQDEER SE HUMESHA"NASIR" KE JISKO UMAR BHA CHAHA USSI KO UMAR BHAR TARSE ------------ --------- --------- --------- --------- --------- --------- --------- --------- ----- TERI MUSHKIL NAHI BANUGA CHALA JAONGA, AASHK AANKHON MAIN CHUAPAGA CHALA JAONGA, APNE DHELEEZ PE KUCH DAIR PARA REHNE DE, JAISE HI HOSH MAIN AONGA CHALA JAONGA

USKI YADON MAI DOOB JATA HON,

USKI YADON MAI DOOB JATA HON, KHUD KO TANHA KABHI JO PATA HON QATRA QATRA WAJOOD SE LE KAR, KHUWAHISHON KO LAHOO PILATA HON LOG KHUSHIYAN TALASH KARTE HAIN MAI TU GHAM BHI KHARID KE LATA HUN AAJ KAL HAI MIZAJ-E-DIL BHARHAM RONA CHAHUN TU MUSKURATA HUN ROZ KEHTA HON BHOL JAON USSE, ROZ YE BAAT BHOOL JATA HON,

ADAWATON KE SABHI MOSAM SE DARTA HON,

ADAWATON KE SABHI MOSAM SE DARTA HON, MAIN AIK KHASTA MAKAAN BARISHON SE DARTA HON, YE HAL HO GAYA HAI DARD SE MERE DIL KA MAI URR RAHA HON MAGAR ANDHION SE DARTA HON, QADAM QADAM PER WAFA KE FARAIB KHAYE HAIN, MAIN DUSHMANON SE NAHI DOSTON SE DARTA HON, WO JIN KI SAZISHON SE DIN BHI RAAT HO GAI, CHAMAKTE CHEHRON KI UN WESHATON SE DARTA HON, SAFEER HON MAIN DARYAR-E- ADAB KA AYE HAMDAM PARAIN NA DIL MAIN KAHIN,FASLON SE DARTA HON.

KOI RAAT MERE ASHNA MUJE YON BHI TO NASEB HU,

KOI RAAT MERE ASHNA MUJE YON BHI TO NASEB HU, NA KHAYAL HO LIBAS KA TU ITNA MERE QAREEB HO, BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE, MERA JOSH BHI BEHAK UTTHE MERA HAAL BHI AJEEB HO, TERE CHASHNI WAJOOD KAMAIN SARA RUSS NICHOR LON, PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEB HO,

MOHABBAT NA RAHE TU PHIR RAHA KUCH BHI NAHI KARTA,

MOHABBAT NA RAHE TU PHIR RAHA KUCH BHI NAHI KARTA, KE ITNI TAIZ ANDHI MAIN BACHA KUCH BHI NAHI KARTA, WO MUJH KO YAAD RAKHNA AB GAWARA HI NAHI KARTA, MAIN JISKO YAAD RAKHNE K SIWA KUCH BHI NAHI KARTA, KAHA THA TUJH SE NADAAN KE ZULM KI TAIZ BARICH MAIN SIWAEY KACHE MAKANO KE GIRA KUCH BHI NAHI KARTA..

BARE MUKHTASIR SE HAROOF MAIN

BARE MUKHTASIR SE HAROOF MAIN MUJE GHRI BAAT BATA GAYA, KE WO KHUWAB SA KOI SHAKS THA,, JO SEHER SE PEHLY JAGA GAYA, KISI MEHERBAN KI DUAON SE, YE SAFAR MERA TAMAM HUA JINHE REHBARI KA GHAROR THA, UNHEN TASTON NE MITA DIYA, HAMHE ASMAN SE GILA NAHI, USKI REHMATON PE YAQEEN HAI, JAHAN ZINDAGI NE SHIKAST DI, KISI MOJZE NE BACHA LIYA, HUME ZINDA REHNE KA HOSLA US KI AARZOO NE AATA KIYA BADE GEHRE ZAKHAM MILE HUMAIN, JINHE RAFTA RAFTA MITA DIA....

TERI NAZAR KO FURSAT NA MILI DIDAR KI,

TERI NAZAR KO FURSAT NA MILI DIDAR KI, WARNA MERA MARZ ITNA LAA ILAAJ NA THA, HUM NE WAHAN BHI MOHABBAT HI BAANTI "NASIR" JIS SHEHER MAI MOHABAT KA RIWAAJ NA THA. ------------ --------- --------- --------- --------- --------- ------- BE REHMI SE HI SAHI MAGAR KUCH BOLA TO KARO, CHUP REHTE HO TU NAFRAT KA GUMAN HOTA HAI, ------------ --------- --------- --------- --------- --------- -------- AAYA KUCH ISS AADA SE KE PALKEIN BHIGO GAYA.. JHOONKA TERE KHAYAL KA KITNA SHADEED THA...

Mere hamsafar tum bare sangdil ho

Mere hamsafar tum bare sangdil ho Lo dil ka haal sunate hain Yeh tum ko aaj batate hain Tarpaya bohot tum ne ham ko Ham hain k tumhi par marte hain Mere hamsafar tum bare sangdil ho Tum piyar jatana kiya jano Tum dil main samana kiya jano Tum joothe zamane bhar k ho Tum koul nibhana kiya jano Mere hamsafar tum bare sangdil ho Main nachoun mast nazaroon main Ure jaoun chand sitaroon main Main roup nagar ka shaezada Bas jhumon shokh baharoon main Mere hamsafar tum bare sangdil ho Dekhe tum jaise dil phanik hazaroon Mere hamsafar tum bare sangdil ho

Jab duoor ofaq pey lali ho

Jab duoor ofaq pey lali ho Jab shaam udasi wali ho Jab zabat ka bandhan tuta jaye Jab aas ka daman chuota jaye Jab darshan piyas bhujaty hoon Jab mosam geet sunaty hoon Jab kaan hoon tarsey batoon ko Jab neend na aye ratoon ko Jab aankhon main jugraty hoon Jab apne dard sonaty hoon Tab yaad tum bohut aty ho Tab yaad tum bohut aty ho !!

us shakhs ne hame kitna staaya hai

us shakhs ne hame kitna staaya hai ab is baat ka ham charcha aam kayu karen jise waqt ke gujrene ka bhi ehsaas nahi hai wo bhala kisi aur ko badnaam kayu karen mana k sari umer ham kaanto pe chale hain per apne dard ko ham u sare aam kayu karn gar zindagi ki raah main ham ladkhda gaye ab uske sir is baat kaa ilzaam kayu dharen u hi chale jaayenge ham gumnaam se ik roj fir ham nazar na ayenge koi lakh jatan kare sapno ki dhundh ke us paar ham honge or door se muskaayenge ham u hi khade khade

WAFA K MOTI !

Ab K Hum Bichhry To Shayed Kabhi Khuwabon Mein Milain Jis Tarah Sookhy Huy Phool Kitabon Mein Milain, Dhoondh Ujry Huy Logon Mein Wafa K Moti Ye Khazany Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain, Tu Khuda Hai " Na Mera ishq Frishton Jesa Donon insaan Hain To Kiun Itny Hijabon Mein Milain, Gam-E-Duniya Bhi Gam-E-Yaar Mein Shamil Kar Lo Nasha Barta Hai Shrabain Jo Shrabon Mein Milain, Aaj Hum Daar Pe Khainchy Gaye Jin Baton Par Kya Ajab " Kal Woh Zamany Ko Nisabon Mein Milain, Ab Na Wo Main Hoon " Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai `Faraz Jese Do Shakhs Tamnna K Sarabon Mein Milain !

Zindagi to bohat kam hai mohabbat k lie,

Zindagi to bohat kam hai mohabbat k lie, Rooth kr waqt gawane ki zarorat kia hai, Rooth jane ki ada hum ko bhi ati hai, Kash hota koi hum ko bhi mananay k liye… Jinke Bina Jeena Mushkil Thha, Usi Ne Jeena Mushkil Kar Diya. Jiske Naam Ki Hum Kasam Khaate Thhe, Wahi Kasam Tod Ke Chal Diya. Ji safar ki shuruat karte he, Wo manjil ko par karte he, Bus 1 bar chalne kahosla rakhiye, aap jaise musafiro ko to raste bhi intzar karte hai. Gam na ho waha jaha ho fasana aapka, Khushiyan dhundhti rahe aashiyana aapka, Wo waqt hi na aaye jab aap udas ho, ye duniya bhula na sake muskurana aapka. Kehte hai ishq dokha hE! suna nhi ajma k dekha hE! lut lete h pyar me sb kuch pehle! fir kehte hai kaun ho tum! tumhe pehle bhi kahin dekha hE! Youn to apni halat ka bhi ahsash nahi hai mujhe auro se sunta hoon ki pareshaan hoon main Aksar takdir ke rukh badal jate he.mohabbat ho darmiya to fasle simat jate he,chahat ho sachchi to aisa bhi hota he.door jane wale fir lot aate he. CHOTI CHOTI BAATON

From:- Nitendra Nittu

From:- Nitendra Nittu Logo se gujarish hai meri, Kabhi bhulkar bhi pyar na karma.. Pyar ho bhi jaye anjaane me, To kabhi ikraar mat karma… Bahut bada gunah hai pyar karma dosto, Kabhi bhi gunahgar mat banna..! ——————————— Dil ko na do takleef dosto, Dil ko kabhi bekarar mat karma.. Dil hota hai bada najuk, Isse kabhi khilwad mat karma…! ——————————— Jab dil tootte hain to khandhar hua karte hai, Jinka koi astitva nahin hai jindagi main.. Us veerane me yaadein chaknachoor hua karte hai.. Kitna dard hota hai dosto, Jab dil ke tukde hua karte hain….! ——————————— Jab tum sath the, To hume jindagi ka hi sahara hai, Par tumse door hokar pata chala, Sirf gum hi hamara hai… Logo ko to durr rehta hai maut se, Par jindagi ne mujhe berehmi se maara hai…! ——————————— Dard ki mehfil me hum bhi, Ek sher arz kiya karte hian.. Haseeno se bachkar rahiye janab, Yeh dil se khilwad kiya karte hain.. Jab dil bhar jaaye khilone se, To sheeshe ki tarah tod diya karte hain…! ——————————— Log shayar ki shayari p

BUHUT HI MAAN HAI TUM PAR,

BUHUT HI MAAN HAI TUM PAR, SUNO PASS-E-WAFA RAKHNA, SABHI SE TUM MILO LAKIN, ZARA SA FASLA RAKHNA, BICHARNA BHI TO PARTA HAI, ZARA SA HOSLA RAKHNA, WO SAARE WASAL KE LAMHE, TUM ANKHON MA SAJA RAKHNA, ABHI IMKAAN BAQI HAI, ABHI LAB PE DUA RAKHNA, BUHUT NAYAAB HAIN DEKHO, HUMAIN SAB SE JUDA RAKHNA....!!

MERE ASHKON KO PALKO PAR MACHALNA BHI NAHI ATA,

MERE ASHKON KO PALKO PAR MACHALNA BHI NAHI ATA, IZHAR-E-ZABT SE MUJHKO NIKALNA BHI NAHI ATA, GAYE HO AISI RAHON MAI AKELA CHORD KAR MUJHKO, KE JIN PAR THEEK SE MUJHKO TO CHALNA BHI NAHI ATA, MUJE LAGTA HAI JAISE MAIN KOI WOH GHAM KA SURAJ HON, KE JISKO SHAM HO JANE PE DHALNA BHI NAHI ATA, TUMHARI BERUKHI AIK DIN UNHAIN BARBAAD KAR DE GI, JINHEIN NAZROON SE GIR KAR SAMBHALNA BHI NAHI ATA, NA REHTE MUNTAZIR TERE TU PHIR HUM AUR KIA KARTE,? HUMAIN TERI TARHAN RASTE BADALNA BHI NAHI ATA....

MAINE ZINDAGI KI HAR GHARI TERI JUSTAJO MAI GUZAR DI,

MERI HAR GHARI K HUMSAFAR MERI ULFATON KA JAWAB DE, MERE PYAAR KA, MERE ISHQ KA. SABHI CHAHATON KA HISAB DE, MAINE ZINDAGI KI HAR GHARI TERI JUSTAJO MAI GUZAR DI, MUJE AB TU APNA SHUMAR KAR MUJE BEWAJA NA AZAB DE, MAI BIKHAR RAHA HUN TOT KAR TERI ULFATON KI TALASH MAI, MERE ANSUON KO SMAIL LE,MERI AANKH KO KOI KHUWAB DE...

MOHABBAT KA ASAR HU GA GHALT FEHMI MA MAT REHNA,

MOHABBAT KA ASAR HU GA GHALT FEHMI MA MAT REHNA, WO BADLE GA CHALAN APNA GHALAT FEHMI MA MAT REHNA, TASALLI BHI USSE DENA YE MUMKIN HAI MAIN LOT AOON, MAGAR YE BHU USSE KEHNA GHALT FEHMI MA MAT REHNA TUMHARA THA, TUMHRA HUN, TUMHRA HI RAHUNGA MAIN..! MERE BARE MA IS DARJA GHALT FEHMI MA MAT REHNA,

ZARA KHAMOSH REH KAR BHI SAB KUCH SUNA DENA

ZARA KHAMOSH REH KAR BHI SAB KUCH SUNA DENA, ZUBAN SAY KUCH NA KEHNA DIKH KAR ANSU BAHA DENA, MAI MUJRIM HUN MUJE IQRAR HAI JURM-E-MOHABBAT KA, MAGAR PEHLY KHATA PAR GHOR KAR LO PHIR SAZA DENA, EJAZAT HO TU KEH DUN QISSA-E-ULFAT SAR-E-MEHFIL, MUJHE KUCH TO YAAD HAI KUCH TUM SUNA DENA....
ashq in aankho me ab bhi machalte tau hain her raat ham jugnu ki trha bujhte jalte tau hai ye sach he ki ab is dil me koi tmnna nahi rahi pr ankho me kuchh khwab ab b palte tau hain maana ki bahut sunsaan fiza hai mere ghar ki per aaj bhi kuchh saaye yaha chalte tau hain jaante hain bhaut ghna hai ye andhera lekin aaj bhi her roj din raat yaha dhalte tau hain NS(Neelu)

Mujhe talash thi jis ki woh humsafar tum ho

Mujhe talash thi jis ki woh humsafar tum ho Mere haseen khiyaloon ki rehguzar tum ho Tha sab se khubsurat phool jo chaman main Main ne saja liya hay usse dil ki anjuman main Rahey wafa main muj ko woh humsafar mila hay Jo meri zindagi ki taqdeer ban gaya hay

Khamosh hain nazare ek bar muskara do

Khamosh hain nazare ek bar muskara do Kahti hain yeh bahareen Hansna hameen sekha do Suni pari raheen gi yeh parbatoon ki rahain Yunhi khuli rahain gi in badaloon ki baheen Jab tak jhuki yeh nazrain hans k na tum utha do Qadmoon ko chou rahi hain Yeh jhumti ghataeen Karti hain iltajayeen yeh sham ki hawayeen Chaire se gaisoun ka aanchal zara hata do Tum hosala na haro chath jayeen ge andhre Bikhreen ge phir ujale nikhreen ge phir sawere Umeed ki kiran se ab dil ko jagmaga do Presented By Saba sagar

किसी ने पूछा दोस्त क्या है ?

Image
अजनबी सी दुनिया में, अकेला इक ख्वाब हूँ. सवालों से खफ़ा, चोट सा जवाब हूँ. जो ना समझ सके, उनके लिए "कौन". जो समझ चुके, उनके लिए किताब हूँ. दुनिया की नज़रों में, जाने क्यूँ चुभा सा. सबसे नशीला और बदनाम शराब हूँ. सर उठा के देखो, वो देख रहा है तुमको. जिसको न देखा उसने, वो चमकता आफ़ताब हूँ. आँखों से देखोगे, तो खुश मुझे पाओगे. दिल से पूछोगे , तो दर्द का सैलाब हूँ Hakikat na pooch mere fasane ki tere jate hi badal gahi nazar zamane ki,ke log poochte hain main khush kyon nahi, kaya kahu meri aadat thi tere sang muskurane ki. Samja do apni yado ko, wo bin bulaye pas aaya karti hai, aap to dur rehkar satate ho magar, wo pas aakar rulaya karti hai 4.Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum, par ankho me nami si thi, saath hamare ye jahan tha sara, par na jaane kyu tumhari kami si thi. Phool se pehle khusboo ko to dekho, karne se pehle kaam ko to dekho, kisike roop mein diwana naa bano, surat se pehle uske dil ko to dekho Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte ha

DiL Ko Behlaa Kay Gham e Hijr Ko Kam Kartay Hain

DiL Ko Behlaa Kay Gham e Hijr Ko Kam Kartay Hain Kaam Jo Aap Ka Tha Aaj Wo Hum Kartay Hain Apni Palkon Pay Jala Kar Teri Yaadon Kay Chiragh Hum Bhi Ik JashN e Chiraghan Shab e Gham Kartay Hain Humnay Dekhay Hain Aysay Bhee Janoon Kay Maaray Jo Tera Naam Darakhton Pay Rakam Kartay Hain Uss Kay Dukh Dard Main Hotay Hain Barabar Kay Shareek Hum Tau Aghyaar Kay Marnay Ka bhi Gham Kartay Hain* Kia Guzarte Hay Khuda Janay Bahar Aanay Tak-- Baat Deewanay Ki Mehdood Hay Deewanay Tak-- Tum Nay Ik Shama Jalanay Ka Nateeja Dekha-- Aag Hee Aag Thee Perwanay Say Perwanay Tak-- Abb Meri Bandagi e IshQ Main Kami Na Rahee-- Sajda Takmeel e Talb Tha Teray Thukranay Tak— Kuch waade, qasmein aur yaadein thin,Kuch qahqahe thay faryadein thin,Kuch ansoo thay jo bahaye thay,Kuch dhokay tahy jo khaye thay,Ab hamare pas kuch bhi nahi,Bas yadon ki zanjeeren hein,Kuch rang urii tasveerein hein,Kuch lafz miti tehreerein hein,Ek dil jo deed ka piyasa hai,Bas yahi mera asasa hai... Har Adawat Pe Mohabbat Ko Saja K

Subha Nahi Hogi Kabhi Dil Me Bitha Ley Tu Bhi

Subha Nahi Hogi Kabhi Dil Me Bitha Ley Tu Bhi Khud Ko Barbaad Na Kar Jaagney Walay Tu Bhi Mai Kahan Tak Teri Yaadon Ke Ta’aqub Me Rahon ? Mai Jo Gum Hon To Kabhi Mera Pata Ley Tu Bhi Ek Shabistan-e-Rafaqat Ho Zarori To Nahi Dasht-e-Tanhai Me Aa Jashan Manaley Tu Bhi Lafz Khud Apney Maai’ney Ko Talab Karta Hai Dil Ki Deewar Pe Ek Naqsh Banaley Tu Bhi Toot Jayein Naa Raagein Zabt-e-Musalsal Se Kahein Chup Ke Tanhai Me Kuch Ashq Bahaley Tu Bhi Ehd-e-Hazir Me To Pindaar Ki Qeemat Hi Nahi Koi Tesha Naa Utha Kaasa Utha Ley Tu Bhi Mene Ek Umar Ke Khawbon Ko Tere Naam Kiya Apney Ehsah Ko Kar Mere Hawaley Tu Bhi Mai Bhi Dil Me Teri Tasweer Chupaye Rakhon Apney Honton Se Mera Naam Mittaley Tu Bhi***
मैं……. कौन हूँ मैं? एक अजीब सा सवाल है पर इसका जवाब हूँ मैं. मैं उदासी भी हूँ और ख़ुशी भी हूँ दर्द हूँ मैं तो ज़िन्दगी भी हूँ जो कभी बज न सके ऐसा एक साज़ हूँ मैं हर तरन्नुम में जो शामिल हो वोह आवाज़ हूँ मैं मैं कभी ख्वाबों की दुनिया में जाके रहती हूँ तो कभी भीड़ में भी मैं तनहा चलती हूँ है अगर इश्क मुझे फूलों की सोहबत से कांटो के हुस्न की भी मैं शैदाई हूँ अभी चलता है बहारों का सामान साथ मेरे कभी गूंजती मीलो तलक तन्हाई है पांव में छले है चलती हूँ फिर भी अंगारों पर दर्द की परवा किसे कौन है पूछने वाला दर्द कहता है मुझसे आओ हम दोस्त बने तनहा राहों पर मिलके एक साथ चलें मैं वोह कागज़ हूँ जो की कभी जल न सके मैं वोह हस्ती हूँ जो कभी भी मिट न सके साथ मेरे बहारों का सामान चलता है मेरी हर राह को आसमान चुनता है तनहा रहती हूँ मगर फिर भी नहीं तनहा हूँ हूँ नहीं और कुछ मैं तो बस एक इंसान हूँ.